Thursday, February 9, 2012

Delhi mein mere bhakto ne manaya mera Janmotsav

Delhi ke bhakto ke atyant agrah aur prarthana ke baad mujhe 27 se 29 January tak ka samay satsang karyakram ke liye unko dena pada. Unka mere prati ananya prem aur drid shraddha ne mujhe iss avsar per mujhe unke prati kheench liya. Rohini, Delhi mein teeno din (27 se 29 Jan) bahut dhoom dhaam se Janmotsav manaya. Pehle din se hee pandal mein bhakto ka sailab umad padaa...satsang gyan varsha mein sabko bahut anand aaya. Doosre din Basant Panchmi ka shub divas tha. Sabhi ne darshan, satsang, kirtan aur dhyan ki divya sarovar mein snan kiya...sabhi ke anubhav anirvachaniye the. Mera phoolon, dhol, sangeet, aur nritya se bhakton ne bhavya swagat kiya. 28 January ki raat se mere utaare per bhakto ki bheed lagg gayi. Unke mere prati bhaav vibhhinn prakaar ke nritya aur sangeet ke roop mein prakat hue. Fir 29 subah suryaoday se poorv hee mere utaare per sabhi bhakt mere intezaar mein palke bichha kar baith gaye. Mere darshan paate hee sabhi ne phoolon se saji hui thaaliyon se aarti ki. Meri kutiya ko phoolon se bahut sundar sajaa rakha tha. Iske baad mujhe samiti ne Kalash yatra mein aamantrit kiya. Ek bahut bade phoolon se saje hue rath per mujhe baitha kar kalash yatra ke beech sabhi ne nritya evam gaan kiya. Rohini ki sadakon ka yeh nazaara ekdum anupam aur niraala tha. Aisa drishya Delhi jaise aadhunik sheher mein sabhi ko aakarshit kar raha tha.

Iske paschaat satsang pandal mein jaana hua. Poora pandal deepon, pushpon aur balloons se jagmagaa raha tha. Pehle satr ke baad bacchon ne mere janmotsav ke uplaksh mein cultural program present kiya. Satsang ke baad gayakon ne janmotsav geet gaaye, media walon ki bhi bheed thi. Sabhi ne prasaad, aur bhandara grahan kiya. Kayi prasiiddh akhbaaron ne yeh karyakram ke vishay mein lekh chhaape. Website per Live dekhne ka avsar bhi mere bharat aur vishv ke anya praanto ke bhakton ne liya. Poora din desh, videsh se aaye mere bhakton se milne mein vyateet hua. Sabhi ki shubhkaamnaye aur mere prati ananya sneh ne mujhe nishabd kar diya...
mere dil se sabhi ki mangalkaamna ke aashirwaad chhalak pade...