Tuesday, July 31, 2012

Sri Lanka mein 3 din...

17 July se 19 July tak ka samay Sri Lanka ki yatra mein vyateet hua. Wahan per Sanatan Sanskriti ke prachar mein lagi sansthao ko sangathit karke va unse sanskriti ki suvaas failaane hetu charcha karne ka uddeshya rakha. Sri Lanka mein Hinduo ki sankhya alp hai, wahan shuruwat mein Sanatan Sanskriti ke prachar mein prayatna-rat sansthayein dhundhna thoda mushkil hua. Hindi bhasha bhi jaan ne wala koi nahi tha, to vartalap samajhne samjhane mein bhi samay gaya. Dusre din ki sabah kuch baccho ke samooh ko kahin ek saath jaate dekha, unke saath hum bhi nikal pade aur International Hindu College pahaunch gaye. College ke principal ne humara bahut aadarpurvak swagat kiya, aur hume khub sammanit kiya. Unke sath kuch samay Sanatan Sanskriti ke prachar prasar aur Hinduo ke sangathan bal ko badhane hetu charcha hui.  Iske paschat Balaji Kriya Yoga Ashram, Sivananda Yoga Vedanta Centre, aur Hindu Coucil of Sri Lanka mein bhi jaana hua. Vishv ke kayi aur rashtron ki tarah, Sri Lanka mein bhi vibbhin logo se bhent karke Sanatan Sanskriti ki mahima se sabko parichit karane ka mangalmay karya aarambh ho chuka hai.

Monday, July 30, 2012

Sampann hua Mysore Ashram ka Bhoomipujan

Dakshin Bharat ki devbhoomi Mysore me Balmuri naamak manohar, shant, ekant, ramniya evam devnadi Kaveri ke tat par base Bhagwan Ganesh ke pavitra tirtha sthan par lok-mangalya hetu sthit hamare ashram ka bhoomipujan Shiv Mandir ke prangan me Mahadev ke pavitra divas aj Somvar ko sampann hua. Is ashram ke bhoomipujan samaroh me sthaniya gramin, Mysore samiti ke sadasya evam sewadhari upasthit the. Is purna Monsoon ke samay bhi aasmaan ko dhake hue baadlo ko hatakar Bhagwan Suryanarayan ne bhi purna tejaswi roop pragat kar Bhoomipujan ke samay apni upasthiti va prasannta pradarshit kari. Nikatvarti Mahadev Mandir me bhi humne pujan kiya jisse mandir ka vatavaran pavitra evam mangalmay ban gaya.  

Wednesday, July 25, 2012

Kaveri Ma ke sameep...

Kaveri nadi ke kinare, Mysore ki Balmuri Ganpati Mandir ke sameep, prakriti apne sarvottam swaroop mein prakat hokar humare hriday ke kone kone mein apna anand bikher rahi hai. Sabhi ko pulkit kar rahi hai. Kal shaam ko kareeb poore ek varsh baad humara Mysore mein punah ana hua. yahan ka sadhnamay vatavaran, parmatma ke sath tal mel jodne mein bahut sahoyogi siddh hota hai. Kaveri nadi ki lehre maano ucchal ucchal kar humare charan chhune ke prayas mein hai, inki sheetalta ne to hume apne vash hi kar liya hai. Yahan per satsang dhyan karte samay sabhi sadhako ko unchi anubhutiyan hui...
Kaveri Ma ko bhi humare saanidhya se kitni prassanta hoti hai...isska pratyaksh anubhav hume piichhle varsh hi ho gaya tha. Piicchle varsh jab hum Kaveri nadi ke kinare brahman karne aaye the, tab ek chandi ki angoothi humare charno mein achanak prakat ho gayi thi...wo kisi mahila ki khoyi hui angoothi nahi thi, parantu Kaveri Ma ki humare charno mein ek anupam, divya bhent thi...


Monday, July 16, 2012

Sripuram Ke Shakti Amma ji ke saath snehmila


Kal ka poora din Chennai se 2.30 ghante ki duri pe sthith Sripuram, Shri Lakshmi Narayani Golden Temple me vyateet hua. Parso raat yahan pahaunchne per humara bahut bhavya swagat kiya gaya. Fir kal subah yahan ke pramukh Shaki Amma ji se mulakat hui. Unka humare prati bahut sneh umda aur unke saath gehen dharm charcha karte karte 2 ghante kaise vyateet ho gaye, pata hi nahi chala. Iske saath saath Music Therapy per bhi vicharo ka adaan pradaan hua. In charchaon ke dauraan, Sripuram Golden Temple ke director Shri M. Suresh Babu bhi upasthit the, unko Shakti Amma ji ne nirdeshit karte hue kaha ki "jo jo Saiji bol rahe hain, wo sab note kare aur un sab baato ko follow kare". Isske paschat sneh bhoj hua aur humare aagman se khub prassan hokar Shakti Amma ji ne hume Sripuram mein Navratri ke dino me punah padharne ka amantran diya.
Jab maine Shakti Amma ji se puchha ki unko mujhse kya chaahiye to ve bahut namrata se bole ki "kuch nahi, keval apka prem chahiye." Unki yeh uchit maang ko dekh kar humne kaha "agar prem chaahiye to uss se sab aa jayega. prem hi parmatma hai. jisko mera prem mil gaya usko kisi cheez ki kami nai rahegi."

Sunday, July 15, 2012

South India mein jagai alakh

Kareeb saptah bhar Virar ashram mein satsang aur sewa karyo ke margdarshan nimmit rukna hua, fir 14 July dopahar ko flight se Hyderabad pahaunche. Wahan bhakton ko darshano ka labh mila, unke lagbhag saal bhar ki tappasya aur pratiksha aakhir safal hui. Fir aaj subah Chennai pahaunche aur sabse pehle Chennai Trade Centre mein aayojit International Auto Expo mein kuch bhakto ke saath jaana hua. Wahan world-class automotive brands ke aaadhunik designs aur technology se bhi zada environment aur fuel efficiency ke vikas ki gatividhyan dekh kar ullaas hua.
Iske baad dopahar 2.30 baje humare ek bhakt Rajesh ji ne apne ghar le jaane ki prarthna ki, uski shraddha prem ke vash hokar humko jaana pada. Rajesh ji hume apne putra rup mein bhajte hain, unka humare prati bahut pragad prem hai. Jab picchli baar hum Chennai aaye the to unhone humari liye jiss car ki vyavastha ki thi wo unke kisi mitr ki thi. To humne unse yu hi keh diya tha ki unki apni car aa jaye to accha rahega. Iss baar hum Chennai pahaunche to vey apni car laaye aur bataya ki isko sirf 1000 km hi chalaya hai abhi tak, kyunki apne putra ke charan pade bina iska upyog karna uchit nahi laga. 
Humara Chennai padharna achanak hua issliye satsang ke liye Hall book nahi ho saka, to Rajesh ji ne apne ghar per hee satsang karyakram ki vyavastha kar di. ur SMChennai ke tamam bhakto ko phone aur SMS dwara prachaar kar diya gaya, 5 baje tak bhakto ki bheed lag gayi unke ghar pe aur kuch hi deir mein kahin bhi baithne ki jagah nahi bachi. kareeb 2.30 ghante satsang chala, aur Rajesh ji ne wahin bhojan prasad ki bhi vyavastha kar di thi. Chennai ke bhakto ne gyan amrit varsha ka khoob anand uthaya. Bahut sare bhako ne ashram dwara prakashit Vishvguru Ojaswi ki sewa karne ka sankalp liya. Darshano paakar sab gad gad ho gaye aur hume wahin ruk jaane ke liye prarthna karne lagey. 
Per jogi to ramta bhala...ab hum Vellore stith Sripuram Shri Lakshmi Narayani Golden temple ke liye ravana ho chuke hain...raat ke 11 baj rahe hain...12.30 baje tak pahaunch jaayenge....Golden Temple ke pramukh Swami Shri Kalyan ji ne hume yahan tak lane ki khub sundar vyavastha ki hai, hume bahut hi swagat, satkar ke saath Sripuram tak le jaaya jaa raha hai....
Kal unse mulkat hogi...
Shubh ratri

Thursday, July 5, 2012

Lakshya chaahe God ho ya God Particle...manushya ke liye sab sambhav hai

4 July ko Udaipur ke Havala ashram mein bhakton ko gurupurnima darshan va satsang ka labh mila. Sabhi ne prem bhav se guru pujan kiya aur unki pavan shraddha dekh kar mere dil se unki adhyatmic unnati ke liye ashirvaad chhalke bina nai rahe. sham ko 3 baje Air India ki flight se hum Mumbai ke liye nikle. Mumbai pahaunch kar pehle Goregaon ashram mein bhakto ke sailab ko gurupurnima nimmit darshan de kar, fir Virar ashram pahaunche jahan kal se 3 din tak gurupunam darshan va satsang karyakram hoga. Iss safar ke dauran Higgs Boson yani God Particle ki khoj ke baare padha. 113 desho ke hazaron vaigyaniko ne mil kar brahmand ke nirman ka sabse ahem aur mahtvaporna ati-sukshma tatva ke vishay mein safal khoj ki hai. Iss sukshm tatv ko Higgs Boson ya God Particle ka naam diya hai. Khoj ke anusar yeh kan barhmand ki har vastu mein dravyaman paida karne wala tatv hai, aur isi ke karan se parmanu, anu, tatva va anya paddartha bane hain. Iski khoj ke dwara ab vaigynaik brahmand ki utpatti se jude rahasyo ki bhi jaankari grahan kar sakenge. Vigyan jagat ki yeh ek mahatvpoorna, etihaasik khoj hai. Hum vigyaniko ke purusharth ki sarahna karte hain, unhe sadhuvaad dete hain. Per yeh baat bhi dhyan dene yogya hai ki humari Sanatan Sanskriti ke rishi muniyo, sadhu santo ne to pracheen kaal se hee dhyan ki gehrayiyo mein jaa kar Brahmand ke rahasyo ko khoj nikala tha. Adhunik samay ki iss vaigyanik khoj mein to kareeb 10 billion dollar ka kharcha hua aur kitne saare vaigyaniko ko ek saath kitne varsho tak prayatna karna padha, per humare desh ke rishi muniyo ne toh bina kisi bahari vastu, rupay, paise ke, keval ekant mein sadguru ke margdarshan ke dwara hee brahmand ke nirman aur anya rahasyo ko jaan liya tha. Swayam yeh divya gyan praapt karke va ishwariye shanti ka anubhav karke, iss divya gyan, prem aur madhurya ko sahajta se hee jan-jan mein lutaya. Sant Narsinh Mehta, ne toh "akhil brahmanda ma ek tu shree hari..." apne anubhav-smapanna bhajan dwara poore brahmanda mein ishwar ki satta ka praman kitni sadiyo purva hee de diya tha. Bharat ke santo ke anubhav ki shrinkhala ko kayam rakhte hue Bhartiye Bhautikwad Satyendranath Bose ne to 1924 mein hee God Particle jaise tatv ki upastithi ki ghoshna kar di thi. Yeh tamam god-particle poject Satyendranath ki shodh-kriya per hee aadharit hai. 
Har vyakti mein ishwariya shakti, buddhi aur vivek ka sampoorna khazana chhupa hai. Usko viksit karke, apna dhyan kendrit karke jiss bhi lakshay ki prapti mein lagaya jaye, uss lakshay ki prapti avashya hoti hai. Jiss prakar inn vaigyaniko ne apna poorna dhyan aur urja God Particle ki khoj mein laga diya...aur itne varsho tak himmat haare bina uss tatv ki khoj mein praytnarat rahe, to aakhir safalta mil hi gayi... ussi prakar manushya himmat haare bina agar adhyatmic marg mein agrasar rahe, ishwar ki khoj mein utsahpoorvak praytnarat rahe, manushya apne bheetar hee dhyan kendrit karke brahmand ki utpatti se jude rahasyo ko jaan sakta hai...sheeghra ishwar praapti kar sakta hai. nothing is impossible for humans, they can achieve anything they fix their focus and dedication on....sadguru ka margdarshan aur apna purusharth, kaam bane bina rahega nahi. om.