Monday, November 5, 2012

Sharad Poornima Bilaspur Mein

Himachal Pradesh ke Bilaspur stith ashram mein Sharad Poornima ke dhyan yog shivir mein sabhi sadhako ko alaukik va vilakshan anubhav hue. Adhara amrit ka paan karne bhakt Shimla, Kullu, Chandigarh, Jalandhar, Delhi, Karsoh, aur Uttarakhand se pohonche. 3 din ke 9 charano mein sadhako ne dhyan ki gehrayiyo me pravesh karke ashta-satvik bhavo dwara parmatma ke saath nikata ka anubhav kiya. Sankirtan mein kitne to jhoome, naache, dhyan mein virah ke ashru bahaye, paramanand ki masti mein khoob hasey, muskuraye...

Pehle kabhi na gaaye hue, sune hue sankirtano ne teeno din Bilaspur ke shivirarthiyo ko ish-prem se sarabor kar diya....kaliyug mein aisa adhyatmic vatavaran...nazara dekhte hi banaa... aise kabhi nai jhoome the mere pyaare pehle...unki aankho mein prabhu milan ki tadap utpan karne wale sankirtano ne unhe rulaya bhi, hasaya bhi aur jhoomaya bhi...
Do din ashram ke nikat jheel mein nauka vihar hua. Chandni ki sheetalta mein, pahado ke beech,  Sai ke pyare bhakt, Sai ki nauka mein sawar hokar bhav se paar utarne ka anubhav karne lage...atulya tha wo drishya, vilakshan tha wo nazara...
Bansi ki madhur dhwani per dhyan ka alaukik anand sharad poornima ki raat ko khule prangan mein sabhi ko mila....