Sunday, February 10, 2013

Bahut samay baad aaye Jaipur


Sagwara ke bhakto ka prem dekh kar hume Vrindavan ke gwal aur gopiyo ka prem yaad aa jaata hai. Apne prem ke vash kar unhone hume janmotsav karyakram ke paschat Sagwara hi rukne ki prarthna ki…sabhi ka ashrupaat va sahridayi vinnati ke karan humne apne  aagami karyashaili me 2 din ka viraam diya..
Fir 1 February dopahar ko Jaipur Centre pohonchna hua. Aate hi apni kuttiya ke study room me kuch ghante vayteet kiye…ekant me adhyayan, manan, chintan karte karte din sampan hua….
Sanstha ki adhiktar sewayein Jaipur centre se hi chalte hain…centre me rehne wale ashram wasiyo ke sath meeting kar unhe navin va vartman me chal rahi sewaon ke liye margdarshan diya…
Kuch nayi sansthayein banana ke vicharo ko yehin pushti di. Healing Force of Music and Dance Therapy Foundation ke objectives banaye gaye…Shakti Sena sanstha ki sewa gatividhiyon per bhi ashram ki benho ko margdarshan diya…Holistic Health Care centre banana ka bhi nishchay le kar ashramvasiyo ko isi nimmit sewayein saupi. Kal sham ko Jaipur ke anek sadhako ne apne anubhav suna kar humare prati apni shraddha va prem ki  dor ko aur mazboot kiya….
Is bar bahut lambe samay ke baad Jaipur Centre aana hua. Yahan sabhi ke dilo me anand va prassanta ka thikana nahi hai…
Ab in sabki yeh prarthna hai..”Saiji abhi kuch din aur yahan se na jaayiye…”
6 February subah 6 bje ki Double Decker train se Delhi jaana tha...Shat-tila Ekadashi va Tithi anusar Janmdivas ke avsar pe prarthna hall me ashramvasiyo ne deepak jalaaye...subah 5.30 bje sabko darshan diye aur fir bada deep jala kar prasad diya....
Fir nikal pade Delhi...

Tuesday, February 5, 2013

AANANDOTSAV 2013


Is varsh avtaran divas Sagwada ke shraddhalu bhakto ki jholi me gaya. 28 aur 29 January do divasiye satsang karyakram va janmotsav Bapuji ke Sagwara ashram me manaya. 28 ko humare aagman per ashram ke pravesh dwar se milo pehle hi bhakto ki bheed ekatrit ho gayi…haath me pushp, aarti ki thaaliyan, dhol, aur manjiro ke saath…Fir gaadi ke sath sath chal kar ashram ki kutiya ke gate tak bhakto ne humara swagat kiya.
Desh ke kone kone se kayi bhakt padhare. Himachal, Delhi, Gujarat , Maharashtra, Rajasthan, Madhya Pradesh, UP, Haryana, va Uttarakhand ke sadhakon ne Sagwara pohonchkar hume 29 ki subah shubhkamnayein di aur apna prem bhajan, shubhkaamna geet, va nritya dwara vyakt kiya. 29 subah ke satr se purva ashram parisar me yagya ka ayojan hua. Humare pramukh yagya kund ke aas paas anek yagya kund banaye gaye, jisme bhari sankhya me sadhako ne brahmano ke aadeshanusar baith kar samasta vidhi-purvak samoohik yagya kiya. Amla va badd ke vriksho ki chhaya me yagya sampan hua.
Sham ke satsang satr tak pandal poori tarak bhar gaya….samiti ke bhai pandal badhate gaye, per sadhako ki sankhya ne har baar pandal chhota kar diya. Diyo, pushpo, rangoli va bhakto ki madhur muskano se pandal bahut sundar sajaa. Vyaspeeth ka nazaar bhi anupam tha…5 rang ke akshat se banaa vishal swastik, va diyo aur phoolo se jagmagaata manch…
Humare aate hi sabhi mangal geet va shubhkaamnao ke bhajano per jhoom uthe. Satsang gyanamrit shravan karke bhakto ne anek karyakram prastut kiye. Bal sanskar ke nanhe nanhe baccho ne bahut divya pradarshan ke rup me nritya va prernadayi natak prastut kiye…
Vagarvasi kshetra ke bhakto ne ek nirala nritya prastut kiya, jisme anek prakar ke sangeet vadan, kalatmak hasta va charan mudraon ne karyakram me ek nayi chamak pradaan ki. Dekhte hi dekhte sabhi sadhak bhakt iss nritya me shaamil ho gye. Singapore se aaye ek sadhak parivar ne prarthna ki ki unke bĂȘte ka vivah humare janmotsav ke avsar pe ho. To isi avsar per sham ke charan me 2 vivah hue…bhari sankhya me prastut bhakto ka ashirwad grahan karke nav-vivahit var vadhu ne apne ko bahut bhagyashali mana.
Ashram dwara prakashit ‘Ojaswi Jivan Ki Aur pustika’ ka vimochan bhi aaj hi ke din hua…ashramwasi sadhikaon dwara banaye gaye 41 parakar ke khaakhron ka prasad sabhi me baanta gaya. Sagwara Samiti ne humara phool har dwara swagat kiya…
Mahilaon ke utthan va unnati hetu nirmit ‘Shakti Sena’ sanstha ka bhi gathan janmotsav ke shubh avsar per hua. Shakti Sena ki behno ne vyaspeeth per deep ujwal kiye…aakhri bada deep humare dwara ujwal karwane ki prarthna ki.
Upastith bhakto ke liye na na prakar ke vyanjan va bhojan mahaprasad ki bahut sundar vyvastha hui…Kirtan, nritya va aarti ke sath janmotsav sampan hua.
 Itna utsah, itna anand, itna mangal vatavaran, itni mangalkamanaye…picchle varsho se bhi adhik vishesh manaa iss bar ka janmotsav…