Thursday, December 29, 2011
Sagwada se ab Banswara
Sagwada ka dhyan yog shivir
Sagwada mein mera bachpan se aana jaana hai. Yahan ke bhakton ke sankalp mujhe aksar yahan kheench laate hain. Kitne hee bhakton ko kitne saalon se yeh aas thi ki mere charan unke ghar pade. Issliye poornahuti ke baad mere sewak mujhe Sagwada ke 8 bhakton ke ghar le gaye. Ek ek bhakt ke ghar mein mera bhavya swagat hua. Sabhi bhakt mujhe apne ghar mein aaye dekh bhaav vibhor ho gaye. Ashtsatvik bhaavon ki shraddhanjali mujhe arpit karne lage. Ek bhakt ne mujhe bataya ki woh aur unka parivar meri picchle 25 saal se raah dekh rahe the. Unka mere prati prem shabdon ki seema se baahar hai. Raat 11 baje tak yahi sab chalta raha. Fir jab 11 baje ke baad apne utaare per jaane ke liye sadak per gaadi mein aaye, tab ek anupam drishya dikha. Poore Sagwada ke raaston per bhakt aarti le kar, diye jalaa kar khade hue the. Har gali, har raaste per, bacche, buudhe, naujavan, behne, aarti kar rahe the. Sagwada ke bhakton ka mere hriday mein ek khaas hee sthan hai.
Victory of good over evil
Om Peace.
Sunday, December 25, 2011
Kushalgarh mein kal mantra diksha ka karyakram...
Fir 27 December se Sagwada mein teen din ka dhyan-yog shivir aarambh hoga.
Thursday, December 22, 2011
Dharmo Rakshati Rakshatah
Sadhuvad hai aise dharm rakshakon ko jo vishw ke kone kone se Hindu dharm ke khilaaf badhti hui andhi ko rokne mein tatpar hain.
Dharmo Rakshati Rakshata: jo dharm ki raksha karta hai, dharm uski raksha karta hai.
Om
Shrimad Bhagwadgita
Shrimad Bhagwadgita ko jisne bhi dedication aur shraddha se padha hai….fir chaahe wo Hindu ho, Muslim ho, Parsi ho, Christian ho, ya Sikh ho…usne iss granth se zaada swatantra aur nirbhay banane wala aur koi granth nahi dekha. Yeh keval mere shabd aur bhav nahi hain…yeh vishv ke kayi mahaan vyaktiyon ka ekmat anubhav hai.
Aayiye kuch prassidh vyaktiyon ki bhasha mein unke Shrimad Bhagwadgita per vichaaron ko padhte hain:
Albert Einstein, jo ki modern era ke sabse prasiddh scientist reh chuke hain…wo khud apne dharm se German Jew the. Unhone Bhagwadgita ko padha aur samjha…uske baad unka yeh kehna tha:
“When I read the Bhagavadgita and reflect about how God created this universe everything else seems so superfluous.”
(matlab: jab main Bhagwadgita padhta hu…aur jab yeh sochta hu ki bhagwan ne srishti ka nirman kaise kiya, to sab kuch anavshyak aur nirarthak lagta hai…keval Geeta ka gyan hee satya hai.)
Henry David Thoreau jo ki 19th century ke prassidh American philosopher aur lekhak the, unhone bhi Geeta ka adhyayan kiya…aur unka yeh kehna tha:
“In the morning I bathe my intellect in the stupendous and cosmogonal philosophy of the Bhagavadgita, in comparison with which our modern world and its literature seem puny and trivial.”
(matlab: Har roz subah main apni mati ko Bhagwadgita ki mahan sarvor mein snan karwata hu. Iss mahan granth ka adhyayan karne ke baad hum iss yug ke manushyon ke dwara rache gaye sahitye bahut hee tuuchh aur sadharan lagte hain.)
Dr. Albert Schweitzer jo ki 20th century ke prassidh German philosopher aur doctor the, unke shadbon mein:
“The Shrimad Bhagwadgita has a profound influence on the spirit of mankind by its devotion to God which is manifested by actions.”
(Bhagvadgita ka manushya-matr per ek gehra asar hai. Yeh hume karma yog ke sahayta se ishwar ki upasna ka marg dikhati hai.)
Canada ke Prime Minister Mr Trudeau ne jab Bhagwadgita padhi to ashcharyachakit ho kar bole:
“Maine kayi dharm granth padhe hain per Shrimad Bhagwadgita granth to adbhut hai. Ismein kisi bhi mat, majhab, panth, sampraday ki ninda stuti nahi hai balki ismein to manushya matr ke vikas ki baat hai. Sharir swastha, mann prassan aur buddhi mein samatva ka, brahmgyan ka prakash jagaane wala granth hai yeh Bhagwadgita.”
Unhone ne Shrimad Bhagwadgita ke vachno ko apne jeevan mein utaarne ke baad kaha…”Gita is not the bible of Hindus, but it is the bible of humanity.”
Ab itne mahan vyaktiyon ke anubhav jhoothe to nahi ho sakte. Fir kaise keh diya Russia ki Tomsk University ne ki “ Bhagwadgita “extremist” granth hai…”isko ban kiya jaaye”?
Russia ko ek secular aur democratic country ke ruup mein jaana jaata hai. Tomsk University ke Orthodox Christians ke iss remark se Russia ke vidwaano ki dayani stithi ka parichay hua hai. Poore vishv ke log Shrimad Bhagwadgita ko aadar se padhte hain, schools, colleges aur Universities mein iska adhyayan karaya jaata hai…Bharat aur anya desho mein iski puja hoti hai…iski jayanti manayi jaati hai…aise aupam aur asamanya dharmgranth ke ansh bhar bhi apmaan ko Bharatwasi nahi sahenge. Hum sabka yeh kartavya hai ki hum Shrimad Bhagwadgita ki mahima ko khud bhi jaane aur doosre desh aur dharm ke logon ko bhi parichit karwayein.
Wednesday, December 21, 2011
Petlawad ka anupam drishya
Mere darshan prapt karke inn sabhi bhakton ki khushi ka thikana hee nahi hai...Baapuji ke ashram mein mera bhavya swagat kiya sabne. Satsang shuru hone tak to laga hua pandal poora bhar gaya. Satsang abhi shuru hee hua tha ki double pandal badhaana pada. Bhakton ki bheed ne pandal fir chhota kar diya...fir se pandal badhayaa gaya...
Satsang ke baad bhandara bhi hua...kitne hee bhakton ne issmein sewa ka yogdan dekar sabhi Petalawad ke shraddhaluon ko kapde, anaaj, bartan aur kambal ka vittaran kiya.
Ab to meri bhi khushi ka thikana nahi hai ...
Monday, December 19, 2011
Kal Ratlam ke paas Sailana ke aadivasi gaon mein satsang hua. Bhakton ka sailab umad pada...bahut samay se satang aur darshan ke pyaase bhakton ka sapna sach hote dekh ek adbhud anubhav hua. Kum suvidhaaon mein jeene wale yeh aadivasi log dil se ameeri ki parakashtha per pahaunche hue prateet hue. Inke dil ke shraddha bhaav aur mere vachano aur darshan ke prati preeti ki to jaise koi seema hee nahi thi...bahut bahut saadhuvaad hai inn sabko.
Satsang ke baad shaam ko Mangalya Mandir gaye...ratri mein mandir ka parisar bahut lubhavana lagg raha tha.
Aaj fir se Sailana mein satsang aur ek vishal bhandara hai...jahan sabhi bhakton ko kapde, kambal, prasad aur mithai ka vittaran hoga.
Sabka mangal...sabka bhala....
om..om..om...
Thursday, December 15, 2011
Madhya Pradesh se Madhya Pradesh tak ka safar
Indore ke poonam darshan ke vishal karyakram ke baad kissi vishesh karya se achaanak Delhi jaana pada. 13 December subah 12 baje flight se Delhi ke Terminal 3 ke paas apne ashram pahaunche, 3 baje meeting ke liye gaye aur raat ko rajokari ashram mein sabhi bhakton ko darshan de kar wahin vishram kiya. Agley din 14 December ki subah fir se meeting ke liye kahin jaana hua, aur fir dopahar ko 3 baje Karol Bagh ashram pahaunche jahan bhakton ki bheed mera intezaar kar rahi thi. Unko darshan dekar sham 6 baje ki flight se Bhopal ke liye nikal gaye kyunki agley din, 15 December ko Dewas mein karyakram tha. Bhopal se Dewas lagbhag 160 km ki duuri per hai. Indore ki jagah Bhopal ki flight yeh soch kar li, ki Bhopal se Dewas pahaunchane ke raaste mein 3 jagah per satsang aur darshan ka karyakram ho jaayega. Ek taraf Delhi airport per Delhi ke bhakton ki udaasi thi, to doosri taraf Bhopal airport per Bhopal ke bhakton ka bhavya swagat. Madhya Pradesh ke bhakton ke sankalpon ne mujhe 15 December ki subah Bhopal mein gurukul mein vidyarthi vishesh satr, fir dopahar ko Sehore, Ashta, aur fir sham ko dewas mein kirtan yatra aur satsang karne ke liye aakhir kheench hee liya.
Ab kal dopahar (16 December) ko Dewas mein satsang ka ek satr de kar, Kaytha ke liye rawana honge.
Monday, December 12, 2011
Nano: the small wonder
29th November 2011, ko Jaipur centre aana hua. Yahan ke sevakarya mein vyast sadhak humare aane se gad gad hue. Un sab ke saath unki sevaon ke vishay mein charchaa ka ek satr chalaa. Sevaon ke vistaar, sanstha ke badhte hua karyon va sabhi sadhakon ki city mein baar baar aane jaane ki zaroorat ke bare mein pataa chalaa. Sabhi ko kissi na kissi karyavash city mein din mein ek baar jaane ki avashyakta padhti hee hai. Unki baton se lagaa ki yahan per ek chhoti car ke avshyakta hai jiss se seva aur acche dhang se ho sake
Sevakon ne akhbaar ke vibbhin vigyaapan dikhaaye. Tata motors ke showroom mein jaana tey hua. November ke mahine mein Indica Vista per car exchange offer tha, socha ki wahi lenge. Per jab showroom mein Nano ke 2012 model per nazar gayi toh, Indica Vista lene ka vichaar badal gaya. Mojito green colour ko aaye hue 2 hee din hue the, abhi poore Jaipur mein 2012 ki keval ek hee car sell hui thi aur mojito green colour ki pehli gaadi wohi thi…jissper humari nazar thi.
Showroom ke sales executives se baat hui. Mujhe showroom mein swayam dekh kar 4 showroom executives mere paas aa kar vibbhin cars ke bare mein mujhe parichit karaane lagey. Per Nano jaisi chhoti, economical, cute, maindak jaisi, compact aur zaada milega dene waali car koi aur nahi dikhi. Aakhir mein, Nano Mojito green colour le hee li … Its improved features, noiseless engine with improved suspension and2 rear view mirrors, and nice, stylish interiors was enough to impress. I was given discount too! Acchi deal mein at the same time payment karke car centre tak main svayam chala kar laaya. Sabhi sadhak bahut khush the. Unke sevakarya karne mein aur utsaah badh gayaa.
Sunday, December 11, 2011
Music: the breath of life
Very recently I came across some youngsters from North India listening to a Tamil song in their car. They seemed to be in awe of the song…I vaguely remember the lyrics being … “Kolaveri Kolaveri…” At my behest, when my sevak asked one of the lads, he said, “we really love the music beats and the style in which it is sung…it hardly matters that we do not understand Tamil…”
Yeh sach hai ki sangeet mein insaano ko badalne ki taakat hai. Accha sangeet jeevan ki udaasi aur tanaav ko duur karta hai. To humesha apne jeevan ko sangeet, nritya aur kalaon se sarabor rakhiye, apne jeevan ko aur mangalmay banaaiye.
Saturday, December 10, 2011
Khagras Chandra Grahan, 11 December 2011
Subah 9.15 baje se hee sutak lag gaya tha. Iss samay ke baad bhojan karna varjit tha. Humare shaastron mein Chandra Grahan ke din upvaas aur snan ki khuub mahima hai. Upvaas grahan lagne ke 9 ghante poorv hee prarambh ho jaata hai.Grahan ke shuru hone aur samaapti per snan karne se vishesh phal ki praapti hoti hai.Yehi kaaran hai ki Haridwar, Prayag jaise tirth sthalon per grahan ke samay shraddhaluon ki bheedh lagi rehti hai. Grahan ke yeh 3.30 ghante maano saadhna ke path per chal rahe saadhakon ke liye jaise ek golden opportunity the. Iss samay kiya gaya jap dhyaan, lakh guna phal deta hai. Omkar ki toh vishesh hee mahima hai. Ashtakshara Mantra aur Mrityunjaya Mantra japne se shanti ki praapti, swasthya mein vriddhi, aur prema bhakti ke maarg mein unnati pradaan hoti hai.
Margshirsh poornima ka shubh divas aur khagras chandra grahan jaisa anupam mauka ek saath aana bahut durlabh baat hai. Kal ke din ka laabh yahan Indore ke bhakton ne bhi liya. Poornima darshan ke saath saath vrat, upvaas, jap dhyaan ka ek anupam mahaul bann gaya tha. Raat 9.48 tak nirantar jap chalta raha. Uske baad mein, sabne snan karke bhojan prasad praapti karke ratri ka vishraam kiya.
Tuesday, January 18, 2011
Ahmedabad ko hue ravana
Ahmedabad me Pujya Gurudev bhi padhare hue the. Thoda nitya niyam se nipat kar Bapuji ke paas jana hua. Kafi der sath me raha - baatcheet hui, bahot se vishyo pe vichar - vimarsh hua.
Ashram ki seva - vyavasthayo bhi charcha hui.
Monday, January 17, 2011
' FESTIVAL OF LIFE '
Shaam ko Prof. Satya Vrat Shashtriji se milna hua. Aise vidvan mahapurush aaj dharti pe durlabh hote ja rahe hain. Kafi samay unke sath bitaya - unki kritiyo pe nazar dali.
Sunday, January 16, 2011
Subah Delhi Pahocha
Airport Terminal 3 ke samne Satsang Seva Ashram ( Same Ram Baba ki samadhi ) pe rukna hua.Dopahar tak to aur bhi bahot se bhakto ko suchna mil gayi aur Ashram me jan sailab umad pada. Sahaj aagman - sahaj suchna - sahaj jan sailab - to sahaj me hi Satsang - hari katha bhi ho gayi. Yahin ekant satvik ashram me aaj ka din beeta.
Saturday, January 15, 2011
Ekant - maun me beeta din
Friday, January 14, 2011
Machine ko thik thak karne me lage
Aaj is sharir ka swasthya thoda narm hai. ' Tann dhariya koi na sukhiya dekha ' - Kabir ji ne bahot sundar kaha hai.Is sharir me bhi koi na koi dikkat lagi rahti hai. Ye Ishwar ki di machine hi to hai, aaj is machine ko thik thak karne me lage hain.
Rog bhi us Yaar ka diya hai...Hume dono hain pasand, chahe dhoop de ya chhanv....
Thursday, January 13, 2011
Na Bheed se dikkat,na ekant se lagaav...
Lekin yadi prakriti is sharir se kuchh aur karya karvana chahe to muzhe koi aagrah bhi nahi hai , '' Ab soup diya is jivan ka sab bhar tumhare hatho me... ''
Yahan bhi ekantvaas ki ichha se hi aana hua tha lekin na jane kahan se logo ko mere aane ki khabar pahoch gayi aur subah se hi ve bahar aake baith gaye the. Lagbhag 12 baje bahar sabke beech satsang hua.
Na koi aagrah - na duraagrah , na bheed se dikkat - na ekant se lagaav ,
Har dam khushi, har haal khushi , har waqt amiri hai baba !
Jab aashiq mast fakir hua , fir kya dilgiri hai baba !!!
Wednesday, January 12, 2011
Virar me ekant ke pal
Charo aur pahadiyo ke beech bana ashram, dhyan yog ka anand deta hua....
Socha kuchh din aise hi beetayein...
Raksha bandhan , janmashtmi ke baad ab aana hua hai yahan! Socha ekantvaas karenge lekin bahot log bahar aa gaye...Kab tak akad ke baithenge - milna to padega ! Jo Hari ichha...Chalo, Fir chalte hain bahar.....
Aapka apna
Tuesday, January 11, 2011
Virar, mumbai
par najar gai,dhyan me baitha aur 7 bje boat me baith kar samne paar gaye. Mere sath aur do boats bhi thi,pollution free us anandmay shant vatavaran me pranayam kiye, aur ghumna hua.
Surya snan krke 10 bje tak aasan aur surya namskar kiye, jise mere sath lagbhag 20 logo ne dekha.
Dharampur se aye hue sadhak,vithalbhai...... , amti se aye hirabhai sarpanch( jinhone bahot achha Gurumandir banaya hai.....loksewa ke bahut achhe karya kiye hain) - unhone darshan-swagat kiya.
vithalbhai ne 2-3 aur logose parichay karvaya jo 140 balsanskar khol chuke hain,
Dharampur,Kaprada aadi kshetro me, unki sewa sarahniya hai..
Maine unko jungle me chalnewale b.s.k.me bachoko ayurvedic aushdhiyo ka gyan deneka suzav diya.aur shikshako ki 1 dinki shivir rakhneka bhi suzav diya,ve bahut khush the.
Bhakto ne ek house boat ki vyavastha ki jiski chhat pe 35-40 log baithe, aur 1 hr. usme ghumna aur satsang hua.
Baadme silvassa hote hue virarke liye prasthan kiya,silvassa ke border tak samiti ke 8-9 log muzhe chhodne aae jinme the Sharmaji,Rathod-Ex-P.I. aadi.Gili aankho se unhone muzhe vidai di. 7.13pm tak Virar ashram pahuche.
aur ab bhojan karne baith raha hu,,,aap anand me honge....
kal 12 Jan. ko budhwar hai aur ashtmi bhi hai... jap,dhyan ka vishesh mahatv hai...
avashya labh uthayein...
aajka din bahot anandme beeta, sabka bahut sneh, prem mila...
Aapka Narayan.
Monday, January 10, 2011
Aisa anand jo kabhi chakha nahi...
Satr purn hone pe Ek Mahatma mere darshan hetu padhare, unhone bataya ki kafi samay se unki muzhe milne ki ichha thi jo aaj puri hui !
Bhojan ke baad Aamti jana hua jahan chhote chhote masum bachcho se sneh-milan hua, unke sath saral bhajano ka anand liya. Unki bholi meethi aavaz me bhajan sun-na aur unhe bhajan ke shabdo pe nritya karane me adbhut anand aaya - Bachcho ki nirdoshta - saralta sabhi ko apna bana leti hai, yadi isi umr se unhe sahi disha mil jae to ve bahot aage ja sakte hain aur har karya me safal ho sakte hain!
Abhi Aamti se dudhni ke raste pe gadi chal rahi hai - Prakriti ki divyta uske rachyita ki yaad dilati hai - tede medhe raste - lambe lambe ghane vriksh- shant ramneek vatavaran baar baar yahan kheench layega , aisa muzhe lagta hai !
Sunday, January 9, 2011
Silvassa me 1 din aur bada
Kal ka satr subah Meghwaad Ashram me hoga jo city se bhale dur ho par prakriti ki god me hone se dhyan ki gehraiiyo me sadhak shir pahoch sakta hai.
Saturday, January 8, 2011
Hari katha hi katha...
Subah lagbhag 10 baje Pandal me Satsang prarambh hua, Shiv kirtan me sabhi tal-leen ho zhumne lage ! 'Vichar kranti Abhiyan' me kafi shradhulu logo ne vishwaguru ojaswi bantne ka sankalp liya.
Kuchh premi sadhko ke snehpurn aagrah ke karan unke ghar jana swikar karna pada. Maine unhe kaha ki Mai aapke ghar ek hi shart pe aaunga , yadi aap bhi mere ghar aao jahan mai aapko le jana chahta hu to mai bhi aapke ghar aau! Unhone saharsh swikar kiya, Ishwar unhe unka sankalp pura karne ki shakti de aur ve shighr apne vastvik ghar me pahoch jaein - yahi shubhkamna !
Friday, January 7, 2011
Silvassa me sakshat Prayagraaj...
Mere nivas ki bahot sundar vyavastha ki gayi hai. Meghwaad ke ekant me bane shant-ramnik Ashram me mai ruka hu. Subah - shaam Hari bhakto ke sath Hari charcha hui jisme sabhi ko khub khub anand aaya! Yahan ke shant prakratik vatavaran me mann svatah hi amannibhav me leen ho raha hai - jahan na vani pahoch sakti hai na koi shabd ! Us anand ki madhushala me aap sabka swagat hai !!!
Aapka Narayan
Thursday, January 6, 2011
Thermal me Satsang Sampann
Shashi ne bahot sundar prashan puchha hai - Dekho, Guru mane kya ? Guru mane bada - to Guru darshan matlab - Aapka darshan bada ho, vishal ho ; Aapke thoughts - aapki drishti vishal ho ! Itna vishal ki Ishwar ke darshan ke lie mandir ki bhi aavashakyta na rahe ! Jaisa Guru ka darshan hai vaisa hi aapka bhi ho jae ! Aap bhi unki tarah aatmakar - brahmakar vriti me rahne lagein - yahi Guru Darshan ka sahi arth hai.Lekin iske lie bhi bahar ke darshan ki jarurat to hai hi.Agar bahar ke darshan baar baar na kar paein to unke vichar - unka updesh unke sahitya - cd - mp3 dwara baar baar pad-sunke uska raspaan karna chahie.
Shaam ko lagbhag 5 baje Thermal se nikla aur Baroda ke premi bhakto ko darshan - prasad dete hue abhi Surat ( Kamrej) pahocha hu !
Aapka Narayan
Wednesday, January 5, 2011
Personality Development Programme Thermal me
Tuesday, January 4, 2011
Janmotsav Gambhoi me
Shubh Ratri ! Sanso ki mala me us alakh ka smaran karte karte apne ratri vishram ko Yognidra banane ki kala aap sikh lein - aisi Shubhkamna !
Monday, January 3, 2011
Ho jao 3 gunose paar
Gun hi gunome barat rahe hai..avinashi aapka aatma to sada nirlep
hi hai,aisa jankar parmanand ka anubhav karo'.
------------------------------------------------------------------------
kubernagar ,amdavad me 2 dinka satsang purna hua.kal suba pedhmalake ekant me
dhyan yog ka anand liya.fir gambhoi me ashka ka janmdin badhai diya,9.40 am
ko himatnagar ashram pahuche,aur nae pandalka udghatan kia..aur 10.15 se 12.15 tak
satsnag karke...satsang ayojako se 15 min. gufgu karke amd. ravana hue.himtngr me hasmukhbhai
talati ke ghar pagla hua...amd.stsangke baad pagloka karyakarm 9.45 tak hua.
girdhari,bhagwandas,pawanbhai,gopi,kumar,gordhan,ashalesh,
suraj hosiery,sonu,krishna enterprise,dhanlaxmi fruit centre,meet apparels,
itnoke ghar jana hua.
CHANCHAL KI SEWA BAHUT BADHIA RAHI.
SEWAME TATPARTA HAI..AUR SEWAKI MAHIMA BHI PATA HAI..AESI LAGAN
BANI RAHE.
aur ratri 12.00 gambhoi pedhmala pahuche. aaj aur kal din ekant aur ashram vyavashtha,sewa sadhna ke lie...
sai sudarshan ke lie .matlab AAPKE LIE,AAPE GHAR DVD VCD ME BAND HOKAR
PAHUCHNEKE LIYE.....
Om anand. AAPKA sai,
NARAYANAM..
Sunday, January 2, 2011
2 ko jano thik se
Saturday, January 1, 2011
2 din Ahmedabad me
1 jan. Ahmedabad.
Ahmedabad jo ki is sharir ka janamsthan hai,yahi is sharir ki bachpan ki mitthi yaadein bhi judi hain, to un logo ka sneh-prem aur lagav bhi vishesh hi hai jinhone muzhe bachpan se aaj tak dekha hai ! kai to aise hain jo mere sang utsav manana chahte hain – unke lie khas ye do din maine nikale aur satsang ko ek utsav ke dhang se manane ka nishchya kiya aaj aur kal ! Kuber nagar ke sindhi-hindi-gujarati pyaro ke beech 2011 ke naye varsh ke pratham mahine ke pratham 2 din…
Aapka apna Narayan…