Wednesday, April 3, 2013

Nepal Me 9 Varsho Baad...

Karib 1 saptah Nepal me dharm kalyan yatra karne ke baad Janakpur me United Nations Development Program ke adhikariyo se bhent hui. Wo humare darshan va swagat hetu 22 March ki sham ke satra me Janaki Mata Mandir parisar me padhare. Teeno adhikariyo ne humara manch per swagat kiya fir vey humare niwas per aaye. Humare sewa karyo ke vishay me jaan kar unko atayant prassanta hui. Gareebo me bhandare, ann, kapdo aur bartano ka nishulk vittaran, gramin kshetro me ashram dwara sanchalit nishulk upchar sewa va shiksha abhiyan, poore bharat me chal rahe bal sanskar kendra va dhyan yog kendra, vyasan mukti abhiyan, nari utthan karyakram, va Sanatan sanskriti ki jagriti hetu chal rahe vibbhinn karyakram va abhiyan...in sabke vishay per unhone humse lambi charcha ki. Unhone humare Nepal aagman per bhi humara aabhaar vyakt kiya. Nepal me Sanatan Sanskriti ki lupt hoti mehak ka darr jo unke dil ke kisi  kone me chhupa tha...wo humse baat karte karte saamne aaya. Humne unhe aashwasan diya ki hum Nepal ko Bharat ki tarah hi ek mazboot Hindu rashtra banaana chaahte hain aur uske liye hume jo bhi karna padega hum karenge. Yeh shabd United Nations Development Program ke adhikariyo ke chehre per ek asha bhari muskaan le aaye. Unhe aisa anubhav hua jaise unhe andhere me kisi ne deepak thama diya ho. Teeno adhikariyo ne hume yeh bataya ki vey United Nations tak humare sewa karyon ki pragati ki soochna pohonchayenge aur UN ke taraf se humara har sambhav sehyog karenge. Unka kehna tha ki UN ko "aap jaise yuva santo ka agar margdarshan milta rahega to samaj sewa ka asli arth sthapit ho sakega....sahi tareeke se aur sachaaii se sewa karye poore vishv me ho sakenge...samajik buraiyon ko saralta se parajit kiya jaa sakega."

Friday, March 1, 2013

Mahakumbh Mahaprayag me 10 Din

Mahakumbh Mahaprayag me 10 din kaise nikle pta na chala. 15 Feb subah Delhi se Allahabad pohonche, Maharishi Mahesh Yogi ke Allahabad me ban rahe Smarak Samadhi Mandir ka sthapna divas usi din tha, aur hume Maharishiji ki sanstha ke sewakon ne amantrit karke wahan aane ki prarthna ki thi...to pehle din wahin jana hua...unke kitne hi videshi bhakton ne bhi humara swagat kiya. 15 va 16 Feb ko Kumbhnagri per Indradevta ki khub kripa barsi...itni kripa barsi ki mela kshetra ke kayi pandalo ki vyvastha ast vyast ho gayi...per sabhi shraddhaluon ki shraddha ko sadhuvaad hai, yeh vikat paristithi unko nirash na kar saki...sabhi Kumbh ki adhyatmic mehatvata se parichit hain, ishwariya vatavarn me khud ko sarabor karke sabhi ne iss durlabh avsar ka anand uthaya.
17 Feb sandhya per Saccha Baba ashram ke sewakon ne hume Triveni Sangam per aarti ke liye aamantrit kiya. Itna sundar nazara tha...Ganga,Yamuna,Saraswati ka sangam...Surya ki laali sangam va ambar per apne rang bikhere hue maano sabhi ko paramtma ke rang me rangne ka sandesh de rahi thi.
Aage ke do teen din ashram me aaye sadhko ko satsang ka ras-paan kara kar sham ko mela kshetra me brahman ke liye nikalte the. Saubhagya se Vrindavan ke Swami Shri Rajendra Dasji ki Shrimad Bhagwat Katha me bhagidaar hone ka avsar mila. Hum to sehaj me ja kar pandal me anya shrotaaon ke saath ja kar katha shravan karne baithe...kya maloom kahan se Swamiji ke sewakon ne hume khoj liye aur atyant aagrah karke manch pe Swami Rajendra Das ke sameep aasan laga diya. Swami Rajendra Das ji bhi humse milkar gad gad ho gaye,..humara swagat karke humare padharne per bahut anand va abhaar vyakt kiya.
Ek din jab Triveni per snan karne gaye, kitne hi videshi shraddhaluon ne humse adhyatmic margdarshan lene ki iccha vyakt ki. Unki baaton se aisa lga ki vey Kumbh me maansik shanti va adhyatmic unnati va jivan ki param khoj karne hetu aaye hain, per sahi maarg se vanchit hain. Humse mil kar jaise unhe ek nayi disha mili...apni manzil ka pta kuch kuch samajh aane laga...raasta unhe zarur kathin lag raha tha, per ab aisa lagaa ki manzil ek na ek din mil hi jaayegi...
Raat me Rishikesh ke Chidanand Saraswati ji se bhent hui....bon fire ke sundar vatavaran me desh videsh se aaye hue bhakton ke saamuhik kirtan ne pure mela kshetra ko gunjaayemaan kar diya.
22 se 24 Feb Baap Dham me Allahabad Samiti ne satsang aayojit kiya. Humare desh videsh ke bhakton ne humare darshan amritvachano ka labh Disha channel ke madhyam se raat 9:45 pe liya. 24 ko hum Agra ke liye nikal pade aur 25 subah Purnima darshan Agra ashram me diye...

Sunday, February 10, 2013

Bahut samay baad aaye Jaipur


Sagwara ke bhakto ka prem dekh kar hume Vrindavan ke gwal aur gopiyo ka prem yaad aa jaata hai. Apne prem ke vash kar unhone hume janmotsav karyakram ke paschat Sagwara hi rukne ki prarthna ki…sabhi ka ashrupaat va sahridayi vinnati ke karan humne apne  aagami karyashaili me 2 din ka viraam diya..
Fir 1 February dopahar ko Jaipur Centre pohonchna hua. Aate hi apni kuttiya ke study room me kuch ghante vayteet kiye…ekant me adhyayan, manan, chintan karte karte din sampan hua….
Sanstha ki adhiktar sewayein Jaipur centre se hi chalte hain…centre me rehne wale ashram wasiyo ke sath meeting kar unhe navin va vartman me chal rahi sewaon ke liye margdarshan diya…
Kuch nayi sansthayein banana ke vicharo ko yehin pushti di. Healing Force of Music and Dance Therapy Foundation ke objectives banaye gaye…Shakti Sena sanstha ki sewa gatividhiyon per bhi ashram ki benho ko margdarshan diya…Holistic Health Care centre banana ka bhi nishchay le kar ashramvasiyo ko isi nimmit sewayein saupi. Kal sham ko Jaipur ke anek sadhako ne apne anubhav suna kar humare prati apni shraddha va prem ki  dor ko aur mazboot kiya….
Is bar bahut lambe samay ke baad Jaipur Centre aana hua. Yahan sabhi ke dilo me anand va prassanta ka thikana nahi hai…
Ab in sabki yeh prarthna hai..”Saiji abhi kuch din aur yahan se na jaayiye…”
6 February subah 6 bje ki Double Decker train se Delhi jaana tha...Shat-tila Ekadashi va Tithi anusar Janmdivas ke avsar pe prarthna hall me ashramvasiyo ne deepak jalaaye...subah 5.30 bje sabko darshan diye aur fir bada deep jala kar prasad diya....
Fir nikal pade Delhi...

Tuesday, February 5, 2013

AANANDOTSAV 2013


Is varsh avtaran divas Sagwada ke shraddhalu bhakto ki jholi me gaya. 28 aur 29 January do divasiye satsang karyakram va janmotsav Bapuji ke Sagwara ashram me manaya. 28 ko humare aagman per ashram ke pravesh dwar se milo pehle hi bhakto ki bheed ekatrit ho gayi…haath me pushp, aarti ki thaaliyan, dhol, aur manjiro ke saath…Fir gaadi ke sath sath chal kar ashram ki kutiya ke gate tak bhakto ne humara swagat kiya.
Desh ke kone kone se kayi bhakt padhare. Himachal, Delhi, Gujarat , Maharashtra, Rajasthan, Madhya Pradesh, UP, Haryana, va Uttarakhand ke sadhakon ne Sagwara pohonchkar hume 29 ki subah shubhkamnayein di aur apna prem bhajan, shubhkaamna geet, va nritya dwara vyakt kiya. 29 subah ke satr se purva ashram parisar me yagya ka ayojan hua. Humare pramukh yagya kund ke aas paas anek yagya kund banaye gaye, jisme bhari sankhya me sadhako ne brahmano ke aadeshanusar baith kar samasta vidhi-purvak samoohik yagya kiya. Amla va badd ke vriksho ki chhaya me yagya sampan hua.
Sham ke satsang satr tak pandal poori tarak bhar gaya….samiti ke bhai pandal badhate gaye, per sadhako ki sankhya ne har baar pandal chhota kar diya. Diyo, pushpo, rangoli va bhakto ki madhur muskano se pandal bahut sundar sajaa. Vyaspeeth ka nazaar bhi anupam tha…5 rang ke akshat se banaa vishal swastik, va diyo aur phoolo se jagmagaata manch…
Humare aate hi sabhi mangal geet va shubhkaamnao ke bhajano per jhoom uthe. Satsang gyanamrit shravan karke bhakto ne anek karyakram prastut kiye. Bal sanskar ke nanhe nanhe baccho ne bahut divya pradarshan ke rup me nritya va prernadayi natak prastut kiye…
Vagarvasi kshetra ke bhakto ne ek nirala nritya prastut kiya, jisme anek prakar ke sangeet vadan, kalatmak hasta va charan mudraon ne karyakram me ek nayi chamak pradaan ki. Dekhte hi dekhte sabhi sadhak bhakt iss nritya me shaamil ho gye. Singapore se aaye ek sadhak parivar ne prarthna ki ki unke bĂȘte ka vivah humare janmotsav ke avsar pe ho. To isi avsar per sham ke charan me 2 vivah hue…bhari sankhya me prastut bhakto ka ashirwad grahan karke nav-vivahit var vadhu ne apne ko bahut bhagyashali mana.
Ashram dwara prakashit ‘Ojaswi Jivan Ki Aur pustika’ ka vimochan bhi aaj hi ke din hua…ashramwasi sadhikaon dwara banaye gaye 41 parakar ke khaakhron ka prasad sabhi me baanta gaya. Sagwara Samiti ne humara phool har dwara swagat kiya…
Mahilaon ke utthan va unnati hetu nirmit ‘Shakti Sena’ sanstha ka bhi gathan janmotsav ke shubh avsar per hua. Shakti Sena ki behno ne vyaspeeth per deep ujwal kiye…aakhri bada deep humare dwara ujwal karwane ki prarthna ki.
Upastith bhakto ke liye na na prakar ke vyanjan va bhojan mahaprasad ki bahut sundar vyvastha hui…Kirtan, nritya va aarti ke sath janmotsav sampan hua.
 Itna utsah, itna anand, itna mangal vatavaran, itni mangalkamanaye…picchle varsho se bhi adhik vishesh manaa iss bar ka janmotsav…




Saturday, January 26, 2013

Kaliyug me Vedik Shivir

Desh ke vibbhin kshetro se aaye hue shivirarthiyo ne dhyan yog aur tatva gyan ki unchaiyo ka Ratlam Mangalaya Mandir parisar me ayojit iss varsh ke pratham dhyan yog sadhna shivir me khoob labh uthaya. Ekant aur prakritik vatavaran adhyatmic unnati me sahyogi rehte hain. Mangalaya Mandir ke parisar me yeh dono baatein sehej me hi mili. 17 se 20 January, 4 din, roz dhyan yog ke 3 charano me ishwar ki kripa sabhi bhakto pe utri. Kisi charn me amle ke vriksho ke neeche, to kisi charan me baddh ya peepal ke saanidhya me...theek waise hi jaise Vedik kaal me rishi muni santo ke saanidhya me shishya satsang shravan karke atma paramatma ke vishay me jaankar apne jivan ke param lakshya ki prapti me tatpar ho jaate the...
kaliyug me aisa drishya...aisa anubhav ...durlabh...
Mangalya Mandir ke mangalmay kshetra ke mangalkari vatavarana me sabhi ne apne mangal jivan ki mangal kaamna ki....


Sunday, December 16, 2012

"Guru" shabd ka apmaan na ho

Sansad yani Parliament desh ki asmita ka prateek hai. 13 December 2001 ko Sansad per aatankwaadi hamle mein Afzal naam ke aatankwavdi va uske anya 4 saathiyo ka hath tha. Sansad hamle ke doshi Afzal ko Afzal Guru nahi Afzal Gaddar kehna chaahiye. Bharatiye dharm aur sanskriti mein 'Guru' shabd ka atyant hi mehatvapurn sthan hai, aur jo rashtra ki asmita per hamla kare, veh Guru nahi gaddaar hota hai. Ek Hindu rashtra mein ek aatankwadi hamle ke doshi ke naam ke sath upnam 'Guru' shabd ka upyog kiya jaana durbhagyapurna hai. Jis rashtra mein brahmvetta santo ko Guru ke roop mein pujte hain, wahan ek aatanki ke liye Guru shabd ka upyog kiya jaana sarvatha anuchit hai. Bhagwan Shiv aur Parvati ke samvad wale pramukh pauranik granth Guru Gita mein Bhagwan Shiv ne swayam kaha hai ki "jo Guru hain, vey hi Shiv hain. Jo Shiv hain, vey hi Guru hain." Jis rashtra aur sanskriti mein Guru shabd ka itna mehatvapurna sthan hai, usi rashtra mein ek aatankwadi ko "Guru" shabd ke upnaam se kaise sambodhit kiya jaa sakta hai?

Monday, November 5, 2012

Sharad Poornima Bilaspur Mein

Himachal Pradesh ke Bilaspur stith ashram mein Sharad Poornima ke dhyan yog shivir mein sabhi sadhako ko alaukik va vilakshan anubhav hue. Adhara amrit ka paan karne bhakt Shimla, Kullu, Chandigarh, Jalandhar, Delhi, Karsoh, aur Uttarakhand se pohonche. 3 din ke 9 charano mein sadhako ne dhyan ki gehrayiyo me pravesh karke ashta-satvik bhavo dwara parmatma ke saath nikata ka anubhav kiya. Sankirtan mein kitne to jhoome, naache, dhyan mein virah ke ashru bahaye, paramanand ki masti mein khoob hasey, muskuraye...

Pehle kabhi na gaaye hue, sune hue sankirtano ne teeno din Bilaspur ke shivirarthiyo ko ish-prem se sarabor kar diya....kaliyug mein aisa adhyatmic vatavaran...nazara dekhte hi banaa... aise kabhi nai jhoome the mere pyaare pehle...unki aankho mein prabhu milan ki tadap utpan karne wale sankirtano ne unhe rulaya bhi, hasaya bhi aur jhoomaya bhi...
Do din ashram ke nikat jheel mein nauka vihar hua. Chandni ki sheetalta mein, pahado ke beech,  Sai ke pyare bhakt, Sai ki nauka mein sawar hokar bhav se paar utarne ka anubhav karne lage...atulya tha wo drishya, vilakshan tha wo nazara...
Bansi ki madhur dhwani per dhyan ka alaukik anand sharad poornima ki raat ko khule prangan mein sabhi ko mila....