Is varsh avtaran divas Sagwada ke shraddhalu bhakto ki jholi
me gaya. 28 aur 29 January do divasiye satsang karyakram va janmotsav Bapuji ke
Sagwara ashram me manaya. 28 ko humare aagman per ashram ke pravesh dwar se
milo pehle hi bhakto ki bheed ekatrit ho gayi…haath me pushp, aarti ki
thaaliyan, dhol, aur manjiro ke saath…Fir gaadi ke sath sath chal kar ashram ki
kutiya ke gate tak bhakto ne humara swagat kiya.
Desh ke kone kone se kayi bhakt padhare. Himachal, Delhi,
Gujarat , Maharashtra, Rajasthan, Madhya Pradesh, UP, Haryana, va Uttarakhand
ke sadhakon ne Sagwara pohonchkar hume 29 ki subah shubhkamnayein di aur apna
prem bhajan, shubhkaamna geet, va nritya dwara vyakt kiya. 29 subah ke satr se
purva ashram parisar me yagya ka ayojan hua. Humare pramukh yagya kund ke aas
paas anek yagya kund banaye gaye, jisme bhari sankhya me sadhako ne brahmano ke
aadeshanusar baith kar samasta vidhi-purvak samoohik yagya kiya. Amla va badd
ke vriksho ki chhaya me yagya sampan hua.
Sham ke satsang satr tak pandal poori tarak bhar
gaya….samiti ke bhai pandal badhate gaye, per sadhako ki sankhya ne har baar
pandal chhota kar diya. Diyo, pushpo, rangoli va bhakto ki madhur muskano se
pandal bahut sundar sajaa. Vyaspeeth ka nazaar bhi anupam tha…5 rang ke akshat
se banaa vishal swastik, va diyo aur phoolo se jagmagaata manch…
Humare aate hi sabhi mangal geet va shubhkaamnao ke bhajano
per jhoom uthe. Satsang gyanamrit shravan karke bhakto ne anek karyakram
prastut kiye. Bal sanskar ke nanhe nanhe baccho ne bahut divya pradarshan ke
rup me nritya va prernadayi natak prastut kiye…
Vagarvasi kshetra ke bhakto ne ek nirala nritya prastut
kiya, jisme anek prakar ke sangeet vadan, kalatmak hasta va charan mudraon ne
karyakram me ek nayi chamak pradaan ki. Dekhte hi dekhte sabhi sadhak bhakt iss
nritya me shaamil ho gye. Singapore se aaye ek sadhak parivar ne prarthna ki ki
unke bĂȘte ka vivah humare janmotsav ke avsar pe ho. To isi avsar per sham ke
charan me 2 vivah hue…bhari sankhya me prastut bhakto ka ashirwad grahan karke
nav-vivahit var vadhu ne apne ko bahut bhagyashali mana.
Ashram dwara prakashit ‘Ojaswi Jivan Ki Aur pustika’ ka
vimochan bhi aaj hi ke din hua…ashramwasi sadhikaon dwara banaye gaye 41
parakar ke khaakhron ka prasad sabhi me baanta gaya. Sagwara Samiti ne humara phool
har dwara swagat kiya…
Mahilaon ke utthan va unnati hetu nirmit ‘Shakti Sena’
sanstha ka bhi gathan janmotsav ke shubh avsar per hua. Shakti Sena ki behno ne
vyaspeeth per deep ujwal kiye…aakhri bada deep humare dwara ujwal karwane ki
prarthna ki.
Upastith bhakto ke liye na na prakar ke vyanjan va bhojan
mahaprasad ki bahut sundar vyvastha hui…Kirtan, nritya va aarti ke sath
janmotsav sampan hua.
Itna utsah, itna
anand, itna mangal vatavaran, itni mangalkamanaye…picchle varsho se bhi adhik
vishesh manaa iss bar ka janmotsav…
janmotsv apka u hi har sal mnta rheee
ReplyDeleteapki krunakripa ka haqdar ye sara jha bnta rhee