12 aur 13 tareek ko Kelwara, Rajsamand
(Rajasthan) mein satsang kiya. 13 tareek ko satsangiyon ki bahut acchhi beed
juti thi aur pandaal chotta hogaya tha. Aas-pass ke kshetron jaise Saira,
Udaipur, Khumbalgarh, Gogunda, Kankroli, Bhanuja, Aamet, Bhilwada, Kushalgarh,
Sagwada aur door door se bhakt padare the. Sabhi ne satsang ka khoob labh liya.
13 tareek ko hi bhandara bhi hua jismein gareebon mein ann, dal, aata, chaval,
dakshana, aadi ko baanta aur vitran kiya gaya. Sadhana TV Channel par
dono din ka satsang samoroh live prasaran kiya gaya jise desh bar ke sadhakon
ne ghar baethe apne apne TV sets par dekha. Sadhana Channel ko hi
www.shrinarayanpremsai.com par bhi live stream kiya jaa raha tha. Sadhana channel ki team se pata chala
ki iss satsang karyakram ko TV aur internet dono par hi hazaaron logon ne
dekha. Bhakton ka do din prem dekhkar khoob aanand aaya. 13 tareek ki raat ko
Gogunda nikal gaye. 14 ko Gogunda se din mein vahan se pass Saira ke bhakton ke
aagreh par vahan gaye aur phir din mein Kankroli gaye. Kankroli mein kuch daer
ruke aur vahan par phir se bhakton ke aagreh par pass mein hi banayi gayi ek
kutiya ke vishay mein pata chala jise dekhne bhi gaye, phir vahan se aur aage
Bhanuja gaye. Bhanuja mein 750 saal purane ek Mandir ke paas mein hi
ekant-ramnik sthan hai: Gopal Giri ji Maharaj ka. 15 ko subah bhakton ke aagreh par 11-12 baje
Kankroli aaye. 15 sham ka satsang phir se Bhanuja mein hua.16 ko phir se
Gopalgiri ji Maharaj ke sthan pe pahuche aur din ka zyada samay ekant mein hi
bitaya. 16 ko sham 5.00-5.30 baje ke aas-passGopal giri ji Maharaj ke saath pe
jo unke bhakt unke saath reh chuke hain unhone apne anubhav sunaye. 16 sham ko
phir se Bhanuja nikal gaye. 16 ki raat Dhabok (Udaipur) mein Ashram mein ruke
aur 17 subah vahan se nikale (Udaipur ke pass mein) Hawala ke lia aur yahan par
logon ke aagreh se sham ke lia satsang diya. Soochna milte hi sabhi sadhakon ne
satsang ki khabar ko turant prachaar kardiya. Din bhar nivaas pe hi rahe aur
sham ka satsang Dhabok Ashram mein karke ratri vishram ke lia vaapis aagaye
nivaas par.... Om... Om.... Om...
jay ho saijiiiiiiiiiiiiiii om om om om
ReplyDelete