Vizag yani Vishakhapatnam mein humara pehli baar kareeb 7
saal pehle aana hua tha…11,12,13 February 2005 mein Baapuji ke saath hum yahan
satsang karyakram nimmit aaye the aur uske baad kal, 6 August 2012 doosri baar
aaye. Bahut garv hota hai yeh batane mein ki Vizag ki samiti ko iss baar 24
ghante ka samay bhi nahi mila tha, per humare aagman aur satsang ki bahut
sundar vyavastha karne mein who chuke nahi. Shanivar raat ko humare Vizag
padharne ka sandesh mila, aur raat-o-raat yahan ke sewa-nishth bhakto ne flex,
pamphlet, sms, phone dwara satsang ka prachar prasar karke gyan-bhakti utsav ka
karyakram ekdum badhiya dhang se Sathya Sai Baba hall mein aayojit kar liya. Samiti
ke adhyaksh Rajkumarji ka yogdaan aur bhakti-bhaav sarahniye tha. Satsang poora
hote hote hall mein itne shraddhalu aa pahaunche ki sab samaa hi nahi paaye.
Sabhi 7 saal ke lambe intezar ke baad darshan aur satsang ka achanak saubhagya
prapt karke bhav-vibhor ho gaye, un
sabka yehi kehna tha ki unhe vishvas hi nahi ho raha ki wo Saiji ko ru-ba-ru
dekh rahe hain, sunn rahe hain, aur unke saanidhya mein bhakti-gyan varsha ke
ras mein bheeg rahe hain. Sadhako ko apne vartman per vishvas kar paana maano
kathin sa lag raha tha, sabhi mandramughdh ho gaye, itni prassannata aur anand
achanak mil jana sabko ashcharyachakit kar gaya.
Aaj ki subah hum bhraman ke liye dolphin hills gaye,
prakritik sundarta se paripurna aise ramniye pahadi sthal ne aaj hume bahut
dino baad photography karne per utsahit kiya.
Gangadhar mandir aur uske aas paas ka drishya aapke liye apne camera se
capture karke laaya hu…
Tripathi ji ki red i20 ko hum swayam drive karke fir
Rishikonda beach pahaunche, beach mein snan kiya aur apne camera mein wahan ke
shaant, anupam drishya ko qaid bhi kar liya. Aayiye aapko bhi iss blog ke
maadhyam se Vizag ke prakrit nazaaro ki jhalak dikhayein…
Iske paschat hum Ramakrishna ashram gaye, jahan ke swamiji
ne humara khub vinamrta aur sneh se swagat satkar kiya. Unhone humse dobara
padharne ki prarthana ki aur unhe sewa ka avsar dene ka agrah kiya. Itna prem
karne wale bhakto ke vash ho kar fir apna zor kahan chalta hai…Tripathi ji ki
prarthna sweekar karke unke ghar bhojan kiya, aur uske baad Vizag ki Saroj ji
ki prem bhari vinnatiyo ka dhyan rakhte hue unke ghar charan dale. Pehli baar
aaj 7 August ko humne tiles pe charno ke chinnh diye. Tripathi ji bhi yeh avsar
kaise chukte, unhone bhi tile per humare charno ke chinh lene ki prarthana
ki…aur apni prarthna poori hone per gad gad ho gaye. Saroj ji ke ghar se
nikalte samay unki deewar per kalatmak prakar se ishwar ne humse na jaane kaise
kaise suvakya likhwa diye…bhakt aisa drishya dekh kar anandvibhor ho gaye…Saroj
ji ki khushi ka to koi thikana hi nahi tha…
Vizag ke bhakto ki shraddha, utsah, aur humare prati prem anirvachaniye
tha. Issi prem ke vash ho kar aaj ek aur satsang ka satr de diya…
Satsang ke baad humare ek jeweller bhakt ke ghar mein charan
dale. Uske paschat Tripathi ji aur Ram Lakhan Yadav ji ko apne saath i20 mein
baitha kar Sinhanchalam gaye…jahan jaate samay ek saap hume raaste mein
dikha…jab hum laute to wohi saap usi jagah per baithe maano humare darshano ki
raah dekh raha tha…usne humare lautne ke baad hi wo sthan chhoda…
Vizag mein sirf 2 din mein itna anand paya aur lutaya…bhakto
ki tadap aur prem aur badne lagaa hai…unke sankalp hume jaldi yahan wapas
bulaayenge….
Sai G... aapkey saath humey ye mouka kab milega... hum aapka intzaar aakhir kab tak karey.. Bahadurgarh walo ki taraf se meri vinti h k aap ek baar yha ki dharti ko bhi pawaan karey.. mai to aapki kirpa se aapkey darshno k liye delhi aa jata hu.. lakin or saadhak bhai bahan nahi aa sakety.. sai g meri sabhi bahadurgarh walo ki taraf se prathna h k aap yha ek baar jarur aa jaye..
ReplyDeletesai g .. kai baar humey malum bhi nahi padta k aap delhi kab aaye or kab gaye.. please sai g.. aap delhi aaney se pahley ek baar msg jarur karey .. taki jitni jayda sankhya mai ho sakey mai sabko bata du k ..aap shri delhi aa rahey h.. sabhi aapkey darshan karna chatey h.. sai g.. bus ek baar aa jao.. bus ek baar..
http://www.facebook.com/aayush.rajput.58
Mob.: 09034922311 & 08930609786