Wednesday, April 3, 2013

Nepal Me 9 Varsho Baad...

Karib 1 saptah Nepal me dharm kalyan yatra karne ke baad Janakpur me United Nations Development Program ke adhikariyo se bhent hui. Wo humare darshan va swagat hetu 22 March ki sham ke satra me Janaki Mata Mandir parisar me padhare. Teeno adhikariyo ne humara manch per swagat kiya fir vey humare niwas per aaye. Humare sewa karyo ke vishay me jaan kar unko atayant prassanta hui. Gareebo me bhandare, ann, kapdo aur bartano ka nishulk vittaran, gramin kshetro me ashram dwara sanchalit nishulk upchar sewa va shiksha abhiyan, poore bharat me chal rahe bal sanskar kendra va dhyan yog kendra, vyasan mukti abhiyan, nari utthan karyakram, va Sanatan sanskriti ki jagriti hetu chal rahe vibbhinn karyakram va abhiyan...in sabke vishay per unhone humse lambi charcha ki. Unhone humare Nepal aagman per bhi humara aabhaar vyakt kiya. Nepal me Sanatan Sanskriti ki lupt hoti mehak ka darr jo unke dil ke kisi  kone me chhupa tha...wo humse baat karte karte saamne aaya. Humne unhe aashwasan diya ki hum Nepal ko Bharat ki tarah hi ek mazboot Hindu rashtra banaana chaahte hain aur uske liye hume jo bhi karna padega hum karenge. Yeh shabd United Nations Development Program ke adhikariyo ke chehre per ek asha bhari muskaan le aaye. Unhe aisa anubhav hua jaise unhe andhere me kisi ne deepak thama diya ho. Teeno adhikariyo ne hume yeh bataya ki vey United Nations tak humare sewa karyon ki pragati ki soochna pohonchayenge aur UN ke taraf se humara har sambhav sehyog karenge. Unka kehna tha ki UN ko "aap jaise yuva santo ka agar margdarshan milta rahega to samaj sewa ka asli arth sthapit ho sakega....sahi tareeke se aur sachaaii se sewa karye poore vishv me ho sakenge...samajik buraiyon ko saralta se parajit kiya jaa sakega."