Sunday, December 16, 2012

"Guru" shabd ka apmaan na ho

Sansad yani Parliament desh ki asmita ka prateek hai. 13 December 2001 ko Sansad per aatankwaadi hamle mein Afzal naam ke aatankwavdi va uske anya 4 saathiyo ka hath tha. Sansad hamle ke doshi Afzal ko Afzal Guru nahi Afzal Gaddar kehna chaahiye. Bharatiye dharm aur sanskriti mein 'Guru' shabd ka atyant hi mehatvapurn sthan hai, aur jo rashtra ki asmita per hamla kare, veh Guru nahi gaddaar hota hai. Ek Hindu rashtra mein ek aatankwadi hamle ke doshi ke naam ke sath upnam 'Guru' shabd ka upyog kiya jaana durbhagyapurna hai. Jis rashtra mein brahmvetta santo ko Guru ke roop mein pujte hain, wahan ek aatanki ke liye Guru shabd ka upyog kiya jaana sarvatha anuchit hai. Bhagwan Shiv aur Parvati ke samvad wale pramukh pauranik granth Guru Gita mein Bhagwan Shiv ne swayam kaha hai ki "jo Guru hain, vey hi Shiv hain. Jo Shiv hain, vey hi Guru hain." Jis rashtra aur sanskriti mein Guru shabd ka itna mehatvapurna sthan hai, usi rashtra mein ek aatankwadi ko "Guru" shabd ke upnaam se kaise sambodhit kiya jaa sakta hai?

Monday, November 5, 2012

Sharad Poornima Bilaspur Mein

Himachal Pradesh ke Bilaspur stith ashram mein Sharad Poornima ke dhyan yog shivir mein sabhi sadhako ko alaukik va vilakshan anubhav hue. Adhara amrit ka paan karne bhakt Shimla, Kullu, Chandigarh, Jalandhar, Delhi, Karsoh, aur Uttarakhand se pohonche. 3 din ke 9 charano mein sadhako ne dhyan ki gehrayiyo me pravesh karke ashta-satvik bhavo dwara parmatma ke saath nikata ka anubhav kiya. Sankirtan mein kitne to jhoome, naache, dhyan mein virah ke ashru bahaye, paramanand ki masti mein khoob hasey, muskuraye...

Pehle kabhi na gaaye hue, sune hue sankirtano ne teeno din Bilaspur ke shivirarthiyo ko ish-prem se sarabor kar diya....kaliyug mein aisa adhyatmic vatavaran...nazara dekhte hi banaa... aise kabhi nai jhoome the mere pyaare pehle...unki aankho mein prabhu milan ki tadap utpan karne wale sankirtano ne unhe rulaya bhi, hasaya bhi aur jhoomaya bhi...
Do din ashram ke nikat jheel mein nauka vihar hua. Chandni ki sheetalta mein, pahado ke beech,  Sai ke pyare bhakt, Sai ki nauka mein sawar hokar bhav se paar utarne ka anubhav karne lage...atulya tha wo drishya, vilakshan tha wo nazara...
Bansi ki madhur dhwani per dhyan ka alaukik anand sharad poornima ki raat ko khule prangan mein sabhi ko mila....

Friday, September 28, 2012

Dhanya hai Bharat ki Bhoomi

Poore Bharat mein kitne siddh mahatma, brahm-pragya, unchi awastha ko prapt kiye yogi, sant aur rishi hain, iska hisab dena mushkil hai. kitne to aise siddh awastha wale mahapurush hain, jo ekant priye hain, paramanand ki masti mein itne leen aur tript hain ki na deh ka bhaan hai, na kisi sansarik vastu, vyakti ki iccha. Na kissi se bolna hai, na kissi se kuch chaahna...zada kisi se sampark hi nahi rakhte. Aisi jagah pe rehte hain, jahan koi na pehchan sake. Bahut durlabh avsar per kisi kisi ko apne asli swarup ka parichay dete hain... jo sampark mein aa jaaye uska mangal, param kalyan kar dete hain.
Aise hi ek sant ho gaye Nanga Baba. Unka kuch samay pehle hi mahaprayan hua. Greater Noida ke humare bhakt Yoginder aur Sukhbir Bhati ne hume unke bare mein bataya....unki mahima ka varnan sunke, hume unke Greater Noida stith ashram mein jaane ki utkantha hui. Wahan ja kar unke sewak sadhako se unke dwara hue divya chamatkaro ke baare mein pata chala. Aneko bhakto ke anek anubhav the...ek mahila ne bataya ki unke bete ko jail ho gayi thi, Nanga Baba ke aage apna dukh sunaya...Sunday ka din tha, Nanga Baba ke sankalp se Sunday ko jab koi sunwai nahi hoti, aise din per us mahila ke bete ki jail ki saza maaf kar di gayi aur usko chhod diya gaya. Dusre ek sadhak ne bataya kaise ek baar jab sookha padha tha, to sabhi bhakto ne Baba se prarthna ki, Baba apne aasan per baithe hue bole ki "ab to hum yahan se tab tak nai uthenge jab tak varsha nai hoti." itna kehne ki hi deir thi...ki prakriti ko apna niyam todkar neer barsana padha. Aise kitne anubhavo se bhakto ke jivan mein alaukik shanti, anand aur madhurya aaya hai...
Baba ne apne Mahaprayan se pehle yeh kaha tha "main ji kar bhi mrit tha, aur mrit hone ke baad bhi jivit rahunga."... har shabd mein tatv gyan, har vachan mein brahm vidya ... aur sach mein aaj bhale hi unka sharir is dhara pe nahi hai, per Baba sukshm roop se har samay apne bhakto ke saath rehte hain, unki adhyatmic unnati ke liye margdarshan dete hain, unke kasht harte hain, aur anandit jivan jine ki nirantar prerna dete hain...
Dhanya hai Bharat ki bhoomi jahan aise divya bhagwat-shakti-sampann mahapurush nitya avtarit hote rehte hain jinke kripa-prasad se lakho-karodo logo ka jivan bhi dhanya ho jata hai, anand se paripurna ho jata hai.

Wednesday, September 26, 2012

Is Varsh ki Radhashtami Barsana Mein

Vrindavan aur Radha ji ke gaon Barsana mein Radhashtami ka utsav pramukh, paramparagat tareeke se khub harsh ullas se manya jaata hai. To is bar Radhashtami (23 Sep) ke uplaksh mein Shri dham Vrindavan mein jana hua. Haal hi mein nirmanit hue Yamuna Expressway se hume humare Greater Noida ke niwas sthan se Barsana pohonchne mein keval dedh ghanta laga. Radhashtami ka utsav aur bhakto ka umda sailaab... nazara dekhte hi banta tha...poora Barsana aur Vrindavan manmohak sajawat, saaj shringaar, aur 'Radhe-Radhe' ki vilakshan goonj se mahotsav mein dooba hua tha. Sache prem ki khoj mein rehne walo ke liye yeh drishya dekhne yogya tha. Yehi woh bhoomi hai jis pe 5 hazaar varsho pehle Radha rani aur anya gopiyan apne Premaspad Bhagwan Shri Krishna ki bansi pe hosh gawa ke naachi thi, bhagwat prem ke atirikt kisi vastu, vishay ka gyat nahi tha unhe...unki charan raj aaj sabhi apne mastak per dhaaran kar rahe the...unki jai jai kaar kar rahe the. Bass prem hi to kiya tha Radha ne Shri Krishna se...shuddh, niswarth, gehentam prem. Jiv ishwar ko jab iss bhav se prem karta hai to wo pujniye ho jaata hai.

Prembhoomi Vrindavan mein ishwariye prem ke dariya mein ramne wale kayi unchi avastha ko prapt hue sant rehte hain. Is bar aise hi ek divya sant Shri Vinod Baba se bhent hui. Vinod Baba Radhashtami pe nirjala upvas karke ekant mein apni kuttiya mein hi the. Unki kuttiya ke bahar darshan hetu dur dur se aaye bhakto ki bheed thi...per subah se kisiko darshano ka labh nai mil saka tha. Jaise hi unke pas humare aagman ki khabar pohonchi...ve prassanchit hokar apna aasan chhodkar kuttiya ke bahar humse milne khud chalkar aaye....hum to swayam andar ja hi rahe the unse milne, per wo pehle hi humara swagat karne pohonch gaye. Fir to anupam milan hua, divya milan hua, prem ras ka aadan pradaan hua....

Humse milkar unke anand ka thikana nahi raha, hume bole "aaj yahin ruk jayiye, kal Radha Rani ka janmotsav sath manayenge..." Per kuch zaruri karyvash humko Greater Noida lautna tha, to unke yahan agli bar rukne ka vachan de kar unse vida li.
Vinod Baba ke hi bhakto mein se ek German mahila, jinka naam Tulsi tha, humare darshan prapt karke gad gad ho gayi. Tulsi ne apne adhyatmic anubhav ko humare samne vyakt kiya aur boli, "main kuch samay se yehin Vrindavan mein reh rahi hu. Yahan ekantvas mein jo sukh mila hai, wo kahin bhi nahi mila." Bahut agrah aur prarthna karke Tulsi hume apni kuttiya mein le gayi...unki kuttiya aisi thi mano chhota Vrindavan...sab jagah Shri Krishna, Radha ki shringar jadit moortiyan....jinki pujya archana mein vey pura din magna rehti thi.
Sach hi to hai...keval jo kshan jiv ishwar ke prem mein, sumiran mein vyateet karta hai, bass wo hi sarthak hain, wo hi sulabh hain....

Bhagwan kehte hain...ki vey gaaye aur brahamano ki raksha ke liye hi avatar lete hain (namo brahamanyedevaye gobrahmanhitaye cha. Jagadwitaye krishnaye govindaye namo namah.). Ramesh Baba naam ke ek loksangrah mein rat sant, goraksha aur gosewa mein apne jivan ko samarpit karte hue Vrindavan mein ek vishal Goshala chala rahe hain va swayam uska sanchalan bhi kar rahe hain...unki goshala mein 21000 gaaye hain. Ramesh baba ki sewa ki mahima ko sunne ne ke baad unse milna aavashyak lagaa. Unke vishal goshala mein pohonche, unse bhent ki aur kuch deir unke saath satsang, bhagwat charcha ki. Humne unse apne hriday ke bhav vyakt karte hue kaha ki hum unke gosewa ke sarvottam prayatn se aur unke goraksha hetu gatividhyon se unka khuub samman karte hain, unhone humare hriday ko jeet liya hai. Unki humse yehi prarthna thi ki hum unke yahan aate rahen...humare sath vyateet kiye pal unko ati shubh aur mangalkari sanket dene lage...
Iske paschat Ramesh Baba ke mahila ashram mein jana hua, jaahan raas khela jaata hai, jiska videsho mein seedha prasaran bhi log ruchi se dekhte hain. Sabhi beheno ko gopi bhaav-roop mein Shri Krishna Bhagwan ke prem ras mein, bhagwan ke kirtan bhajano pe nirantar ghoomte dekha....

Prem ki saakshat pratimurti Shri Radha ke janmotsav pe humari yehi mangalkamna rahi...ki Radha jaisa divya prem sabhi ko prapt ho...sabhi uss prem ke adhikari hain, wo manav maatr ki darohar hai...

Ab vilamb karne se kya fayada....aao uss prem sindhu mein gotaa maar hi lo....






Sunday, September 2, 2012

Aadhunik Yug Ki Ek Chhoti si Gaadi Deti Paramatma Anubhuti aur Jivan Mukti ka Vishal Sandesh...



30 August ki raat ko Jaipur ka teen divasiye karyakram sampann karke Delhi aate hue, flight mein magazine per Segway i2 ka advertisement padha. Humare Delhi ke bhakt Vikas Saxena ko iss chhoti gaadi ki jaankari lene ke liye humne kaha. Jaankari prapt karke Vikas ne hume bataaya ki i2 two-wheeled, self-balancing, battery operated vehicle hai...jo Europe mein kaafi popular hai. India mein Delhi ke India Gate per  Bird Group naam ki ek travel company iska trial run aur ride karwati hai interested clients ko. Gaadi sadak per kum space leti hai...jaisa ki aap photo mein dekh rahe hain keval 2 pahiye hi hain...diesel ya petrol ki bhi avashyakta nahi hai, eco-friendly hai, traffic wali sadko ke liye vardaan hai, aur chalane mein risky bhi nahi hai. Yeh sab jaan ne ke baad humne India Gate per subah 7.15 baje pahaunch kar trial lene ka nirnay kiya. Bird group ne hume 45 minute ka trial diya. Trial mein humare saath unke 2 instructors - Amit aur Khushi, aur humare 2 sewak - Vikas aur Raja bhi the. Hume trial mein khub atma vishwas ke saath sabse aage ek dum smoothly ride karte dekh, travel instructor Khushi ne humare sewak Vikas se poochha ki "Swami ji, pehle kitni baar i2 Segway chalaa chuke hain?" Vikas ne kaha "pehli baar aaj hi chalaa rahe hain." Dono travel instructors aashcharya chakit ho kar bole ki aisa pehli baar dekha kisi ko itne confidence aur speed se chalate hue. 1st attempt mein koi bhi itna perfect nahi chalaa sakta!

Bahut anand ka anubhav hua i2 ko chalate hue...sensors se chalne wali gaadi hai, isliye driving lagbhag effortless lagi. Aaj Panipat mein karyakram ke pehle hum bhakto ke saath i2 pe nikal padhe. Panipat ki sabhi sadako per bhraman issi pe kiya. Bhakto ke bhi anand ka thikana kahaan tha. Aaj pandal mein bhi issi per sawaar hokar sabko darshan de kar tript kiya.

Aaj pandal mein bhakto ne adhyatmikta aur aadhunikta ka ek vichtra mel dekha. Ek kranti ka anubhav hua...aisa laga maano yeh gaadi jivan-mukti ka sandesh suna rahi hai...


Gaadi ke do pahiye jaise bhakti ma ke do bete,
Gyan aur Vairagya ko saath jab hum lete,
Guru gyan ke sensor se hokar sadhna path per agrasar,
Adhyatmic tej aur oj se karke sabhi dukho ko be-asar,
Aao aise saadhan ka kare anusaran,
Bann jaaye jivan ka lakshya bass sewa aur sumiran.


Tum mukt ghoom sakte ho, purn atma vishwas se...
Anand ki anubhuti avashya hoti hai paramatma prapti ki sachi pyas se...



Om.

Thursday, August 23, 2012

Singapore ki Dharmyatra ...21 August se....

Singapore ke bhakto ka pragaad prem hume 2 saal mein fir yahan kheench laaya. Per iss baar inko apne bhagya per vishvas nahi ho raha tha...20 ghante mein hi humara Singapore jaana tay hua. Samiti ko jaise hi suchna mili ki hum Singapore aane waale hain, unke utsah aur harsh ki seema na rahi. Samiti ke sadsya Jignesh, Vashishth aur Hemant soch mein padh gaye ki itne kam samay mein hamari vyavastha aur satsang karyakram kaise ayojit hoga? Mujhse thoda aur samay lene ki prarthna karne lage.. Par hamne kaha - hamari vyavastha ki chinta mat karo, jis parmatma ke prem ki jyot jagaane ke liye main vahan aa raha hu, vo khud hamari vyavastha karega. Yeh sunn kar unka utsah aur prabal ho gaya. 21 August ko Hamare wahan pahaunchne per unke bhaav aansuo ke roop mein pragat hue....

....Parso subah East Coast ke pas Gunjan bahan ke ghar prarthana sun jana huva..








Vo itani bhav vibhor aur gadgad hui ki boli -"mujhe abhi tk vishwas hi nahi ho rahaa !! kahi main sapna to nahi dekh rahi ??" fir apne apko sambhalte hue usne hamaari yathochit aavabhagat kee.

            Unke ek floor upar Manjula Patel ka ghar tha.Inhone isi gurupoornima ko online (live) diksha lee hai. Bahot hi dharm premi dampati he ye!


Vayovriddh mata ji ne Sundar shloko ke sath hamara poojan aur swaagat kiya..Unki shraddha aur bhartiya sanskriti ka jatan dekh ati prasann hokar hamne kaha-"Bade garv ki baat hai itne saalo se yaha rah rhe ho par apni sanskriti ko nahi bhule...Aap to sachmuch Singapore ki Ma Shabri ho !" unhone kaha - "Varshon ki tapasya aur prateeksha ke baad Ramji shabri ke dwar pahunche...Sach me aaj hamaari pujaaye, prarthanaaye, jap-tap, satkarm safal hue, saarthak hue jo aap Sainath hamare ghar padhaare ho...."

....Dopahar me yahan k sanaatan dharm sthano pe research hui - Hindu endowment board, Shantigiri ashram, Aurobindo ashram, aur bhi temples...

....Shaam ko bukit batok me manoj bhai k khub vinti karne par unke ghar jana hua...Vahan kafi Indian families ekatrit hui...Hame apne beech paakar aur divya satsang amritpaan kar sabke hriday kamal khil gaye...Alag si muskan, anokhi tripti..anupam aanand unke chehre par chhalakne laga...Ve kehne lage- "yaha videsh me rahte rahte prem-bhavna- khushi - samvedna sab shushk si ho gyi hain, lekin aapke darshan kar, apke amritvacahn sun aisa lag rha hai ki mano.. koi dil ke bahot kareeb..hamaara apna aaj mila ho...bichhda pyaar firse paya ho...barso se chhaye andhakaar me kisi ne Jyot jalaa dee ho..khoyi hui khushahali vaapas laut ayi ho..."
....Niche kuchh chinese log apni parampara anusar kuchh vidhi kar rhe the.. jo apne shraadh ki hi tarah hai..Ve purvajo ko ann ki jagah paise ( nakli note) dete hain. Ham use dekhne lage, chinese logo ne hamara swagat kiya aur hame bhi isme bhag lene ki vinti ki...Bhala hame isme kya aitraj? Hame to'Vasudhaiv kutumbakam'..Sara vishwa hi hamara parivaar hai.. Hamne unki vinti saharsh swikar kee aur lag gaye unke sath unki vidhi karne.. sabhi bhakt bhi lag gaye.. achha khasa mela sa lag gya.. chinese logo ne hamaari photo lene hetu prarthna ki...Ha kah diya to khush hokar unhone hame apne camere me aur hamari yado ko apne dil me kaid kar liya...


Tuesday, August 7, 2012

Vishakhapatnam se Delhi...Delhi mein Pustak Vimochan

Kal shaam Vishakhapatnam se Hyderabad hote hue Delhi ki flight li. Shaam ko 6.20 per Delhi aiport per  bhakt humare swagat ke liye pahaunche. Parivartan institute ke honhar, sanskari bacche aur yuvak bhi humara darshan aur swagat karne airport per aaye...
Shaam ko T3 ashram ke lawn mein, vat vriksh ke sameep satsang kiya....Sabhi baccho aur shraddhalu bhakto ne pehli baar Shirdi Sai Baba, Satya Sai Baba aur Prem Sai ke avtar ki katha sunn kar vilakshan anand aur ascharya ka anubhav kiya....sabhi ke liye apne saubhagya ka anuman lagana kathin siddh hua....
Iske baad Rajokari ashram mein Pujya Bapuji ke sannidhya mein sabhi ko darshan ka labh mila...
8 August subah, T3 ashram mein itihaskar T.S.Dhama ke anusandhan per aadharit, lekhak
Jaiprakash Sharma ji dwara likhi gayi pustak, Betaaj Baadshah, ka vimochan hua. Pustak mein Jaiprakash Sharma ji ne Samay Ram Baba ki jeevangatha per prakash daala hai aur unki Sanatan sanskriti ke prati sewa aur samarpit jivan ke kaaran unko Betaaj Baadshah ka khitaab diya...Pustak vimochan T.S.Dhama ji ne pustak ka vimochan humare dwara karaya...


Vishakhapatam Mein Yaadgaar Din...


Vizag yani Vishakhapatnam mein humara pehli baar kareeb 7 saal pehle aana hua tha…11,12,13 February 2005 mein Baapuji ke saath hum yahan satsang karyakram nimmit aaye the aur uske baad kal, 6 August 2012 doosri baar aaye. Bahut garv hota hai yeh batane mein ki Vizag ki samiti ko iss baar 24 ghante ka samay bhi nahi mila tha, per humare aagman aur satsang ki bahut sundar vyavastha karne mein who chuke nahi. Shanivar raat ko humare Vizag padharne ka sandesh mila, aur raat-o-raat yahan ke sewa-nishth bhakto ne flex, pamphlet, sms, phone dwara satsang ka prachar prasar karke gyan-bhakti utsav ka karyakram ekdum badhiya dhang se Sathya Sai Baba hall mein aayojit kar liya. Samiti ke adhyaksh Rajkumarji ka yogdaan aur bhakti-bhaav sarahniye tha. Satsang poora hote hote hall mein itne shraddhalu aa pahaunche ki sab samaa hi nahi paaye. Sabhi 7 saal ke lambe intezar ke baad darshan aur satsang ka achanak saubhagya prapt karke bhav-vibhor ho gaye,  un sabka yehi kehna tha ki unhe vishvas hi nahi ho raha ki wo Saiji ko ru-ba-ru dekh rahe hain, sunn rahe hain, aur unke saanidhya mein bhakti-gyan varsha ke ras mein bheeg rahe hain. Sadhako ko apne vartman per vishvas kar paana maano kathin sa lag raha tha, sabhi mandramughdh ho gaye, itni prassannata aur anand achanak mil jana sabko ashcharyachakit kar gaya.


Aaj ki subah hum bhraman ke liye dolphin hills gaye, prakritik sundarta se paripurna aise ramniye pahadi sthal ne aaj hume bahut dino baad photography karne per utsahit kiya.  Gangadhar mandir aur uske aas paas ka drishya aapke liye apne camera se capture karke laaya hu…

Tripathi ji ki red i20 ko hum swayam drive karke fir Rishikonda beach pahaunche, beach mein snan kiya aur apne camera mein wahan ke shaant, anupam drishya ko qaid bhi kar liya. Aayiye aapko bhi iss blog ke maadhyam se Vizag ke prakrit nazaaro ki jhalak dikhayein…
Iske paschat hum Ramakrishna ashram gaye, jahan ke swamiji ne humara khub vinamrta aur sneh se swagat satkar kiya. Unhone humse dobara padharne ki prarthana ki aur unhe sewa ka avsar dene ka agrah kiya. Itna prem karne wale bhakto ke vash ho kar fir apna zor kahan chalta hai…Tripathi ji ki prarthna sweekar karke unke ghar bhojan kiya, aur uske baad Vizag ki Saroj ji ki prem bhari vinnatiyo ka dhyan rakhte hue unke ghar charan dale. Pehli baar aaj 7 August ko humne tiles pe charno ke chinnh diye. Tripathi ji bhi yeh avsar kaise chukte, unhone bhi tile per humare charno ke chinh lene ki prarthana ki…aur apni prarthna poori hone per gad gad ho gaye. Saroj ji ke ghar se nikalte samay unki deewar per kalatmak prakar se ishwar ne humse na jaane kaise kaise suvakya likhwa diye…bhakt aisa drishya dekh kar anandvibhor ho gaye…Saroj ji ki khushi ka to koi thikana hi nahi tha…


Vizag ke bhakto ki shraddha, utsah, aur humare prati prem anirvachaniye tha. Issi prem ke vash ho kar aaj ek aur satsang ka satr de diya…

Satsang ke baad humare ek jeweller bhakt ke ghar mein charan dale. Uske paschat Tripathi ji aur Ram Lakhan Yadav ji ko apne saath i20 mein baitha kar Sinhanchalam gaye…jahan jaate samay ek saap hume raaste mein dikha…jab hum laute to wohi saap usi jagah per baithe maano humare darshano ki raah dekh raha tha…usne humare lautne ke baad hi wo sthan chhoda…


Vizag mein sirf 2 din mein itna anand paya aur lutaya…bhakto ki tadap aur prem aur badne lagaa hai…unke sankalp hume jaldi yahan wapas bulaayenge….


Tuesday, July 31, 2012

Sri Lanka mein 3 din...

17 July se 19 July tak ka samay Sri Lanka ki yatra mein vyateet hua. Wahan per Sanatan Sanskriti ke prachar mein lagi sansthao ko sangathit karke va unse sanskriti ki suvaas failaane hetu charcha karne ka uddeshya rakha. Sri Lanka mein Hinduo ki sankhya alp hai, wahan shuruwat mein Sanatan Sanskriti ke prachar mein prayatna-rat sansthayein dhundhna thoda mushkil hua. Hindi bhasha bhi jaan ne wala koi nahi tha, to vartalap samajhne samjhane mein bhi samay gaya. Dusre din ki sabah kuch baccho ke samooh ko kahin ek saath jaate dekha, unke saath hum bhi nikal pade aur International Hindu College pahaunch gaye. College ke principal ne humara bahut aadarpurvak swagat kiya, aur hume khub sammanit kiya. Unke sath kuch samay Sanatan Sanskriti ke prachar prasar aur Hinduo ke sangathan bal ko badhane hetu charcha hui.  Iske paschat Balaji Kriya Yoga Ashram, Sivananda Yoga Vedanta Centre, aur Hindu Coucil of Sri Lanka mein bhi jaana hua. Vishv ke kayi aur rashtron ki tarah, Sri Lanka mein bhi vibbhin logo se bhent karke Sanatan Sanskriti ki mahima se sabko parichit karane ka mangalmay karya aarambh ho chuka hai.

Monday, July 30, 2012

Sampann hua Mysore Ashram ka Bhoomipujan

Dakshin Bharat ki devbhoomi Mysore me Balmuri naamak manohar, shant, ekant, ramniya evam devnadi Kaveri ke tat par base Bhagwan Ganesh ke pavitra tirtha sthan par lok-mangalya hetu sthit hamare ashram ka bhoomipujan Shiv Mandir ke prangan me Mahadev ke pavitra divas aj Somvar ko sampann hua. Is ashram ke bhoomipujan samaroh me sthaniya gramin, Mysore samiti ke sadasya evam sewadhari upasthit the. Is purna Monsoon ke samay bhi aasmaan ko dhake hue baadlo ko hatakar Bhagwan Suryanarayan ne bhi purna tejaswi roop pragat kar Bhoomipujan ke samay apni upasthiti va prasannta pradarshit kari. Nikatvarti Mahadev Mandir me bhi humne pujan kiya jisse mandir ka vatavaran pavitra evam mangalmay ban gaya.  

Wednesday, July 25, 2012

Kaveri Ma ke sameep...

Kaveri nadi ke kinare, Mysore ki Balmuri Ganpati Mandir ke sameep, prakriti apne sarvottam swaroop mein prakat hokar humare hriday ke kone kone mein apna anand bikher rahi hai. Sabhi ko pulkit kar rahi hai. Kal shaam ko kareeb poore ek varsh baad humara Mysore mein punah ana hua. yahan ka sadhnamay vatavaran, parmatma ke sath tal mel jodne mein bahut sahoyogi siddh hota hai. Kaveri nadi ki lehre maano ucchal ucchal kar humare charan chhune ke prayas mein hai, inki sheetalta ne to hume apne vash hi kar liya hai. Yahan per satsang dhyan karte samay sabhi sadhako ko unchi anubhutiyan hui...
Kaveri Ma ko bhi humare saanidhya se kitni prassanta hoti hai...isska pratyaksh anubhav hume piichhle varsh hi ho gaya tha. Piicchle varsh jab hum Kaveri nadi ke kinare brahman karne aaye the, tab ek chandi ki angoothi humare charno mein achanak prakat ho gayi thi...wo kisi mahila ki khoyi hui angoothi nahi thi, parantu Kaveri Ma ki humare charno mein ek anupam, divya bhent thi...


Monday, July 16, 2012

Sripuram Ke Shakti Amma ji ke saath snehmila


Kal ka poora din Chennai se 2.30 ghante ki duri pe sthith Sripuram, Shri Lakshmi Narayani Golden Temple me vyateet hua. Parso raat yahan pahaunchne per humara bahut bhavya swagat kiya gaya. Fir kal subah yahan ke pramukh Shaki Amma ji se mulakat hui. Unka humare prati bahut sneh umda aur unke saath gehen dharm charcha karte karte 2 ghante kaise vyateet ho gaye, pata hi nahi chala. Iske saath saath Music Therapy per bhi vicharo ka adaan pradaan hua. In charchaon ke dauraan, Sripuram Golden Temple ke director Shri M. Suresh Babu bhi upasthit the, unko Shakti Amma ji ne nirdeshit karte hue kaha ki "jo jo Saiji bol rahe hain, wo sab note kare aur un sab baato ko follow kare". Isske paschat sneh bhoj hua aur humare aagman se khub prassan hokar Shakti Amma ji ne hume Sripuram mein Navratri ke dino me punah padharne ka amantran diya.
Jab maine Shakti Amma ji se puchha ki unko mujhse kya chaahiye to ve bahut namrata se bole ki "kuch nahi, keval apka prem chahiye." Unki yeh uchit maang ko dekh kar humne kaha "agar prem chaahiye to uss se sab aa jayega. prem hi parmatma hai. jisko mera prem mil gaya usko kisi cheez ki kami nai rahegi."

Sunday, July 15, 2012

South India mein jagai alakh

Kareeb saptah bhar Virar ashram mein satsang aur sewa karyo ke margdarshan nimmit rukna hua, fir 14 July dopahar ko flight se Hyderabad pahaunche. Wahan bhakton ko darshano ka labh mila, unke lagbhag saal bhar ki tappasya aur pratiksha aakhir safal hui. Fir aaj subah Chennai pahaunche aur sabse pehle Chennai Trade Centre mein aayojit International Auto Expo mein kuch bhakto ke saath jaana hua. Wahan world-class automotive brands ke aaadhunik designs aur technology se bhi zada environment aur fuel efficiency ke vikas ki gatividhyan dekh kar ullaas hua.
Iske baad dopahar 2.30 baje humare ek bhakt Rajesh ji ne apne ghar le jaane ki prarthna ki, uski shraddha prem ke vash hokar humko jaana pada. Rajesh ji hume apne putra rup mein bhajte hain, unka humare prati bahut pragad prem hai. Jab picchli baar hum Chennai aaye the to unhone humari liye jiss car ki vyavastha ki thi wo unke kisi mitr ki thi. To humne unse yu hi keh diya tha ki unki apni car aa jaye to accha rahega. Iss baar hum Chennai pahaunche to vey apni car laaye aur bataya ki isko sirf 1000 km hi chalaya hai abhi tak, kyunki apne putra ke charan pade bina iska upyog karna uchit nahi laga. 
Humara Chennai padharna achanak hua issliye satsang ke liye Hall book nahi ho saka, to Rajesh ji ne apne ghar per hee satsang karyakram ki vyavastha kar di. ur SMChennai ke tamam bhakto ko phone aur SMS dwara prachaar kar diya gaya, 5 baje tak bhakto ki bheed lag gayi unke ghar pe aur kuch hi deir mein kahin bhi baithne ki jagah nahi bachi. kareeb 2.30 ghante satsang chala, aur Rajesh ji ne wahin bhojan prasad ki bhi vyavastha kar di thi. Chennai ke bhakto ne gyan amrit varsha ka khoob anand uthaya. Bahut sare bhako ne ashram dwara prakashit Vishvguru Ojaswi ki sewa karne ka sankalp liya. Darshano paakar sab gad gad ho gaye aur hume wahin ruk jaane ke liye prarthna karne lagey. 
Per jogi to ramta bhala...ab hum Vellore stith Sripuram Shri Lakshmi Narayani Golden temple ke liye ravana ho chuke hain...raat ke 11 baj rahe hain...12.30 baje tak pahaunch jaayenge....Golden Temple ke pramukh Swami Shri Kalyan ji ne hume yahan tak lane ki khub sundar vyavastha ki hai, hume bahut hi swagat, satkar ke saath Sripuram tak le jaaya jaa raha hai....
Kal unse mulkat hogi...
Shubh ratri

Thursday, July 5, 2012

Lakshya chaahe God ho ya God Particle...manushya ke liye sab sambhav hai

4 July ko Udaipur ke Havala ashram mein bhakton ko gurupurnima darshan va satsang ka labh mila. Sabhi ne prem bhav se guru pujan kiya aur unki pavan shraddha dekh kar mere dil se unki adhyatmic unnati ke liye ashirvaad chhalke bina nai rahe. sham ko 3 baje Air India ki flight se hum Mumbai ke liye nikle. Mumbai pahaunch kar pehle Goregaon ashram mein bhakto ke sailab ko gurupurnima nimmit darshan de kar, fir Virar ashram pahaunche jahan kal se 3 din tak gurupunam darshan va satsang karyakram hoga. Iss safar ke dauran Higgs Boson yani God Particle ki khoj ke baare padha. 113 desho ke hazaron vaigyaniko ne mil kar brahmand ke nirman ka sabse ahem aur mahtvaporna ati-sukshma tatva ke vishay mein safal khoj ki hai. Iss sukshm tatv ko Higgs Boson ya God Particle ka naam diya hai. Khoj ke anusar yeh kan barhmand ki har vastu mein dravyaman paida karne wala tatv hai, aur isi ke karan se parmanu, anu, tatva va anya paddartha bane hain. Iski khoj ke dwara ab vaigynaik brahmand ki utpatti se jude rahasyo ki bhi jaankari grahan kar sakenge. Vigyan jagat ki yeh ek mahatvpoorna, etihaasik khoj hai. Hum vigyaniko ke purusharth ki sarahna karte hain, unhe sadhuvaad dete hain. Per yeh baat bhi dhyan dene yogya hai ki humari Sanatan Sanskriti ke rishi muniyo, sadhu santo ne to pracheen kaal se hee dhyan ki gehrayiyo mein jaa kar Brahmand ke rahasyo ko khoj nikala tha. Adhunik samay ki iss vaigyanik khoj mein to kareeb 10 billion dollar ka kharcha hua aur kitne saare vaigyaniko ko ek saath kitne varsho tak prayatna karna padha, per humare desh ke rishi muniyo ne toh bina kisi bahari vastu, rupay, paise ke, keval ekant mein sadguru ke margdarshan ke dwara hee brahmand ke nirman aur anya rahasyo ko jaan liya tha. Swayam yeh divya gyan praapt karke va ishwariye shanti ka anubhav karke, iss divya gyan, prem aur madhurya ko sahajta se hee jan-jan mein lutaya. Sant Narsinh Mehta, ne toh "akhil brahmanda ma ek tu shree hari..." apne anubhav-smapanna bhajan dwara poore brahmanda mein ishwar ki satta ka praman kitni sadiyo purva hee de diya tha. Bharat ke santo ke anubhav ki shrinkhala ko kayam rakhte hue Bhartiye Bhautikwad Satyendranath Bose ne to 1924 mein hee God Particle jaise tatv ki upastithi ki ghoshna kar di thi. Yeh tamam god-particle poject Satyendranath ki shodh-kriya per hee aadharit hai. 
Har vyakti mein ishwariya shakti, buddhi aur vivek ka sampoorna khazana chhupa hai. Usko viksit karke, apna dhyan kendrit karke jiss bhi lakshay ki prapti mein lagaya jaye, uss lakshay ki prapti avashya hoti hai. Jiss prakar inn vaigyaniko ne apna poorna dhyan aur urja God Particle ki khoj mein laga diya...aur itne varsho tak himmat haare bina uss tatv ki khoj mein praytnarat rahe, to aakhir safalta mil hi gayi... ussi prakar manushya himmat haare bina agar adhyatmic marg mein agrasar rahe, ishwar ki khoj mein utsahpoorvak praytnarat rahe, manushya apne bheetar hee dhyan kendrit karke brahmand ki utpatti se jude rahasyo ko jaan sakta hai...sheeghra ishwar praapti kar sakta hai. nothing is impossible for humans, they can achieve anything they fix their focus and dedication on....sadguru ka margdarshan aur apna purusharth, kaam bane bina rahega nahi. om.

Saturday, June 30, 2012

Guru Se Gaddari, Apne Vinash Ki Tayari


Do din pehle Delhi se Bhopal ki flight mein aate samay India Today ke July ank ke madhya prishthon per nazar gayi. Prishth kramank 26 aur 27 per ek ascharya janak khabar padh kar bahut khed hua. Khabar thi bhavatit dhyan guru Maharishi Mahesh Yogi ki sampatti evam virasat per unke bhakto ke beech chal rahe jhagdon aur vivaadon ki. Maharishi ki 2008 mein mrityu ke baad unki 60,000 crore ki vishal sampatti ko apne niji swarth ke liye upyog mein laaney ke prayas mein jute unke bhakton ne apne guru se gaddari aur gurudroh karne ka ek ghinauna pradarshan kiya hai. Lekh ke anusar, Maharishi ki poore desh bhar mein 12,000 ekad se zaada zameen hai aur aneko shiksha sansthan va vidhyapeeth hain. Koi guru apni poorna aayu daivi karya aur loksangrah mein sanlagna reh kar iss asha ke saath sansthaon ki sthapna karke jaate hain ki unke sab shishya unke daivi karyon ko khoob jawabdari aur tatparta ke saath aage badhaayenge, unke gyan ki khushbu poore vishv mein failayenge aur sabko sukh, shanty aur manav jagruti ka sandesh pahaunchayenge, apne guru ki chhavi ko, unke gyan ke dwara, jeevit rakhenge. Per jab shishyon ka uddeshya guru ke gyan ko failaane ki jagah per guru ki sampatti ko apne swarth hetu upyog karna, bechna va uska vyavsaik istemal karna ho, to iss se zaada peedha dene wala Vishay aur kya hoga? Maharishi ji ke inhi kuch bhakto ne apne Guru ki atma ke sath sath sabhi jeevit dharm guruon aur santo ke hriday ko thes pahauchane ka ninadniye karya kiya hai. Maharishi ji ne apni sansthaye keval dharmic, shaikshanik aur jankalyan ke uddeshyon se banayi thi, per inn tamam sansthaon, ashramo aur dharmic sthalo ko apne aarthik fayade ke liye aur apna niji swarth ke liye upyog mein lana, na hee keval apne guru se vishwasghaat hai, parantu unki daivi shakti se prerna praapt karke unnat hone wali aage ki peedhiyon ke sath bhi anyaay hai. Lekh dwara yeh bhi gyaat hua ki ab unke ashram ka sanchalan bhi theek se nahi kiya jaa raha hai, sanstha ke imarate jeerna-sheerna halat mein hain, bhavatit dhyan yoga kakshayein bhi durlabh hain kyunki bahut kum log shaamil ho paate hain, aane wale bhakton ki bheed bhi kum rehti hai aur shraddhaluon ka jhukaw aur utsah bhi durbal hota jaa raha hai. Jo log wahan reh rahe hain unhe kisi tarah ki bunyadi suvidhayein bhi uplabdh nahi hain; ascharya hai, sachai se jeene walon ko itna sangharsh aur kathinayi…aur sanstha ko bechne wale bejhijhak seena taan kar khushi se kukarm karne walo ko koi bhay nahi, koi glani nahi, koi sharm nai…dharma ka paisa nasht karna matlab apna satyanash karna, yeh bahut bada apraadh hai. Mere vichaar se samasta Hindu sangathano ko iss vishay mein apni aawaz uthani chaahiye, hume avashya praytna karna hoga ki yeh sansthan jiss udeshya ke liye bane hain unka uttam upyog ho taki ve samaj ki adhyatmic va naitik unnati mein apna mahtvapoorna yogdaan de sakey. 

Wednesday, June 27, 2012

Guru Poonam ke nimit pahuche Agra aur Gwalior

Kal subah 10 baje Gwalior pahuche, jahan subah 11-2 baje tak satsang hua, subah ke satra mein bhakton ne dhyaan ka khoob anand liya, kayee sadhak khoob gehrai mein utre, Omkaar ka gunjan aur dhyaan hua jismein sabhi ne anand aur shanti ka sacha aur hriday-sparshi anubhav kiya. Phir sham ka satra 6.30 baje se 8 baje tak chala jismein sabhi bhakton ko pichkaari ke paani se bhigaya aur sabhi ko sheetalta ka anubhav karaya. Satsang khatam karte hi Gwalior ke lia nikle jahan raat ko 1 baje pahuche . Phir subah yahan 11.30 baje se 1.30 baje tak ka satra diya. Guru Poonam ke nimit horahe iss karyakram mein sabhi bhakton ko humare aur poojya Bapuji ki saath mein tasveer wale pamplets batvaye. Guru mahima, Guru bhakti, Guru poojan  ka kya mahatva aur kya pad hai isska sabhi ko kuch vivran diya... Aage yahan se Bhopal ke lia niklenge aur vahan se phir Dewas aur Indore, kal subah Bhopal aur Indore dono jageh par satsang karyakram hai..... Aage ki baat ke lia aage padte rahiye... Jai Jai...

Tuesday, June 26, 2012

Guru Poonam nimit darshano ka aaramb...

24 June ki shaam ko Jammu sthit Rehari mein Hari Mandir mein shraddhaluon ko satsang-gyaan varsha ka labh diya. Yahan se raat ko 12 baje ki train se nikle aur subah 4.30 baje Ludhiana pahuche. Ludhiana pahuchkar vahan se road dwara car se subah subah Chandigarh pahuche jahan centre pe bhakton ne hamare darshano ka labh liya. 25 June ko Delhi pahuche aur Delhi mein T3 terminal ke sameep Ashram mein do satra satsang diye, ek 11.30-1.00 baje tak aur, phir din mein 3.30 se 5.00 baje tak. Yahan Sevanath Baba ne jis sthan pe varshon tak tapasya kiya hai, vahin bhakton ne hamare darshan kiye aur sabhi bhakton ke hriday mein aanand aur ulaas ki lehar daud gayi. Rashtra vaadi Shiv Sena ke adyaksh Shri Jai Bhagvaan Goyal darshan karne ke lia aaye the. Saath hi Shri Mukesh Jain ji, Shri Ram Sena ke raashtriya pravartak Shri Tyagi ji aur Hindu Mahasabha ke Shri Rakesh ji hamare abhinandan aur swagat karne padare the. Iske pashchaat sham ko Jaipur pahuche aur shaam ko 7-9 Jaipur ke bhakton ne Guru Poonam nimit "Ojaswi Jeevan Vikas Kendra" pe darshan kiye. Omkaar ke samuhik gunjan aur samuhik dhyaan ka sabhi bhakton ne labh liya. Yahan se subah subah Agra ke lia nikle... 

Saturday, June 9, 2012

Kuch dino ka ek chota sa vivran....

2 se 4 June tak Kosamba, Gujarat mein satsang karyakram diya aur vahan chal rahe sabhi seva kariyon mein sahiyog diya seva-dariyon ka. Phir unn sabhi ka marg-darshan bhi kiya aur unhe sahi disha mein badne ke lia protsaahan diya. Satsang ke teesre din maha-aarti ke saath Ashram mein nav-nirmit Shri Asharamayan Mahadev Shiv Mandir mein praan pratistha kiyi, ussi din mandir ke shiv ling ko Mandir ke dwaar ki jageh choti (shikhar) se mandir ke andar jamaya gaya. Veh Shiv Ling 15 brahmano dwara poojit hua. Vahan sthapit Vat-vriksha mein shaktipaat bhi kiya. Praan pratistha ke samay bhakton ke aagreh par Bhagvaan Shiv jaisa roop bhi dharan kiya. Karyakram ke dino mein sabhi aaye hue bhakton ko Dhyaan ka bahut aachcha anubhav bhi hua.

Iske baad 5-7 June ko Mumbai ke pass Virar mein karyakram diya aur vahan aaye hue seva-dariyon ka marg-darshan bhi kiya. Vahan khudayi aur construction chal rahi hai, kuch naye sewa kaarya shuru hue hain. JCB Machine bhi kaam mein laayi jaa rahi hai. Vahan swayam upasthit rehkar deewar banvayi. Daer raat tak ganto khada bhi rehna pada par aavashyak bhi tha. Aur keertan mein kuch logon ko kundalini jaagran ka vilakshan anubhav bhi hua.

Mumbai se Udaipur 7 June shaam ko gaye. 8-10 June Udaipur ke pass Kankroli mein karyakram tha. Vahan 8 June ko subah Kalash Yatra nikli. Shaam ke satra ke samay Indradev swayam prasann the aur satsang hote hote bhi baras rahe the. Issi samay "Alakh Niranjan Om" ka keertan kiya aur phir se kayee sadhakon ko kundalini ka anubhav hua. Vyaaspeeth beeg jaane par bhi vahan se gaaye nahi aur kursi jamakar, haath mein chata lekar, vahin par satsang-keertan kiya. Khoob aanand liya sabhi ne.

Aap sabhi ka apna,
Narayan.

Wednesday, May 23, 2012

Uttar Bharat mein tez gharmi ke dino mein....

Samast Uttar Bharat mein aajkal tez gharmi ke din hain aur inn dino mein satsang karyakramo ki dates dekar alag-alag sthano par satsang karne jaana mein shareer ko kuch dikkat to hoti hai par jis prakaar mein vyaspeeth par baethkar kuch gharmi saehan kar leta hoon ussi prakaar vahin vyaspeeth par baethkar jab mein satsang ka laabh lene ke lia sadhakon ko kayee-kayee ganto pehle se hi intzaar karta dekhta hoon to ishwar bhakti, ishwar gyaan aur ishwar ke dhyaan mein itni ruchi rakhne wale logon ka itna utsah dekhkar hriday mein hui prasannta shareerik-kasht turant mahatvaheen bana deti hai.
Inhi gharmi ke dino mein 21 May subah ko Bharat ki SuryaNagri Jodhpur pahuche. Yahan do din ka satsang karyakram diya tha, 21 sham aur 22 subah ka. Apne hi ek sadhak ke aagreh karne par yahan Jodhpur mein Shakti Ke Naveenikaran Yogya Srot (Renewable Sources Of Energy) ka ek plant dekhne gaye jo abhi viksit hi  horaha hai. Urja ke nirmaan ke aise chote chote kayee saare aur plants ko desh bhar mein sthapana karne ki zaroorat hai jo kisi bhi tareh ka pradushan kiye bina hi vidyut bana sakein .
Phir 21 shaam aur 22 subah ke satsang ke baad dopehar ki flight se Delhi pahuche. Yahan Narela mein sham ka ek satra diya tha aur satsang ke lia bhakton ka vishal jamaav dekhkar phir se prasannta hui. Sham ke diye gaye keval ek hi satra mein, garb mein balika shishu hone par broon-hatya (ya abortion) kattayee na karane par  kuch prakash dala. Udaipur ki ek sanstha ne, jo log rupae ki kamee ke chalte ya phir aur kisi saamajik kaaran se garb-paat karate hain athva bachcha paeda hone ke baad yahan-vahan kahin bhi chood dete hain aise logon aur unki aane wali santaano ke lia Paalna Ghar banaya hai. Apne Ashramon mein bhi Paalna Ghar banane ki yojana kafee samay se chal hi rahi hai aur Udaipur ki iss sanstha ka kaarya bhi iss disha mein bahut sarahniye hai.  22 May ki shaam ko Narela mein satsang khatam karne ke baad agle din subah helicopter se Meerut pahuche. Yahan 23 May ki subah ke satsang ka ek satra diya tha. Aur yahan se 1 baje ke aas-pass phir se helicopter se Dehradoon ke lia nikle.

Saturday, May 19, 2012

Udaipur ke sameep, Dhabok Ashram mein pichle 3-4 dino se ...

Har roz Dhabok sthit apne Ashram mein do-ek din se sham ko satsang hota hai jismein jigyasu bhakt khoob utsah aur ruchi dikhate hain. Satsang ke atirikt Ashram mein nirman, vikas karya, boring, aadi aadi ke kuch seva karya bhi chal rahe hain, jinki jaanch-parak karne ke liye samay samay per hum bahar nikalte hain. Ashram mein nayi kutiya ke nirman ka kaam bhi chal raha hai, anekon sadhak sewa mein jute hain...humari upastithi mein sabka utsah khoob prabal hai.

Thursday, May 17, 2012

Udaipur ke aas-hain kuch dino se...


12 aur 13 tareek ko Kelwara, Rajsamand (Rajasthan) mein satsang kiya. 13 tareek ko satsangiyon ki bahut acchhi beed juti thi aur pandaal chotta hogaya tha. Aas-pass ke kshetron jaise Saira, Udaipur, Khumbalgarh, Gogunda, Kankroli, Bhanuja, Aamet, Bhilwada, Kushalgarh, Sagwada aur door door se bhakt padare the. Sabhi ne satsang ka khoob labh liya. 13 tareek ko hi bhandara bhi hua jismein gareebon mein ann, dal, aata, chaval, dakshana, aadi ko baanta aur vitran kiya gaya. Sadhana TV Channel par dono din ka satsang samoroh live prasaran kiya gaya jise desh bar ke sadhakon ne ghar baethe apne apne TV sets par dekha. Sadhana Channel ko hi www.shrinarayanpremsai.com par bhi live stream kiya jaa raha tha. Sadhana channel ki team se pata chala ki iss satsang karyakram ko TV aur internet dono par hi hazaaron logon ne dekha. Bhakton ka do din prem dekhkar khoob aanand aaya. 13 tareek ki raat ko Gogunda nikal gaye. 14 ko Gogunda se din mein vahan se pass Saira ke bhakton ke aagreh par vahan gaye aur phir din mein Kankroli gaye. Kankroli mein kuch daer ruke aur vahan par phir se bhakton ke aagreh par pass mein hi banayi gayi ek kutiya ke vishay mein pata chala jise dekhne bhi gaye, phir vahan se aur aage Bhanuja gaye. Bhanuja mein 750 saal purane ek Mandir ke paas mein hi ekant-ramnik sthan hai: Gopal Giri ji Maharaj ka. 15 ko subah bhakton ke aagreh par 11-12 baje Kankroli aaye. 15 sham ka satsang phir se Bhanuja mein hua.16 ko phir se Gopalgiri ji Maharaj ke sthan pe pahuche aur din ka zyada samay ekant mein hi bitaya. 16 ko sham 5.00-5.30 baje ke aas-passGopal giri ji Maharaj ke saath pe jo unke bhakt unke saath reh chuke hain unhone apne anubhav sunaye. 16 sham ko phir se Bhanuja nikal gaye. 16 ki raat Dhabok (Udaipur) mein Ashram mein ruke aur 17 subah vahan se nikale (Udaipur ke pass mein) Hawala ke lia aur yahan par logon ke aagreh se sham ke lia satsang diya. Soochna milte hi sabhi sadhakon ne satsang ki khabar ko turant prachaar kardiya. Din bhar nivaas pe hi rahe aur sham ka satsang Dhabok Ashram mein karke ratri vishram ke lia vaapis aagaye nivaas par.... Om... Om.... Om...

Sunday, April 15, 2012

Satsangiyon ne kiya Sharma Complex ke ground ko chota

Parso raat ko lagbag 10.45 baje tak vyaspeeth pe hi the. Phir kal raat ko bhi satsangiyon ka apaar utsah dekhkar 10 baje tak vyaspeeth pe hi hari-ras mein, hari-charcha mein, hari-dhyaan mein jhoome aur jhoomaye. Sadhakon ki juti beed ne Sharma Complex ke bade ground ko bhi nanha sa bana diya. Stall ke sewa dariyon se pata chala ki Ashram ke CD, sahitya aur ayurved saamagriyon ko pane mein bhi sadhakon ne khoob utsah dikhaya aur maasik patrika "VishwaGuruOjaswi" ke bhi kayee naye sadasya bane. Kuch sadhakon ki vishesh vinati, aagreh aur unki shraddha dekhkar kal raat ko satsang ke baad Bhandup aur Mulund unke nivaas pe bhi kuch kuch minato ke lia gaye. Aaj subah subah phir jaldi uthe aur lagbag 7 baje gaadi se Sreenagar, Thane pahuche. Yahan pahaad ki taekri pe sthit bada hi sundar dakshin Bharat (visheshkar kerala) ke nivaasiyon ki shraddha ka sthan "Ayyappa Mandir"hai, iske charon taraf khula hara-bhara vaatavaran hai jis kaaran hume yahan samay vyateet karna aur bhi acchha laga. Subah-subah ki shuddh-sheetal hava mein gine chune sadhakon ke beech satsang bhi hua. Phir mandir se nikalkar dobara kuch sadhakon ke anurodh pe unke nivaas pe jaldi-jaldi thoda samay bitaya, aur pahuche vaapis apne sthan pe....  Om Aanand... Om Prasannta...  

Saturday, April 14, 2012

Satsang Ki Mahima

Mann ko ekagra karna ke lia sant-vachan jaisa sur koi sugham, srestha evam pavitra sadhan nahi hai. Apne aap mann ko ekagra karna mein bahut mehnat padti hai parantu jab sant aatma-parmatma ko chukar bolte hain, tab unki vaani sunte-sunte mann anayaas hi saatvik, shuddh, ekagra hone lagta hai, gyaan sampann evam prasann hone lagta hai aur parmatma mein lagne lagta hai. Issiliye satsang ki badi bhaari mahima gaayi gayi hai. Aatm-siddhi ke lia satsang jaisa zoardaar aur tez-taraar aur doosra koi sadhan nahi hai.... Om Om Om

Friday, April 13, 2012

Aaj pehla din Bhandup mein Satsang

Delhi se Mumbai aaj din mein 12 baje aaye aur Airport pe bhakton ne swagat kiya. Vahan se Bhandup aagaye, yahin Sharma Complex mein satsang ka aayojan kiya gaya hai. Kayee bhakt, satsangi, sadhak yahan satsang ka labh lene ke lia aaye the aur satsang ke agle do din bhi, jaise-jaise auron ko jaankari hogi aur adik sadhak aayeinge. Aaj poora maidaan sadhakon se bhara hua tha aur pandaal chota padgaya tha. Teeno din ke satsang mein keval sham ka hi satra rakha gaya hai. Par bhakton ka utsah aaj dekhte hi bann raha tha.
Satsang ki aadhi gadi, aadhi mein puni aad...
Tulsi sangat sadhu ki, hare koti apraad.....

Thursday, April 12, 2012

Aaj bhaag liya "Guru-Sangamam" mein, aur phir aaram mein rahe.

Aaj subah 3 baje Daund se Pune ke lia nikle sur Pune se flight lekar subah 8 baje Delhi pahuche. Yahan Delhi mein Guru-Sanghamam naam ke sant-sammelan mein bhaag lene ke lia aaye the, jo subah 11 se 4.30 baje tak tha. Saare desh ke kayee anya prakhyat sant jaise Shri Shivratri Deshi Kendra ji, Shri Jaggi Vasudev ji, Shri Ravi Shankar ji, Shri Ramdev Baba, Shri Chidanand Saraswati ji, aadi iss sammelan mein bhaag lene pahuche the. Sant Sammelan mein bhaag lene ke pashchaat aaraam mein hi samay bitaya. Yahan se phir kal Mumbai ka karyakram hai jahan jane ke lia subah 10.05 baje ki Kingfisher ki flight hai jo 12.10 baje Mumbai pahuchegi. Aur vahan Bhandup mein teen din ke satsang ka aayojan kiya gaya hai. 13 se 15 April tak.  Aum aanand... Aum prasannta... Aum shanti...

Wednesday, April 11, 2012

Daund mein manaya sabhi bhakton ne Pujya Bapuji ka avtaran-divas

Aap sabhi ko Pujya Bapuji ke avtaran divas ki khoob khoob badhayi. Aaj Daund- Maharashtra mein Bapuji ke avtaran-divas ke paavan avsar pe bhakton, shraddhaluon ne satsang ka laabh liya aur unn amrit-mayi ghadiyon ko hum sabhi ne milkar utsav ke roop mein manaya jis din aaj se 71 varsh poorva jann-manas ke dukh, dard, rog, shok, chinta, bhay mitane aur samaj ko ek nayi disha dikhane ke liye Gurudev ka avtar hua tha. Aaj yahan ke karayakram ki poorn-aahuti hui aur kal subah-subah hamara yahan se Pune aur Pune se Delhi jana hoga. Delhi mein hi "Guru-Sangamam" naam ke aadhyatmik sangh ki baethak bhi hai, jis mein Bharat bar ke aanya kayi sant bhaag le rahe hain. Is sangh ka uddeshya bharat ko vishwa ki adhyatmik-rajdhani evam adhyatmik-mahashakti ke roop me ubharna hai. Bharat ko paschim me kayi varsho se ek viksit desh ke roop me nahi dekha jata. Isi kaaran bharat ke adhyatmik dhan ko bhi andekha kar diya jata hai. Is sangh ka uddeshya bharat ki puratan adhyatmik dharohar evam sanskaron ke vaigyanik rahasya ko smagra vishwa ke samne prastut karna hai. Aur kisi bhi saadharan manushya ke samne ek aisa manch banana hai jis par voh sulabhta evam shighrta se apna vastvik kalyan kar sake...  Aum Utsav... Aum Aanand..

Tuesday, March 20, 2012

Ek Anokha Matru Pitru Pujan Divas

Iss varsh 14 Feburary ko humne matru pitru pujan divas ek vishesh roop mein manaaya. Apni vyast karyashaili mein se samay nikal kar Pujya Baapuji ke paas jaana hua. Baapuji ka satsang gyan varsha ka karyakram Madhya Pradesh ke Sendhwa gaon mein tha...jahaan lakho bhakt ekatrit hue the. Humne Baapuji ke aagman se pehle satsang kiya, aur jab Baapuji manch per padhaare tab unki aarti karke unka pujan kiya. Apne Param Pita Sadgurudev ko tilak karke, pushpo ki maala pehna kar, unko dandwat kiya. Sabhi upasthit bhakt yeh dekh kar gad gad ho gaye. Baapuji ki parikrama karte hue sarv teerth mayi pita ka pratyaksh anubhav hua. Pujya Baapuji ne aashirvachno ki varsha karte hue manch per bhakto ko matru pitru pujan ka mehtva bataya. Unhone mujhe yuvaon ke liye ek aadarsh ghoshit kiya...aur sabhi ko yeh prerna di ki apne jeevan mein kitni bhi prassiddhii, uunchaaiyi aur safalta ho, per sachii safalta to tabhi milti hai jab hum mata pita ki sewa, va unka aadar, satkar aur pujan karke unko hriday se santusht karte hain...unka divya aashirwaad aur prem praapt karte hain.
Yeh drishya dekh kar sabhi bhakt (unmein se yuvavarg khaas) bahut prabhaavit hue. Sabhi ne utsah poorvak matru pitru divas manaane ka sankalp kiya...14 February ke din ko Bhartiya Sanskriti ke tareeke se manane ki shuruwaat kitne bhakton ne Sendhwa mein ussi din se hee ki...

Sach mein dhanya hain aise log jo apni Sanatan Sanskriti ke divya bageeche ko sawaarne ki sewa mein satat yogdaan dete rehte hain.

Thursday, February 9, 2012

Delhi mein mere bhakto ne manaya mera Janmotsav

Delhi ke bhakto ke atyant agrah aur prarthana ke baad mujhe 27 se 29 January tak ka samay satsang karyakram ke liye unko dena pada. Unka mere prati ananya prem aur drid shraddha ne mujhe iss avsar per mujhe unke prati kheench liya. Rohini, Delhi mein teeno din (27 se 29 Jan) bahut dhoom dhaam se Janmotsav manaya. Pehle din se hee pandal mein bhakto ka sailab umad padaa...satsang gyan varsha mein sabko bahut anand aaya. Doosre din Basant Panchmi ka shub divas tha. Sabhi ne darshan, satsang, kirtan aur dhyan ki divya sarovar mein snan kiya...sabhi ke anubhav anirvachaniye the. Mera phoolon, dhol, sangeet, aur nritya se bhakton ne bhavya swagat kiya. 28 January ki raat se mere utaare per bhakto ki bheed lagg gayi. Unke mere prati bhaav vibhhinn prakaar ke nritya aur sangeet ke roop mein prakat hue. Fir 29 subah suryaoday se poorv hee mere utaare per sabhi bhakt mere intezaar mein palke bichha kar baith gaye. Mere darshan paate hee sabhi ne phoolon se saji hui thaaliyon se aarti ki. Meri kutiya ko phoolon se bahut sundar sajaa rakha tha. Iske baad mujhe samiti ne Kalash yatra mein aamantrit kiya. Ek bahut bade phoolon se saje hue rath per mujhe baitha kar kalash yatra ke beech sabhi ne nritya evam gaan kiya. Rohini ki sadakon ka yeh nazaara ekdum anupam aur niraala tha. Aisa drishya Delhi jaise aadhunik sheher mein sabhi ko aakarshit kar raha tha.

Iske paschaat satsang pandal mein jaana hua. Poora pandal deepon, pushpon aur balloons se jagmagaa raha tha. Pehle satr ke baad bacchon ne mere janmotsav ke uplaksh mein cultural program present kiya. Satsang ke baad gayakon ne janmotsav geet gaaye, media walon ki bhi bheed thi. Sabhi ne prasaad, aur bhandara grahan kiya. Kayi prasiiddh akhbaaron ne yeh karyakram ke vishay mein lekh chhaape. Website per Live dekhne ka avsar bhi mere bharat aur vishv ke anya praanto ke bhakton ne liya. Poora din desh, videsh se aaye mere bhakton se milne mein vyateet hua. Sabhi ki shubhkaamnaye aur mere prati ananya sneh ne mujhe nishabd kar diya...
mere dil se sabhi ki mangalkaamna ke aashirwaad chhalak pade...

Saturday, January 14, 2012

Makar Sankranti Ki Shubhkaamnayein

Aap sabhi ko Makar Sankranti ki hardik shubhkaamnayein.Aaj ka divas poore Bharat mein alag alag jagah per vibbhin prakar ke pravon ke roop mein manaya jaata hai. Khagolshastriyon ke anusaar iss din Surya apni kakshaon mein parivartan kar dakshinayan se uttarayan hokar Makar-Rashi mein pravesh karte hain. Jiss rashi mein Surya ki kaksha ka parivartan hota hai, usey "Sankraman: ya "Sankranti" kahaa jaata hai.
Makar Sankranti parv mein snan-daan ka vishesh mahatva hai. Humare dharmgranthon mein snan ka punyajanak ke saath hee swaasthya ki drishti se bhi laabhdaayak maanaa gaya hai. Makar Sankranti se Surya Uttarayan ho jaate hain, garmi ka mausam aarambh ho jaata hai, issliye uss samay snan karna sukhdaayi lagta hai.
Aaj hum Ahemdabad mein hain. Ahmedabad ka Uttarayan ka Dhyan Yog Shivir to poore Bharat mein prassiddh hai. Harr varsh ki tarah, iss varsh bhi yahan desh-videsh se aaye bhakton ka sailaab umad padaa hai. Aaj hum pratah hee Baapuji ke paas aa gaye. Aaj ke paavan din ki shuruvaat Pujya Baapuji ke darshan-saannidhya se hui...
Aasha hai ki aap sabhi ka aaj ka din jap, tap, daan, anushthan aur guru-saannidhya mein vyateet hoga...aapke aane waale din bhi mangalmay ho...

Om Shanti.

Thursday, January 12, 2012

Gambhoi Mein Dhyan Yog Shivir

January 10 se 12 tak Gambhoi mein dhyan yog shivir organise hua. Gambhoi sthan se mera bahut lagav hai. Kayi varshon poorv main Ahmedabad se yahan ekaant ke liye aata tha...yahan ka shaant vatavaran, sadhna ke liye bahut anukul hai. Dheere dheere mere bhakton ne bhi iss jagah ko khoj liya, aur unki ruchi ke anukul iss ekaant-priya jagah ko Ashram mein parivartit kar diya.
Aaj shivir ka aakhri divas tha. Bahut hee nikat ke khaas khaas jigyasu bhakton ka yahan aana hua. Koi Jaipur se aaya tha, to koi Delhi se, koi Baroda se aaya, to koi Ahmedabad se, koi Modasa se aaya to koi Sagwada se. Teen din ka gyan aur dhyan ki amritdhara ka jharna aaj sampoorn hua...

Wednesday, January 11, 2012

Jaipur mein Aarogya Mela

Bharatiya Pravasi Sammelan se thoda samay nikaal kar Jaipur ke Rambaugh Circle mein lagey Aarogya Mela mein bhi jaana hua. Aarogya Mela mein vibbhin prakaar ke aarogya kendra, upchaarik aushadhiyan, herbs, naturopathic items, organic foods ki variety dekhte hee bani. Sabhi stalls per kuch na kuch naya dikha...
Mujhe stalls per swayam dekh kar sabhi stalls ke owners ne mera satkaar sammaan kiya aur mujhe apne comapny ki behtareen item gift mein di. Ayurvedia Chyanvanprash se le kar Organic Vegetables tak mujhe naye prakaar ki items ke baare mein jaankaari praapt hui. Humare desh ki Medical Science ki developments aur progress ke vishay mein gyan ko badhaane ka uttam mauka tha yeh Aarogya Mela...

Monday, January 9, 2012

Bharatiya Pravasi Sammelan 2012

Iss varsh Bharatiya Pravasi Sammelan 2012 Jaipur mein 7 se 9 January tak hua. Sammelan mein poore vishv se aaye hue NRI aur Diaspora delegates ka Bharat ki taraf se bhavya swagat hua. Birla Auditorium mein "Global Indian - Inclusive Growth" ki theme se related seminars, discussions, cultural programs and business stalls ka ayojan hua tha. Mera bhi wahan jaana hua. Mere videshon mein NRIs aur diasporas ko Bharatiya Sanskriti se jodne ke prayas ki safalta ko dekh kar bahut saare media ke logon ne mere anya interviews liye. Mera sabhi ko yehi sandesh raha, "Poore vishv mein stress, depression, insomnia, amnesia jaisi bhayankar beemariyon se bahut log grast hain. Chaahe wo Indian ho, NRI ho ya Diaspora ho, sab apne jeevan ko anandmay banana chaahte hain. Aur yeh karya Sanatan Dharam Sanaskriti ke rakshak Bharatiya Santo dwara ho raha hai...Hum sabhi NRIs aur Diasporas ka Bharat mein swagat karte hain aur unhe apne 'roots' ki yaad dilane mein unka sehyog karte hain. We want to make them feel connected and generate a sense of belonging-ness for India."
Sammelan mein Business purpose ke liye lage hue stalls mein Bank of India ke bade exhibition stall mein mujhe "Brand Ambassador" ghoshit kiya. Unko meri upastithi se ati garv mehsus hua. Anya kayi vishesh comapnies aur organisation ne mera bahut aadar aur samman ke saath apne stall mein swagat kiya. Government of Kerala ke stall mein Kerala Govt ke representative ne meri sanstha ke samaksh Kerala mein aakar Dhyan-Yoga prachaar karne ka prastaav rakha.
Malaysia, Trindad & Tobago, Netherlands, Canada, Latin America, Mauritius, Fiji aur anya kayi desho se aaye hue NRIs aur diasporas ko meri sanstha ki taraf se English books aur Meditation, Bhajan CDs, Vishvguru Ojaswi Magazine ka free distribution hua. Sabhi ko sahitya bahut ruchikar lagaa...demand was more than supply.

Thursday, January 5, 2012

Ek Anokha Gaon

Gambhoi ke nikat Punsri naam ka ek gaon hai jisko Gujarat government ne "ideal village" ghoshit kiya hai. Chief Minister Narendra Modi ne iss gaon ko well maintained aur advanced hone ke liye award bhi present kiya hai. Mera kal wahan jaana hua. Incidentally, wahan ke sarpanch Himanshu Bhai Patel sadhak hain...unki Baapu ji aur mere prati bahut shraddha hai. Unke netritva mein gaon ne khub pragati ki hai. Himanshu ji ne mera bahut accha swagat kiya aur mujhse gaon mein unke ghar jaane ki prarthana ki. Unke ghar jaane ke baad unhone mujhe poora gaon dekhne ki ek aur prarthana ki. Iss gaon ko dekhne ki ruchi mujhe bhi thi, to maine bhi sarpanch ki baat maan li. Himanshu ji ne mujhe gram panchayat ki taraf se aayojit gram sewa mein lagi hui ek bus mein baitha kar gaon ki sair karwane ki baat ki...yeh baat mujhe bahut pasand aa gayi...aur hum nikal pade village ki round trip per.
Gaon ki ek ek development dekh kar main aascharyachakit reh gaya. Yeh aisa gaon tha jahan ki advancement ke mukaabale mein metropolitian cities bhi shayad peechhe hain. Yahan ke kuch highlighting progressive set ups iss prakar hain:

1. Poore gaon mein audio system hai. Har gali mein uski connectivity hai. Roz subah sham ki sandhya, aarti audio system ke dwara harr ghar mein pahaunchti hai. Kisi ko koi message dena ho to wo bhi iss audio system ke dwara bheja jaata hai.
2. The entire village runs with the help of solar light.
3. There is a huge shopping complex under construction, which will support 120 shops that will sell items of daily use. The villagers will not need to go to cities for shopping.
4. The village maintains its own website, which has a special column of keeping financial transparency. All the money exchange w.r.t the govt is on display. Sabhi gaon ke log bahut imaandari se paise use karte hain.
5. Village ke sabhi gates bahut khoobsoorati se decorated hain. Sabhi per LCD displays hain.
6. Food storage facility bhi bahut advanced hai.
7. The entire village has neat and clean roads. The drainage system is well-maintained and has been constructed underground.
8. Harr ghar ko daily consumption ke liye 4 Rupees mein 20 litre ka filtered water milta hai. Summers mein Rs. 6 ka 20 litre thanda paani milta hai.

Urban sector ko iss gaon se avashya prerna leni chaahiye. Villagers ki unity, unka purusharth, Himanshu Bhai Patel ki leadership, aur sabhi nivaasiyon ka ishwar ke prati bhakti-bhaav hee iss gaon ki unnati ka mukhya kaaran hai.

Tuesday, January 3, 2012

Eicher Vehicle ki test drive

Abhi kuch din se Gambhoi ashram mein ekantvaas kar rahe hain. Aaj shaam ko Gambhoi ke paas Himmatnagar jaana hua. Wahan cars ke different showrooms mein gaye. Aakhir mein Eicher ke showroom mein gaye...Eicher 17 ft, BS-3 model accha laga, to socha ki uski test drive lenge. Bahut hee heavy-duty vehicle hai yeh. Per test drive to lene hee thi. Maine Eicher Motors showroom ke owner Mehul Mukund ji ko saath mein baitha kar test drive li.
Test drive lene ke baad jab main showroom se rawana ho raha tha...to mere sewak ne mujhe bataya ki Mehul Mukund ji ne unko yeh kaha ki mere jaise driving skills unhone kisi ke paas nahi dekhe. Iss se pehle Himmatnagar ke sabhi log Mehul ji ko driving skills mein bahut expert maante the. Un sabko yehi lagta tha ki Mehul ji ke jaise koi drive nahi kar sakta tha. Per aaj jab Mehul ji ne mujhe 17 ft, BS-3 model chalaate hue dekha to unko aascharya hua...