Monday, July 16, 2012

Sripuram Ke Shakti Amma ji ke saath snehmila


Kal ka poora din Chennai se 2.30 ghante ki duri pe sthith Sripuram, Shri Lakshmi Narayani Golden Temple me vyateet hua. Parso raat yahan pahaunchne per humara bahut bhavya swagat kiya gaya. Fir kal subah yahan ke pramukh Shaki Amma ji se mulakat hui. Unka humare prati bahut sneh umda aur unke saath gehen dharm charcha karte karte 2 ghante kaise vyateet ho gaye, pata hi nahi chala. Iske saath saath Music Therapy per bhi vicharo ka adaan pradaan hua. In charchaon ke dauraan, Sripuram Golden Temple ke director Shri M. Suresh Babu bhi upasthit the, unko Shakti Amma ji ne nirdeshit karte hue kaha ki "jo jo Saiji bol rahe hain, wo sab note kare aur un sab baato ko follow kare". Isske paschat sneh bhoj hua aur humare aagman se khub prassan hokar Shakti Amma ji ne hume Sripuram mein Navratri ke dino me punah padharne ka amantran diya.
Jab maine Shakti Amma ji se puchha ki unko mujhse kya chaahiye to ve bahut namrata se bole ki "kuch nahi, keval apka prem chahiye." Unki yeh uchit maang ko dekh kar humne kaha "agar prem chaahiye to uss se sab aa jayega. prem hi parmatma hai. jisko mera prem mil gaya usko kisi cheez ki kami nai rahegi."

4 comments:

  1. Saiji key charnoo mai koti koti naman....
    Yeh satya hai ke pujya shri saiji key prem sey jayada badi koi vastuuu nahi hai, ek sansari viyakti chahey kitna kuch bhi kamaa ley veh itna sukhi nahi hooo sakta jitna ke mai keval saiji key sneh paa kar hooo, aaj Tata, Birla, Ambani auvm kai badey udyogpati key pas kami hooo sakti hai parantooo mairey passs kisi bhi chij ke kami nahi evum unsey adhik sukhi jivan jita hoooo kyuki mairey pass Pujya Sai ji ka pyar or aashirvad hai.........

    Vishnu Joshi,
    Delhi.
    9540500904.

    ReplyDelete
  2. प्रतिष्ठा में आदरणीय श्री श्री
    सादर चरण वंदन

    प्रभु विदेशी धरती पर परमेश्वर का पवित्र संदेश प्रसारित करने के लिए हार्दिक बधाई।

    क्षमा प्रार्थी हूं भगवन, आपने रात्रि में फोन किया और मैं अभागा उस समय गर्मी से परेशान हो छत पर जाकर आराम फरमा रहा था। मेरा दुर्भाग्य कि आपके पावन शब्दों का भी क्षणिक सान्निध्य नहीं मिला।

    आपको ब्लॉग पढ़ा। एक नम्र निवेदन है प्रभु
    ब्लॉग को कार्यक्रम की सूचना तक ही सीमित न करें। इसमें अपने अनुभव, यात्रा वृतांत और प्रेरक प्रसंग डालेंगे तो लोगों को न केवल प्रेरणा मिलेगी, वरन भक्तों का मार्गदर्शन भी होगा।

    तेजपाल
    इंद्रप्रस्थ

    ReplyDelete
  3. hari om.sai ji apka prem sabko milta rahe.apki jay ho .

    ReplyDelete
  4. HARI OM
    SAI AAP BANGALORE AAYE BADHI PRASANTA HUI.

    ReplyDelete