Wednesday, May 23, 2012

Uttar Bharat mein tez gharmi ke dino mein....

Samast Uttar Bharat mein aajkal tez gharmi ke din hain aur inn dino mein satsang karyakramo ki dates dekar alag-alag sthano par satsang karne jaana mein shareer ko kuch dikkat to hoti hai par jis prakaar mein vyaspeeth par baethkar kuch gharmi saehan kar leta hoon ussi prakaar vahin vyaspeeth par baethkar jab mein satsang ka laabh lene ke lia sadhakon ko kayee-kayee ganto pehle se hi intzaar karta dekhta hoon to ishwar bhakti, ishwar gyaan aur ishwar ke dhyaan mein itni ruchi rakhne wale logon ka itna utsah dekhkar hriday mein hui prasannta shareerik-kasht turant mahatvaheen bana deti hai.
Inhi gharmi ke dino mein 21 May subah ko Bharat ki SuryaNagri Jodhpur pahuche. Yahan do din ka satsang karyakram diya tha, 21 sham aur 22 subah ka. Apne hi ek sadhak ke aagreh karne par yahan Jodhpur mein Shakti Ke Naveenikaran Yogya Srot (Renewable Sources Of Energy) ka ek plant dekhne gaye jo abhi viksit hi  horaha hai. Urja ke nirmaan ke aise chote chote kayee saare aur plants ko desh bhar mein sthapana karne ki zaroorat hai jo kisi bhi tareh ka pradushan kiye bina hi vidyut bana sakein .
Phir 21 shaam aur 22 subah ke satsang ke baad dopehar ki flight se Delhi pahuche. Yahan Narela mein sham ka ek satra diya tha aur satsang ke lia bhakton ka vishal jamaav dekhkar phir se prasannta hui. Sham ke diye gaye keval ek hi satra mein, garb mein balika shishu hone par broon-hatya (ya abortion) kattayee na karane par  kuch prakash dala. Udaipur ki ek sanstha ne, jo log rupae ki kamee ke chalte ya phir aur kisi saamajik kaaran se garb-paat karate hain athva bachcha paeda hone ke baad yahan-vahan kahin bhi chood dete hain aise logon aur unki aane wali santaano ke lia Paalna Ghar banaya hai. Apne Ashramon mein bhi Paalna Ghar banane ki yojana kafee samay se chal hi rahi hai aur Udaipur ki iss sanstha ka kaarya bhi iss disha mein bahut sarahniye hai.  22 May ki shaam ko Narela mein satsang khatam karne ke baad agle din subah helicopter se Meerut pahuche. Yahan 23 May ki subah ke satsang ka ek satra diya tha. Aur yahan se 1 baje ke aas-pass phir se helicopter se Dehradoon ke lia nikle.

Saturday, May 19, 2012

Udaipur ke sameep, Dhabok Ashram mein pichle 3-4 dino se ...

Har roz Dhabok sthit apne Ashram mein do-ek din se sham ko satsang hota hai jismein jigyasu bhakt khoob utsah aur ruchi dikhate hain. Satsang ke atirikt Ashram mein nirman, vikas karya, boring, aadi aadi ke kuch seva karya bhi chal rahe hain, jinki jaanch-parak karne ke liye samay samay per hum bahar nikalte hain. Ashram mein nayi kutiya ke nirman ka kaam bhi chal raha hai, anekon sadhak sewa mein jute hain...humari upastithi mein sabka utsah khoob prabal hai.

Thursday, May 17, 2012

Udaipur ke aas-hain kuch dino se...


12 aur 13 tareek ko Kelwara, Rajsamand (Rajasthan) mein satsang kiya. 13 tareek ko satsangiyon ki bahut acchhi beed juti thi aur pandaal chotta hogaya tha. Aas-pass ke kshetron jaise Saira, Udaipur, Khumbalgarh, Gogunda, Kankroli, Bhanuja, Aamet, Bhilwada, Kushalgarh, Sagwada aur door door se bhakt padare the. Sabhi ne satsang ka khoob labh liya. 13 tareek ko hi bhandara bhi hua jismein gareebon mein ann, dal, aata, chaval, dakshana, aadi ko baanta aur vitran kiya gaya. Sadhana TV Channel par dono din ka satsang samoroh live prasaran kiya gaya jise desh bar ke sadhakon ne ghar baethe apne apne TV sets par dekha. Sadhana Channel ko hi www.shrinarayanpremsai.com par bhi live stream kiya jaa raha tha. Sadhana channel ki team se pata chala ki iss satsang karyakram ko TV aur internet dono par hi hazaaron logon ne dekha. Bhakton ka do din prem dekhkar khoob aanand aaya. 13 tareek ki raat ko Gogunda nikal gaye. 14 ko Gogunda se din mein vahan se pass Saira ke bhakton ke aagreh par vahan gaye aur phir din mein Kankroli gaye. Kankroli mein kuch daer ruke aur vahan par phir se bhakton ke aagreh par pass mein hi banayi gayi ek kutiya ke vishay mein pata chala jise dekhne bhi gaye, phir vahan se aur aage Bhanuja gaye. Bhanuja mein 750 saal purane ek Mandir ke paas mein hi ekant-ramnik sthan hai: Gopal Giri ji Maharaj ka. 15 ko subah bhakton ke aagreh par 11-12 baje Kankroli aaye. 15 sham ka satsang phir se Bhanuja mein hua.16 ko phir se Gopalgiri ji Maharaj ke sthan pe pahuche aur din ka zyada samay ekant mein hi bitaya. 16 ko sham 5.00-5.30 baje ke aas-passGopal giri ji Maharaj ke saath pe jo unke bhakt unke saath reh chuke hain unhone apne anubhav sunaye. 16 sham ko phir se Bhanuja nikal gaye. 16 ki raat Dhabok (Udaipur) mein Ashram mein ruke aur 17 subah vahan se nikale (Udaipur ke pass mein) Hawala ke lia aur yahan par logon ke aagreh se sham ke lia satsang diya. Soochna milte hi sabhi sadhakon ne satsang ki khabar ko turant prachaar kardiya. Din bhar nivaas pe hi rahe aur sham ka satsang Dhabok Ashram mein karke ratri vishram ke lia vaapis aagaye nivaas par.... Om... Om.... Om...