Wednesday, May 23, 2012

Uttar Bharat mein tez gharmi ke dino mein....

Samast Uttar Bharat mein aajkal tez gharmi ke din hain aur inn dino mein satsang karyakramo ki dates dekar alag-alag sthano par satsang karne jaana mein shareer ko kuch dikkat to hoti hai par jis prakaar mein vyaspeeth par baethkar kuch gharmi saehan kar leta hoon ussi prakaar vahin vyaspeeth par baethkar jab mein satsang ka laabh lene ke lia sadhakon ko kayee-kayee ganto pehle se hi intzaar karta dekhta hoon to ishwar bhakti, ishwar gyaan aur ishwar ke dhyaan mein itni ruchi rakhne wale logon ka itna utsah dekhkar hriday mein hui prasannta shareerik-kasht turant mahatvaheen bana deti hai.
Inhi gharmi ke dino mein 21 May subah ko Bharat ki SuryaNagri Jodhpur pahuche. Yahan do din ka satsang karyakram diya tha, 21 sham aur 22 subah ka. Apne hi ek sadhak ke aagreh karne par yahan Jodhpur mein Shakti Ke Naveenikaran Yogya Srot (Renewable Sources Of Energy) ka ek plant dekhne gaye jo abhi viksit hi  horaha hai. Urja ke nirmaan ke aise chote chote kayee saare aur plants ko desh bhar mein sthapana karne ki zaroorat hai jo kisi bhi tareh ka pradushan kiye bina hi vidyut bana sakein .
Phir 21 shaam aur 22 subah ke satsang ke baad dopehar ki flight se Delhi pahuche. Yahan Narela mein sham ka ek satra diya tha aur satsang ke lia bhakton ka vishal jamaav dekhkar phir se prasannta hui. Sham ke diye gaye keval ek hi satra mein, garb mein balika shishu hone par broon-hatya (ya abortion) kattayee na karane par  kuch prakash dala. Udaipur ki ek sanstha ne, jo log rupae ki kamee ke chalte ya phir aur kisi saamajik kaaran se garb-paat karate hain athva bachcha paeda hone ke baad yahan-vahan kahin bhi chood dete hain aise logon aur unki aane wali santaano ke lia Paalna Ghar banaya hai. Apne Ashramon mein bhi Paalna Ghar banane ki yojana kafee samay se chal hi rahi hai aur Udaipur ki iss sanstha ka kaarya bhi iss disha mein bahut sarahniye hai.  22 May ki shaam ko Narela mein satsang khatam karne ke baad agle din subah helicopter se Meerut pahuche. Yahan 23 May ki subah ke satsang ka ek satra diya tha. Aur yahan se 1 baje ke aas-pass phir se helicopter se Dehradoon ke lia nikle.

No comments:

Post a Comment