Saturday, June 30, 2012

Guru Se Gaddari, Apne Vinash Ki Tayari


Do din pehle Delhi se Bhopal ki flight mein aate samay India Today ke July ank ke madhya prishthon per nazar gayi. Prishth kramank 26 aur 27 per ek ascharya janak khabar padh kar bahut khed hua. Khabar thi bhavatit dhyan guru Maharishi Mahesh Yogi ki sampatti evam virasat per unke bhakto ke beech chal rahe jhagdon aur vivaadon ki. Maharishi ki 2008 mein mrityu ke baad unki 60,000 crore ki vishal sampatti ko apne niji swarth ke liye upyog mein laaney ke prayas mein jute unke bhakton ne apne guru se gaddari aur gurudroh karne ka ek ghinauna pradarshan kiya hai. Lekh ke anusar, Maharishi ki poore desh bhar mein 12,000 ekad se zaada zameen hai aur aneko shiksha sansthan va vidhyapeeth hain. Koi guru apni poorna aayu daivi karya aur loksangrah mein sanlagna reh kar iss asha ke saath sansthaon ki sthapna karke jaate hain ki unke sab shishya unke daivi karyon ko khoob jawabdari aur tatparta ke saath aage badhaayenge, unke gyan ki khushbu poore vishv mein failayenge aur sabko sukh, shanty aur manav jagruti ka sandesh pahaunchayenge, apne guru ki chhavi ko, unke gyan ke dwara, jeevit rakhenge. Per jab shishyon ka uddeshya guru ke gyan ko failaane ki jagah per guru ki sampatti ko apne swarth hetu upyog karna, bechna va uska vyavsaik istemal karna ho, to iss se zaada peedha dene wala Vishay aur kya hoga? Maharishi ji ke inhi kuch bhakto ne apne Guru ki atma ke sath sath sabhi jeevit dharm guruon aur santo ke hriday ko thes pahauchane ka ninadniye karya kiya hai. Maharishi ji ne apni sansthaye keval dharmic, shaikshanik aur jankalyan ke uddeshyon se banayi thi, per inn tamam sansthaon, ashramo aur dharmic sthalo ko apne aarthik fayade ke liye aur apna niji swarth ke liye upyog mein lana, na hee keval apne guru se vishwasghaat hai, parantu unki daivi shakti se prerna praapt karke unnat hone wali aage ki peedhiyon ke sath bhi anyaay hai. Lekh dwara yeh bhi gyaat hua ki ab unke ashram ka sanchalan bhi theek se nahi kiya jaa raha hai, sanstha ke imarate jeerna-sheerna halat mein hain, bhavatit dhyan yoga kakshayein bhi durlabh hain kyunki bahut kum log shaamil ho paate hain, aane wale bhakton ki bheed bhi kum rehti hai aur shraddhaluon ka jhukaw aur utsah bhi durbal hota jaa raha hai. Jo log wahan reh rahe hain unhe kisi tarah ki bunyadi suvidhayein bhi uplabdh nahi hain; ascharya hai, sachai se jeene walon ko itna sangharsh aur kathinayi…aur sanstha ko bechne wale bejhijhak seena taan kar khushi se kukarm karne walo ko koi bhay nahi, koi glani nahi, koi sharm nai…dharma ka paisa nasht karna matlab apna satyanash karna, yeh bahut bada apraadh hai. Mere vichaar se samasta Hindu sangathano ko iss vishay mein apni aawaz uthani chaahiye, hume avashya praytna karna hoga ki yeh sansthan jiss udeshya ke liye bane hain unka uttam upyog ho taki ve samaj ki adhyatmic va naitik unnati mein apna mahtvapoorna yogdaan de sakey. 

Wednesday, June 27, 2012

Guru Poonam ke nimit pahuche Agra aur Gwalior

Kal subah 10 baje Gwalior pahuche, jahan subah 11-2 baje tak satsang hua, subah ke satra mein bhakton ne dhyaan ka khoob anand liya, kayee sadhak khoob gehrai mein utre, Omkaar ka gunjan aur dhyaan hua jismein sabhi ne anand aur shanti ka sacha aur hriday-sparshi anubhav kiya. Phir sham ka satra 6.30 baje se 8 baje tak chala jismein sabhi bhakton ko pichkaari ke paani se bhigaya aur sabhi ko sheetalta ka anubhav karaya. Satsang khatam karte hi Gwalior ke lia nikle jahan raat ko 1 baje pahuche . Phir subah yahan 11.30 baje se 1.30 baje tak ka satra diya. Guru Poonam ke nimit horahe iss karyakram mein sabhi bhakton ko humare aur poojya Bapuji ki saath mein tasveer wale pamplets batvaye. Guru mahima, Guru bhakti, Guru poojan  ka kya mahatva aur kya pad hai isska sabhi ko kuch vivran diya... Aage yahan se Bhopal ke lia niklenge aur vahan se phir Dewas aur Indore, kal subah Bhopal aur Indore dono jageh par satsang karyakram hai..... Aage ki baat ke lia aage padte rahiye... Jai Jai...

Tuesday, June 26, 2012

Guru Poonam nimit darshano ka aaramb...

24 June ki shaam ko Jammu sthit Rehari mein Hari Mandir mein shraddhaluon ko satsang-gyaan varsha ka labh diya. Yahan se raat ko 12 baje ki train se nikle aur subah 4.30 baje Ludhiana pahuche. Ludhiana pahuchkar vahan se road dwara car se subah subah Chandigarh pahuche jahan centre pe bhakton ne hamare darshano ka labh liya. 25 June ko Delhi pahuche aur Delhi mein T3 terminal ke sameep Ashram mein do satra satsang diye, ek 11.30-1.00 baje tak aur, phir din mein 3.30 se 5.00 baje tak. Yahan Sevanath Baba ne jis sthan pe varshon tak tapasya kiya hai, vahin bhakton ne hamare darshan kiye aur sabhi bhakton ke hriday mein aanand aur ulaas ki lehar daud gayi. Rashtra vaadi Shiv Sena ke adyaksh Shri Jai Bhagvaan Goyal darshan karne ke lia aaye the. Saath hi Shri Mukesh Jain ji, Shri Ram Sena ke raashtriya pravartak Shri Tyagi ji aur Hindu Mahasabha ke Shri Rakesh ji hamare abhinandan aur swagat karne padare the. Iske pashchaat sham ko Jaipur pahuche aur shaam ko 7-9 Jaipur ke bhakton ne Guru Poonam nimit "Ojaswi Jeevan Vikas Kendra" pe darshan kiye. Omkaar ke samuhik gunjan aur samuhik dhyaan ka sabhi bhakton ne labh liya. Yahan se subah subah Agra ke lia nikle... 

Saturday, June 9, 2012

Kuch dino ka ek chota sa vivran....

2 se 4 June tak Kosamba, Gujarat mein satsang karyakram diya aur vahan chal rahe sabhi seva kariyon mein sahiyog diya seva-dariyon ka. Phir unn sabhi ka marg-darshan bhi kiya aur unhe sahi disha mein badne ke lia protsaahan diya. Satsang ke teesre din maha-aarti ke saath Ashram mein nav-nirmit Shri Asharamayan Mahadev Shiv Mandir mein praan pratistha kiyi, ussi din mandir ke shiv ling ko Mandir ke dwaar ki jageh choti (shikhar) se mandir ke andar jamaya gaya. Veh Shiv Ling 15 brahmano dwara poojit hua. Vahan sthapit Vat-vriksha mein shaktipaat bhi kiya. Praan pratistha ke samay bhakton ke aagreh par Bhagvaan Shiv jaisa roop bhi dharan kiya. Karyakram ke dino mein sabhi aaye hue bhakton ko Dhyaan ka bahut aachcha anubhav bhi hua.

Iske baad 5-7 June ko Mumbai ke pass Virar mein karyakram diya aur vahan aaye hue seva-dariyon ka marg-darshan bhi kiya. Vahan khudayi aur construction chal rahi hai, kuch naye sewa kaarya shuru hue hain. JCB Machine bhi kaam mein laayi jaa rahi hai. Vahan swayam upasthit rehkar deewar banvayi. Daer raat tak ganto khada bhi rehna pada par aavashyak bhi tha. Aur keertan mein kuch logon ko kundalini jaagran ka vilakshan anubhav bhi hua.

Mumbai se Udaipur 7 June shaam ko gaye. 8-10 June Udaipur ke pass Kankroli mein karyakram tha. Vahan 8 June ko subah Kalash Yatra nikli. Shaam ke satra ke samay Indradev swayam prasann the aur satsang hote hote bhi baras rahe the. Issi samay "Alakh Niranjan Om" ka keertan kiya aur phir se kayee sadhakon ko kundalini ka anubhav hua. Vyaaspeeth beeg jaane par bhi vahan se gaaye nahi aur kursi jamakar, haath mein chata lekar, vahin par satsang-keertan kiya. Khoob aanand liya sabhi ne.

Aap sabhi ka apna,
Narayan.