Thursday, December 29, 2011

Sagwada se ab Banswara

Sagwada se kareeb 50 km ki duri per Banswara hai. aaj subah subah wahan ke liye nikal pade. Aadhe ghante mein Banswara pahaunch gaye jahan anek bhakton ne darshan laabh liya. Mere ek sadhak jinka naam Pradeep Brahman hai, wahin ke nivasi hain. Pradeep Brahman 7 divasiye Bhagwat katha kar rahe the. Katha ke chalte samay unhone swayam aakar mujhe Sagwada mein katha mein aane ke liye aamantrit kiya. Unki shraddha aur samarpan dekh kar mujhe aaj yahan Banswara aana hee pada. To ab dopahar ko unke dwara ho rahi Bhagwat katha mein jaane ka nischay hai...

Sagwada ka dhyan yog shivir

Sagwada ka dhyan yog shivir picchle saalon ke shivir se aur bhi zaada safalta poorvak aayojit hua. Bhakton ki bheed ka to anumaan lagaana ab maano asambhav hee hai. Teen din dhyan ki gehraayiyon mein kaise beete pata nahi chala. Aaj aakhri divas tha; aaj do mahatvapoorna kaam hue. Pehla, January 2012 ki Vishvguru Ojaswi ka vimochan (inauguration) aur doosra, 2500 se bhi zaada Ojaswi Calendars ka distribution. Vishvguru Ojaswi ka January edition sabko bahut pasand aaya. Mere vimochan karne ke baad stall se bahut bhakton ne ek ek prati khareedi. Saadhakon ka sewa ke prati utsah tab dekhne ko mila jab unhone Sagwada ke aas paas ke gaon - Bada Jeevda, Chhota Jeevda, Vadarved, aur Kanpur mein ghar ghar jaakar free distribution kiya.
Sagwada mein mera bachpan se aana jaana hai. Yahan ke bhakton ke sankalp mujhe aksar yahan kheench laate hain. Kitne hee bhakton ko kitne saalon se yeh aas thi ki mere charan unke ghar pade. Issliye poornahuti ke baad mere sewak mujhe Sagwada ke 8 bhakton ke ghar le gaye. Ek ek bhakt ke ghar mein mera bhavya swagat hua. Sabhi bhakt mujhe apne ghar mein aaye dekh bhaav vibhor ho gaye. Ashtsatvik bhaavon ki shraddhanjali mujhe arpit karne lage. Ek bhakt ne mujhe bataya ki woh aur unka parivar meri picchle 25 saal se raah dekh rahe the. Unka mere prati prem shabdon ki seema se baahar hai. Raat 11 baje tak yahi sab chalta raha. Fir jab 11 baje ke baad apne utaare per jaane ke liye sadak per gaadi mein aaye, tab ek anupam drishya dikha. Poore Sagwada ke raaston per bhakt aarti le kar, diye jalaa kar khade hue the. Har gali, har raaste per, bacche, buudhe, naujavan, behne, aarti kar rahe the. Sagwada ke bhakton ka mere hriday mein ek khaas hee sthan hai.

Victory of good over evil

It was a good news to know that Russian Court rejected all cases on ban on Shrimad Bhagvadgita. When India treats all other religions with respect, it is our right to get respect and regard from other religions as well. Hope that such disregard of our holy scripture does not happen again in future.

Om Peace.

Sunday, December 25, 2011

Kushalgarh mein kal mantra diksha ka karyakram...

Kushalgarh, Banswada mein dhyan yog shivir chal raha hai. Shivir 24 December ko shuru hua...dhyan, tatv-gyan, bhajan, kirtan se bahut satvik aur adhyatmic mahaul ban chuka hai. Sadguru ki kripa tabhi falti hai, jab sadhakon ki kripa grahan karne ki kshamta acchi ho. Kushalgarh ke bhakt sadhna mein ruchi rakhnewale va jigyasu hain. Inka mere prati prem bhi ananya hai. Mujhe inko chhod kar jaane ki iccha bhi nahi hai. Aaj shaam ko inhone mujhse mantra diksha ke liye prarthana ki. Inki paatrata dekh kar mujhe swikriti deni padhi. 26 December, yani kal, subah ke dhyan-yog satr se poorva diksha ka karyakram hoga. fir dhyan, satsang ke subah-sham ke do satr ke baad poornahuti hogi.
Fir 27 December se Sagwada mein teen din ka dhyan-yog shivir aarambh hoga.

Thursday, December 22, 2011

Dharmo Rakshati Rakshatah

Aaj aisa sunn ne mein aaya ki Britain mein bhi Russia mein Bhagwadgita per lagaye pratibandh ki koshish per aalochana hui. Briatin ke Hindu aur Nepali samudaaye ne wahan ke Russian Ambassador Mr. Vladimirovik ko ek letter likha hai jissmein unhone yeh likha ki "Pavitra Hindu dharmgranth Geeta per pratibandh ke prastav ke baare mein jaankar hume bahut dukh hua hai."

Sadhuvad hai aise dharm rakshakon ko jo vishw ke kone kone se Hindu dharm ke khilaaf badhti hui andhi ko rokne mein tatpar hain.

Dharmo Rakshati Rakshata: jo dharm ki raksha karta hai, dharm uski raksha karta hai.

Om

Shrimad Bhagwadgita


Shrimad Bhagwadgita ko jisne bhi dedication aur shraddha se padha hai….fir chaahe wo Hindu ho, Muslim ho, Parsi ho, Christian ho, ya Sikh ho…usne iss granth se zaada swatantra aur nirbhay banane wala aur koi granth nahi dekha. Yeh keval mere shabd aur bhav nahi hain…yeh vishv ke kayi mahaan vyaktiyon ka ekmat anubhav hai.
Aayiye kuch prassidh vyaktiyon ki bhasha mein unke Shrimad Bhagwadgita per vichaaron ko padhte hain:
Albert Einstein, jo ki modern era ke sabse prasiddh scientist reh chuke hain…wo khud apne dharm se German Jew the. Unhone Bhagwadgita ko padha aur samjha…uske baad unka yeh kehna tha:
“When I read the Bhagavadgita and reflect about how God created this universe everything else seems so superfluous.”
(matlab: jab main Bhagwadgita padhta hu…aur jab yeh sochta hu ki bhagwan ne srishti ka nirman kaise kiya, to sab kuch anavshyak aur nirarthak lagta hai…keval Geeta ka gyan hee satya hai.)
Henry David Thoreau jo ki 19th century ke prassidh American philosopher aur lekhak the, unhone bhi Geeta ka adhyayan kiya…aur unka yeh kehna tha:
“In the morning I bathe my intellect in the stupendous and cosmogonal philosophy of the Bhagavadgita, in comparison with which our modern world and its literature seem puny and trivial.”
(matlab: Har roz subah main apni mati ko Bhagwadgita ki mahan sarvor mein snan karwata hu. Iss mahan granth ka adhyayan karne ke baad hum iss yug ke manushyon ke dwara rache gaye sahitye bahut hee tuuchh aur sadharan lagte hain.)
Dr. Albert Schweitzer jo ki 20th century ke prassidh German philosopher aur doctor the, unke shadbon mein:
“The Shrimad Bhagwadgita has a profound influence on the spirit of mankind by its devotion to God which is manifested by actions.”
(Bhagvadgita ka manushya-matr per ek gehra asar hai. Yeh hume karma yog ke sahayta se ishwar ki upasna ka marg dikhati hai.)
Canada ke Prime Minister Mr Trudeau ne jab Bhagwadgita padhi to ashcharyachakit ho kar bole:
“Maine kayi dharm granth padhe hain per Shrimad Bhagwadgita granth to adbhut hai. Ismein kisi bhi mat, majhab, panth, sampraday ki ninda stuti nahi hai balki ismein to manushya matr ke vikas ki baat hai. Sharir swastha, mann prassan aur buddhi mein samatva ka, brahmgyan ka prakash jagaane wala granth hai yeh Bhagwadgita.”
Unhone ne Shrimad Bhagwadgita ke vachno ko apne jeevan mein utaarne ke baad kaha…”Gita is not the bible of Hindus, but it is the bible of humanity.”
Ab itne mahan vyaktiyon ke anubhav jhoothe to nahi ho sakte. Fir kaise keh diya Russia ki Tomsk University ne ki “ Bhagwadgita “extremist” granth hai…”isko ban kiya jaaye”?
Russia ko ek secular aur democratic country ke ruup mein jaana jaata hai. Tomsk University ke Orthodox Christians ke iss remark se Russia ke vidwaano ki dayani stithi ka parichay hua hai. Poore vishv ke log Shrimad Bhagwadgita ko aadar se padhte hain, schools, colleges aur Universities mein iska adhyayan karaya jaata hai…Bharat aur anya desho mein iski puja hoti hai…iski jayanti manayi jaati hai…aise aupam aur asamanya dharmgranth ke ansh bhar bhi apmaan ko Bharatwasi nahi sahenge. Hum sabka yeh kartavya hai ki hum Shrimad Bhagwadgita ki mahima ko khud bhi jaane aur doosre desh aur dharm ke logon ko bhi parichit karwayein.

Wednesday, December 21, 2011

Petlawad ka anupam drishya

Itne dino se lagatar nayi nayi jagah per bina break ke satsang karyakram karte hue bhi utsah, ullaas aur energy level zara bhi kum nahi hai. Aaj aur zaada anand aur prassannata hai. Petlawad pahaunch kar aisa divya drishya dikhega... socha bhi nahi tha. Madhya Pradesh ka ek chhota sa aadivasi kshetra, jahan logon ke paas prema bhakti aur shraddha ka khazaana hai...dekhti hee dil mein khushi ki leher daud gayi.
Mere darshan prapt karke inn sabhi bhakton ki khushi ka thikana hee nahi hai...Baapuji ke ashram mein mera bhavya swagat kiya sabne. Satsang shuru hone tak to laga hua pandal poora bhar gaya. Satsang abhi shuru hee hua tha ki double pandal badhaana pada. Bhakton ki bheed ne pandal fir chhota kar diya...fir se pandal badhayaa gaya...
Satsang ke baad bhandara bhi hua...kitne hee bhakton ne issmein sewa ka yogdan dekar sabhi Petalawad ke shraddhaluon ko kapde, anaaj, bartan aur kambal ka vittaran kiya.
Ab to meri bhi khushi ka thikana nahi hai ...

Monday, December 19, 2011

Kal Ratlam ke paas Sailana ke aadivasi gaon mein satsang hua. Bhakton ka sailab umad pada...bahut samay se satang aur darshan ke pyaase bhakton ka sapna sach hote dekh ek adbhud anubhav hua. Kum suvidhaaon mein jeene wale yeh aadivasi log dil se ameeri ki parakashtha per pahaunche hue prateet hue. Inke dil ke shraddha bhaav aur mere vachano aur darshan ke prati preeti ki to jaise koi seema hee nahi thi...bahut bahut saadhuvaad hai inn sabko.


Satsang ke baad shaam ko Mangalya Mandir gaye...ratri mein mandir ka parisar bahut lubhavana lagg raha tha.


Aaj fir se Sailana mein satsang aur ek vishal bhandara hai...jahan sabhi bhakton ko kapde, kambal, prasad aur mithai ka vittaran hoga.


Sabka mangal...sabka bhala....


om..om..om...

Thursday, December 15, 2011

Madhya Pradesh se Madhya Pradesh tak ka safar

Indore ke poonam darshan ke vishal karyakram ke baad kissi vishesh karya se achaanak Delhi jaana pada. 13 December subah 12 baje flight se Delhi ke Terminal 3 ke paas apne ashram pahaunche, 3 baje meeting ke liye gaye aur raat ko rajokari ashram mein sabhi bhakton ko darshan de kar wahin vishram kiya. Agley din 14 December ki subah fir se meeting ke liye kahin jaana hua, aur fir dopahar ko 3 baje Karol Bagh ashram pahaunche jahan bhakton ki bheed mera intezaar kar rahi thi. Unko darshan dekar sham 6 baje ki flight se Bhopal ke liye nikal gaye kyunki agley din, 15 December ko Dewas mein karyakram tha. Bhopal se Dewas lagbhag 160 km ki duuri per hai. Indore ki jagah Bhopal ki flight yeh soch kar li, ki Bhopal se Dewas pahaunchane ke raaste mein 3 jagah per satsang aur darshan ka karyakram ho jaayega. Ek taraf Delhi airport per Delhi ke bhakton ki udaasi thi, to doosri taraf Bhopal airport per Bhopal ke bhakton ka bhavya swagat. Madhya Pradesh ke bhakton ke sankalpon ne mujhe 15 December ki subah Bhopal mein gurukul mein vidyarthi vishesh satr, fir dopahar ko Sehore, Ashta, aur fir sham ko dewas mein kirtan yatra aur satsang karne ke liye aakhir kheench hee liya.


Ab kal dopahar (16 December) ko Dewas mein satsang ka ek satr de kar, Kaytha ke liye rawana honge.

Monday, December 12, 2011

Nano: the small wonder






29th November 2011, ko Jaipur centre aana hua. Yahan ke sevakarya mein vyast sadhak humare aane se gad gad hue. Un sab ke saath unki sevaon ke vishay mein charchaa ka ek satr chalaa. Sevaon ke vistaar, sanstha ke badhte hua karyon va sabhi sadhakon ki city mein baar baar aane jaane ki zaroorat ke bare mein pataa chalaa. Sabhi ko kissi na kissi karyavash city mein din mein ek baar jaane ki avashyakta padhti hee hai. Unki baton se lagaa ki yahan per ek chhoti car ke avshyakta hai jiss se seva aur acche dhang se ho sake




Sevakon ne akhbaar ke vibbhin vigyaapan dikhaaye. Tata motors ke showroom mein jaana tey hua. November ke mahine mein Indica Vista per car exchange offer tha, socha ki wahi lenge. Per jab showroom mein Nano ke 2012 model per nazar gayi toh, Indica Vista lene ka vichaar badal gaya. Mojito green colour ko aaye hue 2 hee din hue the, abhi poore Jaipur mein 2012 ki keval ek hee car sell hui thi aur mojito green colour ki pehli gaadi wohi thi…jissper humari nazar thi.




Showroom ke sales executives se baat hui. Mujhe showroom mein swayam dekh kar 4 showroom executives mere paas aa kar vibbhin cars ke bare mein mujhe parichit karaane lagey. Per Nano jaisi chhoti, economical, cute, maindak jaisi, compact aur zaada milega dene waali car koi aur nahi dikhi. Aakhir mein, Nano Mojito green colour le hee li … Its improved features, noiseless engine with improved suspension and2 rear view mirrors, and nice, stylish interiors was enough to impress. I was given discount too! Acchi deal mein at the same time payment karke car centre tak main svayam chala kar laaya. Sabhi sadhak bahut khush the. Unke sevakarya karne mein aur utsaah badh gayaa.

Sunday, December 11, 2011

Music: the breath of life

Sangeet jab dil ko chhu ta hai, tab bhasha aur praant ke bhed bhaavon ki seema paar kar leta hai. Mere gay hue kayi bhajan aise hain, jo desh videsh ke sadhak bahut ruchi se sunte hain. Followers belonging to different cultures and languages find those devotional songs soulful. Many a time, my followers living in Mauritius, Thailand or London do not understand the Hindi language in which the songs have been sung, yet they find solace and feel overjoyed on hearing them. When I happen to ask them, “how come you liked the bhajan, you do not understand Hindi…?” They reply, “A song that is soulful and the music that touches our heart is beyond the barriers of language.”
Very recently I came across some youngsters from North India listening to a Tamil song in their car. They seemed to be in awe of the song…I vaguely remember the lyrics being … “Kolaveri Kolaveri…” At my behest, when my sevak asked one of the lads, he said, “we really love the music beats and the style in which it is sung…it hardly matters that we do not understand Tamil…”
Yeh sach hai ki sangeet mein insaano ko badalne ki taakat hai. Accha sangeet jeevan ki udaasi aur tanaav ko duur karta hai. To humesha apne jeevan ko sangeet, nritya aur kalaon se sarabor rakhiye, apne jeevan ko aur mangalmay banaaiye.

Saturday, December 10, 2011

Khagras Chandra Grahan, 11 December 2011

Kal 10 December ko Margshirsh Poornima thi. Yeh din Bhagwan Dattatreya ka avtaran divas bhi hai, iss liye isko Datta Jayanti ke naam se bhi jaana jaata hai. Per iss varsh (2011) ki Datta Jayanti aur bhi vishesh thi, kyunki kal Khagras Chandra Grahan yaani Total Lunar Eclipse tha. Shaam 6.15 baje se raat 9.48 tak Chandra Grahan lagaa tha. Yeh iss varsh ka teesra chandra grahan tha. Poore Bharat mein yeh Chandra Grahan dikha. Africa, Europe, Middle East Asia, Australia, North America, Greenland, East Canada, Pacific aur Arctic oceans mein bhi logon ne Chandra Grahan dekha.

Subah 9.15 baje se hee sutak lag gaya tha. Iss samay ke baad bhojan karna varjit tha. Humare shaastron mein Chandra Grahan ke din upvaas aur snan ki khuub mahima hai. Upvaas grahan lagne ke 9 ghante poorv hee prarambh ho jaata hai.Grahan ke shuru hone aur samaapti per snan karne se vishesh phal ki praapti hoti hai.Yehi kaaran hai ki Haridwar, Prayag jaise tirth sthalon per grahan ke samay shraddhaluon ki bheedh lagi rehti hai. Grahan ke yeh 3.30 ghante maano saadhna ke path per chal rahe saadhakon ke liye jaise ek golden opportunity the. Iss samay kiya gaya jap dhyaan, lakh guna phal deta hai. Omkar ki toh vishesh hee mahima hai. Ashtakshara Mantra aur Mrityunjaya Mantra japne se shanti ki praapti, swasthya mein vriddhi, aur prema bhakti ke maarg mein unnati pradaan hoti hai.
Margshirsh poornima ka shubh divas aur khagras chandra grahan jaisa anupam mauka ek saath aana bahut durlabh baat hai. Kal ke din ka laabh yahan Indore ke bhakton ne bhi liya. Poornima darshan ke saath saath vrat, upvaas, jap dhyaan ka ek anupam mahaul bann gaya tha. Raat 9.48 tak nirantar jap chalta raha. Uske baad mein, sabne snan karke bhojan prasad praapti karke ratri ka vishraam kiya.

Tuesday, January 18, 2011

Ahmedabad ko hue ravana

Nazdeek airport hone ka bada fayda hai. Jab mauj uthi pahoch gaye airport , jo pahli flight mili jahan ki ho liye vahin ke...... Aaj bhi kuchh aisa hi hua. Subah ghumne gaya tha - dekha Ahmedabad ki flight thi - li ticket , baith gaya aur 7 baje tak pahoch gaya Ahmedabad.
Ahmedabad me Pujya Gurudev bhi padhare hue the. Thoda nitya niyam se nipat kar Bapuji ke paas jana hua. Kafi der sath me raha - baatcheet hui, bahot se vishyo pe vichar - vimarsh hua.
Ashram ki seva - vyavasthayo bhi charcha hui.

Monday, January 17, 2011

' FESTIVAL OF LIFE '

Jivan ek utsav hai, Har din - har ghanta - har minute - har second utsav hi hai yadi jine ki kala aa jaye to ! Aaj vichar aaya ki ek naye slogan ke under apni activities shuru ki jayein - ' FESTIVAL OF LIFE '. Sabhi bhakto ke beech ye vichar rakha - sabhi ko bahot prasannta hui.

Shaam ko Prof. Satya Vrat Shashtriji se milna hua. Aise vidvan mahapurush aaj dharti pe durlabh hote ja rahe hain. Kafi samay unke sath bitaya - unki kritiyo pe nazar dali.

Sunday, January 16, 2011

Subah Delhi Pahocha

Aaj subah sahaj me airport chala gaya. Pahli flight Delhi ki mili to Delhi hi nikal pada. Lagbhag 7 : 30 baje Delhi pahocha. Na jane kaise Delhi ke bhakto ko mere aane ki khabar mil chuki thi to airport pe bhakto ka mela sa laga gaya.
Airport Terminal 3 ke samne Satsang Seva Ashram ( Same Ram Baba ki samadhi ) pe rukna hua.Dopahar tak to aur bhi bahot se bhakto ko suchna mil gayi aur Ashram me jan sailab umad pada. Sahaj aagman - sahaj suchna - sahaj jan sailab - to sahaj me hi Satsang - hari katha bhi ho gayi. Yahin ekant satvik ashram me aaj ka din beeta.

Saturday, January 15, 2011

Ekant - maun me beeta din

Jitna jitna hum antarmukh hote hain , apne nazdeek hote hain , utna hi samarthya swabhavik hume milta hai. Aaj vichar aaya ki aaj ka din ekant aur maun me bitayein - Ekant mane 'Ek' me anek viritiyo ka ant !

Friday, January 14, 2011

Machine ko thik thak karne me lage

Uttrayan Parv ki sabhi ko khub - khub badhai !!!

Aaj is sharir ka swasthya thoda narm hai. ' Tann dhariya koi na sukhiya dekha ' - Kabir ji ne bahot sundar kaha hai.Is sharir me bhi koi na koi dikkat lagi rahti hai. Ye Ishwar ki di machine hi to hai, aaj is machine ko thik thak karne me lage hain.

Rog bhi us Yaar ka diya hai...Hume dono hain pasand, chahe dhoop de ya chhanv....

Thursday, January 13, 2011

Na Bheed se dikkat,na ekant se lagaav...

Purv janam ke sanskaro ke karan bachpan se hi mann ka ekant ke liye adhik khinchav raha hai, bheed se pare - jahan na mai kisi ko dekh saku , na koi muzhe .... aise ekant me yatha sambhav samay nikal ke jata rahta tha. Pujya Gurudev ki seva ke dauran bhi ye khinchav bana rahta tha. Kabhi Ashram ke pichhe Sabarmati nadi ke kinare, to kabhi Vijaynagar ke junglo me ; to kabhi Himmatnagar ke ekant nirjan sthano me chala jata tha. Yahi khinchav muzhe Pedhmala- Gambhoi le aaya... ' Muzhe meri masti kahan leke aayi jahan mere apne kahin kuchh nahi hai '.

Lekin yadi prakriti is sharir se kuchh aur karya karvana chahe to muzhe koi aagrah bhi nahi hai , '' Ab soup diya is jivan ka sab bhar tumhare hatho me... ''

Yahan bhi ekantvaas ki ichha se hi aana hua tha lekin na jane kahan se logo ko mere aane ki khabar pahoch gayi aur subah se hi ve bahar aake baith gaye the. Lagbhag 12 baje bahar sabke beech satsang hua.

Na koi aagrah - na duraagrah , na bheed se dikkat - na ekant se lagaav ,
Har dam khushi, har haal khushi , har waqt amiri hai baba !
Jab aashiq mast fakir hua , fir kya dilgiri hai baba !!!






Wednesday, January 12, 2011

Virar me ekant ke pal

Vishranti me beeta din , aisi hi beeti raat
Charo aur pahadiyo ke beech bana ashram, dhyan yog ka anand deta hua....
Socha kuchh din aise hi beetayein...
Raksha bandhan , janmashtmi ke baad ab aana hua hai yahan! Socha ekantvaas karenge lekin bahot log bahar aa gaye...Kab tak akad ke baithenge - milna to padega ! Jo Hari ichha...Chalo, Fir chalte hain bahar.....

Aapka apna

Tuesday, January 11, 2011

Virar, mumbai

Aaj subah dudhni,jo silvassa se 36 k.m. hai, suryodayse purv hi ankh khuli, aur vishal lake
par najar gai,dhyan me baitha aur 7 bje boat me baith kar samne paar gaye. Mere sath aur do boats bhi thi,pollution free us anandmay shant vatavaran me pranayam kiye, aur ghumna hua.
Surya snan krke 10 bje tak aasan aur surya namskar kiye, jise mere sath lagbhag 20 logo ne dekha.
Dharampur se aye hue sadhak,vithalbhai...... , amti se aye hirabhai sarpanch( jinhone bahot achha Gurumandir banaya hai.....loksewa ke bahut achhe karya kiye hain) - unhone darshan-swagat kiya.
vithalbhai ne 2-3 aur logose parichay karvaya jo 140 balsanskar khol chuke hain,
Dharampur,Kaprada aadi kshetro me, unki sewa sarahniya hai..
Maine unko jungle me chalnewale b.s.k.me bachoko ayurvedic aushdhiyo ka gyan deneka suzav diya.aur shikshako ki 1 dinki shivir rakhneka bhi suzav diya,ve bahut khush the.
Bhakto ne ek house boat ki vyavastha ki jiski chhat pe 35-40 log baithe, aur 1 hr. usme ghumna aur satsang hua.
Baadme silvassa hote hue virarke liye prasthan kiya,silvassa ke border tak samiti ke 8-9 log muzhe chhodne aae jinme the Sharmaji,Rathod-Ex-P.I. aadi.Gili aankho se unhone muzhe vidai di. 7.13pm tak Virar ashram pahuche.
aur ab bhojan karne baith raha hu,,,aap anand me honge....
kal 12 Jan. ko budhwar hai aur ashtmi bhi hai... jap,dhyan ka vishesh mahatv hai...
avashya labh uthayein...

aajka din bahot anandme beeta, sabka bahut sneh, prem mila...


Aapka Narayan.

Monday, January 10, 2011

Aisa anand jo kabhi chakha nahi...

Aaj subah Meghwaad Ashram me vishesh Dhyan-Yog satra ka aayojan tha. Maine socha tha ki kuchh hi pakke log vahan pahoch sakenge par Silvassa ki aadhyatmikta ki pyaas ko dekh ke hridya prafullit ho gaya. Achha jansamuday ekatrit ho gaya tha. Khub vilakshan , khub advitya anand ka sabne rasapan kiya. Aaj yahan bahot se prayogo ka mishran hua - Aasan, pranayam, Meditation, Hasya chikitsa, Nritya chikitsa - kafi kriyayo dwara swasth aur nishchint rahne ki yuktiyaan logo ko maine di. Vatavaran aisa ho gaya tha mano kisi Rishi Ashram me jigyasu punah Bhartiya Sanskriti - Bhartiya Yogvidya ka anusaran kar rahe hain ! Satr ki purnahuti 'Yoga with dance' se hui jisme sabhi sudh-budh kho ke matwale se zhumne lage.... Bahoto ne bataya ki aisa anand jivan me unhone kabhi nahi chakha hai to koi bola ki unhone to kalpana bhi nahi ki thi ki aisa anand kahin ho bhi sakta hai !

Satr purn hone pe Ek Mahatma mere darshan hetu padhare, unhone bataya ki kafi samay se unki muzhe milne ki ichha thi jo aaj puri hui !

Bhojan ke baad Aamti jana hua jahan chhote chhote masum bachcho se sneh-milan hua, unke sath saral bhajano ka anand liya. Unki bholi meethi aavaz me bhajan sun-na aur unhe bhajan ke shabdo pe nritya karane me adbhut anand aaya - Bachcho ki nirdoshta - saralta sabhi ko apna bana leti hai, yadi isi umr se unhe sahi disha mil jae to ve bahot aage ja sakte hain aur har karya me safal ho sakte hain!

Abhi Aamti se dudhni ke raste pe gadi chal rahi hai - Prakriti ki divyta uske rachyita ki yaad dilati hai - tede medhe raste - lambe lambe ghane vriksh- shant ramneek vatavaran baar baar yahan kheench layega , aisa muzhe lagta hai !

Sunday, January 9, 2011

Silvassa me 1 din aur bada

Aaj Silvassa me aakhri din tha par yahan ki satsangi dharmik janta ke prem-bhakti aur satsang ke prati aadar-zhukav ko dekhte hue kal ka ek aur din badane ka aaj nishchya kiya. Ye sunke sabhi logo ne mano pratayksh ye anubhav kiya ki ' Jaise suraj ki garmi se jalte hue Tann ko mil jae taruvar ki chhaya ' , Sab ye khabar sunke khushi se zhum uthe... Sabke chehro se chhalakti prem , kritagyta abhi bhi muzhe yaad hai... Adhik se adhik log satsang ki kimat samazh ke apne jivan ko sukhi - sammanit banayein aur auro ko bhi is marg pe chalne ko prerit karein!
Kal ka satr subah Meghwaad Ashram me hoga jo city se bhale dur ho par prakriti ki god me hone se dhyan ki gehraiiyo me sadhak shir pahoch sakta hai.

Saturday, January 8, 2011

Hari katha hi katha...

Silvassa me aaj dusra din tha. Subah dhyan me vilakshan anand aaya. Hari charcha se hi din ka prarambh hua. Hari Katha hi katha, baki sab jag ki vyatha !
Subah lagbhag 10 baje Pandal me Satsang prarambh hua, Shiv kirtan me sabhi tal-leen ho zhumne lage ! 'Vichar kranti Abhiyan' me kafi shradhulu logo ne vishwaguru ojaswi bantne ka sankalp liya.

Kuchh premi sadhko ke snehpurn aagrah ke karan unke ghar jana swikar karna pada. Maine unhe kaha ki Mai aapke ghar ek hi shart pe aaunga , yadi aap bhi mere ghar aao jahan mai aapko le jana chahta hu to mai bhi aapke ghar aau! Unhone saharsh swikar kiya, Ishwar unhe unka sankalp pura karne ki shakti de aur ve shighr apne vastvik ghar me pahoch jaein - yahi shubhkamna !

Friday, January 7, 2011

Silvassa me sakshat Prayagraaj...

Satsang ki mahima sabhi santo-mahapursho,yahan tak ki swayam Bhagwan ne gayi hai ki jahan sant hote hain-satsang hota hai-Hari katha hoti hai vahan mai swayam rahta hu. Satsang to sakshaat prayaagraaj teerth hi hota hai ! Dhanya hain ve jo aise satsang jan manas ko pahochane me bhagidaar ho jate hain. Silvassa ke kuchh aise hi satsangi dharmprayan bhakto ke safal prayas ke falswarup yahan 3 divasiya satsang ka aayojan hua jisme Sharmaji ka prayatan sarahniya tha.

Mere nivas ki bahot sundar vyavastha ki gayi hai. Meghwaad ke ekant me bane shant-ramnik Ashram me mai ruka hu. Subah - shaam Hari bhakto ke sath Hari charcha hui jisme sabhi ko khub khub anand aaya! Yahan ke shant prakratik vatavaran me mann svatah hi amannibhav me leen ho raha hai - jahan na vani pahoch sakti hai na koi shabd ! Us anand ki madhushala me aap sabka swagat hai !!!

Aapka Narayan

Thursday, January 6, 2011

Thermal me Satsang Sampann

Aaj Thermal ka dusra din tha. Subah Subah Dhyan yog satra ka aayojan tha jisme sabhi jigyasu sadhko ne dhyan ki gehraiyyo ka adbhut anand uthaya...Us anand ke aage sansar ke sab sukh-uplabhdhiyaan fike lagne lagte hain ! Keval Thermal ya Bharat nahi - vishva bhar ke log is anand ke adhikari hain - sabhi is anand ka anubhav karein - aisi hardik ichha hai.
Shashi ne bahot sundar prashan puchha hai - Dekho, Guru mane kya ? Guru mane bada - to Guru darshan matlab - Aapka darshan bada ho, vishal ho ; Aapke thoughts - aapki drishti vishal ho ! Itna vishal ki Ishwar ke darshan ke lie mandir ki bhi aavashakyta na rahe ! Jaisa Guru ka darshan hai vaisa hi aapka bhi ho jae ! Aap bhi unki tarah aatmakar - brahmakar vriti me rahne lagein - yahi Guru Darshan ka sahi arth hai.Lekin iske lie bhi bahar ke darshan ki jarurat to hai hi.Agar bahar ke darshan baar baar na kar paein to unke vichar - unka updesh unke sahitya - cd - mp3 dwara baar baar pad-sunke uska raspaan karna chahie.
Shaam ko lagbhag 5 baje Thermal se nikla aur Baroda ke premi bhakto ko darshan - prasad dete hue abhi Surat ( Kamrej) pahocha hu !

Aapka Narayan

Wednesday, January 5, 2011

Personality Development Programme Thermal me

Thermal ke 2 divasiya satsang karyakram ka aaj pratham divas tha. Thermal Power Station Colony ke B.J.Parmar, V.B. Kataria, R.k.Shah , P.L.Vazha aadi engineers ki vishesh mang pe yahan shaam ko " Personality Development Programme" ka aayojan hua. Dinesh Laad ji ka prayas prashansniya raha. Jo log apni sanatan sanskriti aur dharm ke prachar ke devi karya me sahbhagi ho jate hain, unhi ka jivan vastav me safal hai - sarthak hai ! Yahan ke dharmprayan logo ne Vishvaguru Ojaswi aur nav varsh ke calendar vitran ka sankalp liya. Kisi ne 50, kisi ne 100 to kisi ne 1000 patrika batne ka sankalp kar "Vichar Kranti Abhiyan" me apni aahuti dali.

Tuesday, January 4, 2011

Janmotsav Gambhoi me

Aaj Gambhoi ke ekantvaas me Karanpur, Modasa, Adpodra, Raegarh aadi nazdik ke sthano ke premi bhakt log darshan ke liye aaye aur janmotsav ke karyakram ki maang ki. Is sharir ka janamdin isi mahine ki 29 tarik ko hai. Bhakto ne bataya ki 1973 ( is sharir ka janam varsh ) me 29 January ko shat-tila ekadashi thi aur is varsh 38 varsho ke baad fir se 29 January ko shat-tila ekadashi hai ! Sabhi ki ichha thi ki Gambhoi- Pedhmala jaisi tapobhumi me is varsh Janmotsav manaya jae. 29 ko Himmatnagar me bhavya kirtan yatra, Gambhoi me Sagwada se aaye brahmano dwara 11 yagya kund ka aayojan evam bhakt-sadhko ke lie falahar ki vyavastha aadi ke nirnaya aaj liye gaye.Lagbhag 8 baje Thermal ke lie nikle aur 10 baje Thermal Ashram me pahoch kar aap ke lie aaj ka ye post likh raha hu.
Shubh Ratri ! Sanso ki mala me us alakh ka smaran karte karte apne ratri vishram ko Yognidra banane ki kala aap sikh lein - aisi Shubhkamna !

Monday, January 3, 2011

Ho jao 3 gunose paar

satva,raj aur tam -ye tin gun hai.
Gun hi gunome barat rahe hai..avinashi aapka aatma to sada nirlep
hi hai,aisa jankar parmanand ka anubhav karo'.
------------------------------------------------------------------------
kubernagar ,amdavad me 2 dinka satsang purna hua.kal suba pedhmalake ekant me
dhyan yog ka anand liya.fir gambhoi me ashka ka janmdin badhai diya,9.40 am
ko himatnagar ashram pahuche,aur nae pandalka udghatan kia..aur 10.15 se 12.15 tak
satsnag karke...satsang ayojako se 15 min. gufgu karke amd. ravana hue.himtngr me hasmukhbhai
talati ke ghar pagla hua...amd.stsangke baad pagloka karyakarm 9.45 tak hua.
girdhari,bhagwandas,pawanbhai,gopi,kumar,gordhan,ashalesh,
suraj hosiery,sonu,krishna enterprise,dhanlaxmi fruit centre,meet apparels,
itnoke ghar jana hua.
CHANCHAL KI SEWA BAHUT BADHIA RAHI.
SEWAME TATPARTA HAI..AUR SEWAKI MAHIMA BHI PATA HAI..AESI LAGAN
BANI RAHE.
aur ratri 12.00 gambhoi pedhmala pahuche. aaj aur kal din ekant aur ashram vyavashtha,sewa sadhna ke lie...
sai sudarshan ke lie .matlab AAPKE LIE,AAPE GHAR DVD VCD ME BAND HOKAR
PAHUCHNEKE LIYE.....

Om anand. AAPKA sai,
NARAYANAM..

Sunday, January 2, 2011

2 ko jano thik se


2 January, Pedhmala

Ek hai ishwar
dusri hai prakruti
dono se bana hai sansar.
11 ,mtlab 10 indriya
+1 man=11 .isise jagat
bhasit hota hai.
Is rahasya ko jano aur
Aajka din safal banao.

Aapka apna Narayan

Saturday, January 1, 2011

2 din Ahmedabad me


1 jan. Ahmedabad.
Ahmedabad jo ki is sharir ka janamsthan hai,yahi is sharir ki bachpan ki mitthi yaadein bhi judi hain, to un logo ka sneh-prem aur lagav bhi vishesh hi hai jinhone muzhe bachpan se aaj tak dekha hai ! kai to aise hain jo mere sang utsav manana chahte hain – unke lie khas ye do din maine nikale aur satsang ko ek utsav ke dhang se manane ka nishchya kiya aaj aur kal ! Kuber nagar ke sindhi-hindi-gujarati pyaro ke beech 2011 ke naye varsh ke pratham mahine ke pratham 2 din…

Aapka apna Narayan…