Thursday, December 15, 2011

Madhya Pradesh se Madhya Pradesh tak ka safar

Indore ke poonam darshan ke vishal karyakram ke baad kissi vishesh karya se achaanak Delhi jaana pada. 13 December subah 12 baje flight se Delhi ke Terminal 3 ke paas apne ashram pahaunche, 3 baje meeting ke liye gaye aur raat ko rajokari ashram mein sabhi bhakton ko darshan de kar wahin vishram kiya. Agley din 14 December ki subah fir se meeting ke liye kahin jaana hua, aur fir dopahar ko 3 baje Karol Bagh ashram pahaunche jahan bhakton ki bheed mera intezaar kar rahi thi. Unko darshan dekar sham 6 baje ki flight se Bhopal ke liye nikal gaye kyunki agley din, 15 December ko Dewas mein karyakram tha. Bhopal se Dewas lagbhag 160 km ki duuri per hai. Indore ki jagah Bhopal ki flight yeh soch kar li, ki Bhopal se Dewas pahaunchane ke raaste mein 3 jagah per satsang aur darshan ka karyakram ho jaayega. Ek taraf Delhi airport per Delhi ke bhakton ki udaasi thi, to doosri taraf Bhopal airport per Bhopal ke bhakton ka bhavya swagat. Madhya Pradesh ke bhakton ke sankalpon ne mujhe 15 December ki subah Bhopal mein gurukul mein vidyarthi vishesh satr, fir dopahar ko Sehore, Ashta, aur fir sham ko dewas mein kirtan yatra aur satsang karne ke liye aakhir kheench hee liya.


Ab kal dopahar (16 December) ko Dewas mein satsang ka ek satr de kar, Kaytha ke liye rawana honge.

3 comments:

  1. Sai g... aap bahut dyalu h, jo bhakto ki pukaar sun kar wha pahuch jatey h... malum nahi meri baari kab ayegi .... intzaar mai...
    Bahadurgarh (Haryana) 09034922311

    ReplyDelete
  2. sadguru shrinarayan prem sai ke chrno me koti-koti sastang dandwat prnam.

    jai sadguru dev. jab tak aap jaise sadguru bharat me hai, our aap ki kripa hai aanand hi aanand hai gurudev.

    ReplyDelete
  3. This is all bapuji's kripa that he has produced such a great son and narayan sai ji truly following bapuji teachings and spreading all over

    ReplyDelete