Saturday, December 10, 2011

Khagras Chandra Grahan, 11 December 2011

Kal 10 December ko Margshirsh Poornima thi. Yeh din Bhagwan Dattatreya ka avtaran divas bhi hai, iss liye isko Datta Jayanti ke naam se bhi jaana jaata hai. Per iss varsh (2011) ki Datta Jayanti aur bhi vishesh thi, kyunki kal Khagras Chandra Grahan yaani Total Lunar Eclipse tha. Shaam 6.15 baje se raat 9.48 tak Chandra Grahan lagaa tha. Yeh iss varsh ka teesra chandra grahan tha. Poore Bharat mein yeh Chandra Grahan dikha. Africa, Europe, Middle East Asia, Australia, North America, Greenland, East Canada, Pacific aur Arctic oceans mein bhi logon ne Chandra Grahan dekha.

Subah 9.15 baje se hee sutak lag gaya tha. Iss samay ke baad bhojan karna varjit tha. Humare shaastron mein Chandra Grahan ke din upvaas aur snan ki khuub mahima hai. Upvaas grahan lagne ke 9 ghante poorv hee prarambh ho jaata hai.Grahan ke shuru hone aur samaapti per snan karne se vishesh phal ki praapti hoti hai.Yehi kaaran hai ki Haridwar, Prayag jaise tirth sthalon per grahan ke samay shraddhaluon ki bheedh lagi rehti hai. Grahan ke yeh 3.30 ghante maano saadhna ke path per chal rahe saadhakon ke liye jaise ek golden opportunity the. Iss samay kiya gaya jap dhyaan, lakh guna phal deta hai. Omkar ki toh vishesh hee mahima hai. Ashtakshara Mantra aur Mrityunjaya Mantra japne se shanti ki praapti, swasthya mein vriddhi, aur prema bhakti ke maarg mein unnati pradaan hoti hai.
Margshirsh poornima ka shubh divas aur khagras chandra grahan jaisa anupam mauka ek saath aana bahut durlabh baat hai. Kal ke din ka laabh yahan Indore ke bhakton ne bhi liya. Poornima darshan ke saath saath vrat, upvaas, jap dhyaan ka ek anupam mahaul bann gaya tha. Raat 9.48 tak nirantar jap chalta raha. Uske baad mein, sabne snan karke bhojan prasad praapti karke ratri ka vishraam kiya.

1 comment:

  1. Hari Om Prabhu,

    Drashan Labh Huaa. Delhi Ashram 14.12 2011 at 3.05 p.m

    ReplyDelete