Thursday, December 29, 2011

Sagwada ka dhyan yog shivir

Sagwada ka dhyan yog shivir picchle saalon ke shivir se aur bhi zaada safalta poorvak aayojit hua. Bhakton ki bheed ka to anumaan lagaana ab maano asambhav hee hai. Teen din dhyan ki gehraayiyon mein kaise beete pata nahi chala. Aaj aakhri divas tha; aaj do mahatvapoorna kaam hue. Pehla, January 2012 ki Vishvguru Ojaswi ka vimochan (inauguration) aur doosra, 2500 se bhi zaada Ojaswi Calendars ka distribution. Vishvguru Ojaswi ka January edition sabko bahut pasand aaya. Mere vimochan karne ke baad stall se bahut bhakton ne ek ek prati khareedi. Saadhakon ka sewa ke prati utsah tab dekhne ko mila jab unhone Sagwada ke aas paas ke gaon - Bada Jeevda, Chhota Jeevda, Vadarved, aur Kanpur mein ghar ghar jaakar free distribution kiya.
Sagwada mein mera bachpan se aana jaana hai. Yahan ke bhakton ke sankalp mujhe aksar yahan kheench laate hain. Kitne hee bhakton ko kitne saalon se yeh aas thi ki mere charan unke ghar pade. Issliye poornahuti ke baad mere sewak mujhe Sagwada ke 8 bhakton ke ghar le gaye. Ek ek bhakt ke ghar mein mera bhavya swagat hua. Sabhi bhakt mujhe apne ghar mein aaye dekh bhaav vibhor ho gaye. Ashtsatvik bhaavon ki shraddhanjali mujhe arpit karne lage. Ek bhakt ne mujhe bataya ki woh aur unka parivar meri picchle 25 saal se raah dekh rahe the. Unka mere prati prem shabdon ki seema se baahar hai. Raat 11 baje tak yahi sab chalta raha. Fir jab 11 baje ke baad apne utaare per jaane ke liye sadak per gaadi mein aaye, tab ek anupam drishya dikha. Poore Sagwada ke raaston per bhakt aarti le kar, diye jalaa kar khade hue the. Har gali, har raaste per, bacche, buudhe, naujavan, behne, aarti kar rahe the. Sagwada ke bhakton ka mere hriday mein ek khaas hee sthan hai.

1 comment:

  1. main bas kisee aise vyakti ko tvarit salaah dena chaahata hoon jisamen do. agaabazaara se sampark karane ke lie usake rishte mein kathinaee ho rahee hai kyonki vah akela hai jo 48 ghante kee samay seema ke bheetar toote rishte ya toote vivaah ko vaapas laane mein saksham hai apanee aadhyaatmik shaktiyon ke saath. aap apane eemel ke maadhyam se ( agbazara@gmail.com ) par apane eemel ke maadhyam se likhakar do. agaabazaara se sampark kar sakate hain, jeevan kee kisee bhee sthiti mein aapako apana svayan ka pata chalata hai.

    ReplyDelete