Purv janam ke sanskaro ke karan bachpan se hi mann ka ekant ke liye adhik khinchav raha hai, bheed se pare - jahan na mai kisi ko dekh saku , na koi muzhe .... aise ekant me yatha sambhav samay nikal ke jata rahta tha. Pujya Gurudev ki seva ke dauran bhi ye khinchav bana rahta tha. Kabhi Ashram ke pichhe Sabarmati nadi ke kinare, to kabhi Vijaynagar ke junglo me ; to kabhi Himmatnagar ke ekant nirjan sthano me chala jata tha. Yahi khinchav muzhe Pedhmala- Gambhoi le aaya... ' Muzhe meri masti kahan leke aayi jahan mere apne kahin kuchh nahi hai '.
Lekin yadi prakriti is sharir se kuchh aur karya karvana chahe to muzhe koi aagrah bhi nahi hai , '' Ab soup diya is jivan ka sab bhar tumhare hatho me... ''
Yahan bhi ekantvaas ki ichha se hi aana hua tha lekin na jane kahan se logo ko mere aane ki khabar pahoch gayi aur subah se hi ve bahar aake baith gaye the. Lagbhag 12 baje bahar sabke beech satsang hua.
Na koi aagrah - na duraagrah , na bheed se dikkat - na ekant se lagaav ,
Har dam khushi, har haal khushi , har waqt amiri hai baba !
Jab aashiq mast fakir hua , fir kya dilgiri hai baba !!!
kisi ne phool se kahake mujko bata tu, aaj kyu khilta raha? tune to di khushbu sabko, tujko kya milta raha? phool ne muskura kar kaha, abhi tu nadan he, jivan ke sachche pyar se tu anjan he, dene ke badle lena wo to vyapar he, jo de kar bhi kuchha na mange wo hi sachcha pyar he.... hamare sai ji bhi isi phool ka swarup he jo bhakto ki joliya bharte rahte he badle me kuchha nahi chahte. ham hamare shraddha suman sai ji ke charno me samrpit karte he.....
ReplyDeletesansar me koi aisa sthan nahi he jo bhagwan ko apne bhitar le le, aisa koi samay nahi he jo bhagwan ko apne bhitar le le, aisa koi vyakti nahi he jo bhagwan ko lubha le. lekin bhagwan ka hriday itna komal he ki sthan me bhi sama jate he, kal me bhi sama jate he,vyakti ko bhi mil jate he,yah bhagwat kripa he. apne ashrit ka kam bana dena yah bhagwan ka swabhav he... is ka anubhav sai bhakto se jyada kaun kar sakta he?.... saiji ki saralta,udarta aur prem bhari chitvan sabko akarshit karti rahti he... jo ek bar bhi aa jata he wo unke kripa prasad se achhuta nahi rahe sakta...
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteprem ke adhin ho jana ye bhagwad dharm he, premi ke samne mukt bhagwan bhi baddha ho jata he, virakt bhagwan bhi ragi ho jata he,abhogta bhagwan bhi bhogta ban jata he,akarta bhi karta ho jata he, bhagwan usko kahte he jo prem ke vash hove. bhagwan dar jaye ki hamari badnmi hogi ya soche ki ham nitya trupt he, nityanand me mast he, hame gopio ke sath nrutya karne ki kya avshakta?... to bhagwan me asangta to rahi, vairagya to raha parantu abhiman ho gaya... isi liye hamare sai prem sai he... jo bhagto ke prem ke aage apni bhagwatta ko kinare karke bhagt vatsalta ko sadaye barsate rahte he..... jay ho bhagt vatsal bhagwan ki.....
ReplyDeleteहे भगवन ! आपके श्रीचरणों में दंडवत प्रणाम !
ReplyDeleteयह लिखते हुए ही आँखों में प्रेम के आंसू और शरीर में विशेष रोमांच हो रहा है . जावरा (रतलाम) में कुछ साल पहले हुए आपश्री के सत्संग के बाद यह पहला अवसर है आपसे मुखातिब होने का पर न जाने क्यों मुझे तो ऐसा ही लग रहा है कि आप प्रत्यक्ष है . वैसे भी आप स्थूल रूप से भले ही दूर प्रतीत होते है किन्तु सूक्ष्म रूप से हमारे अन्तःस्थल में आप सदा सर्वदा प्रत्यक्ष ही रहते है . हे प्रभो वर्ष २००२ में पंचेढ़ आश्रम में आपके शिवरूप में प्रत्यक्ष दर्शन कि विरासत मेरे इस जीवन कि अमूल्य उपलब्धि है . हे प्रभु अब ऐसी दया करदो कि मेरी कोई चाह न हो यह चाह भी उत्पन्न न हो ..........