Monday, January 10, 2011

Aisa anand jo kabhi chakha nahi...

Aaj subah Meghwaad Ashram me vishesh Dhyan-Yog satra ka aayojan tha. Maine socha tha ki kuchh hi pakke log vahan pahoch sakenge par Silvassa ki aadhyatmikta ki pyaas ko dekh ke hridya prafullit ho gaya. Achha jansamuday ekatrit ho gaya tha. Khub vilakshan , khub advitya anand ka sabne rasapan kiya. Aaj yahan bahot se prayogo ka mishran hua - Aasan, pranayam, Meditation, Hasya chikitsa, Nritya chikitsa - kafi kriyayo dwara swasth aur nishchint rahne ki yuktiyaan logo ko maine di. Vatavaran aisa ho gaya tha mano kisi Rishi Ashram me jigyasu punah Bhartiya Sanskriti - Bhartiya Yogvidya ka anusaran kar rahe hain ! Satr ki purnahuti 'Yoga with dance' se hui jisme sabhi sudh-budh kho ke matwale se zhumne lage.... Bahoto ne bataya ki aisa anand jivan me unhone kabhi nahi chakha hai to koi bola ki unhone to kalpana bhi nahi ki thi ki aisa anand kahin ho bhi sakta hai !

Satr purn hone pe Ek Mahatma mere darshan hetu padhare, unhone bataya ki kafi samay se unki muzhe milne ki ichha thi jo aaj puri hui !

Bhojan ke baad Aamti jana hua jahan chhote chhote masum bachcho se sneh-milan hua, unke sath saral bhajano ka anand liya. Unki bholi meethi aavaz me bhajan sun-na aur unhe bhajan ke shabdo pe nritya karane me adbhut anand aaya - Bachcho ki nirdoshta - saralta sabhi ko apna bana leti hai, yadi isi umr se unhe sahi disha mil jae to ve bahot aage ja sakte hain aur har karya me safal ho sakte hain!

Abhi Aamti se dudhni ke raste pe gadi chal rahi hai - Prakriti ki divyta uske rachyita ki yaad dilati hai - tede medhe raste - lambe lambe ghane vriksh- shant ramneek vatavaran baar baar yahan kheench layega , aisa muzhe lagta hai !

No comments:

Post a Comment