Thursday, January 6, 2011

Thermal me Satsang Sampann

Aaj Thermal ka dusra din tha. Subah Subah Dhyan yog satra ka aayojan tha jisme sabhi jigyasu sadhko ne dhyan ki gehraiyyo ka adbhut anand uthaya...Us anand ke aage sansar ke sab sukh-uplabhdhiyaan fike lagne lagte hain ! Keval Thermal ya Bharat nahi - vishva bhar ke log is anand ke adhikari hain - sabhi is anand ka anubhav karein - aisi hardik ichha hai.
Shashi ne bahot sundar prashan puchha hai - Dekho, Guru mane kya ? Guru mane bada - to Guru darshan matlab - Aapka darshan bada ho, vishal ho ; Aapke thoughts - aapki drishti vishal ho ! Itna vishal ki Ishwar ke darshan ke lie mandir ki bhi aavashakyta na rahe ! Jaisa Guru ka darshan hai vaisa hi aapka bhi ho jae ! Aap bhi unki tarah aatmakar - brahmakar vriti me rahne lagein - yahi Guru Darshan ka sahi arth hai.Lekin iske lie bhi bahar ke darshan ki jarurat to hai hi.Agar bahar ke darshan baar baar na kar paein to unke vichar - unka updesh unke sahitya - cd - mp3 dwara baar baar pad-sunke uska raspaan karna chahie.
Shaam ko lagbhag 5 baje Thermal se nikla aur Baroda ke premi bhakto ko darshan - prasad dete hue abhi Surat ( Kamrej) pahocha hu !

Aapka Narayan

No comments:

Post a Comment