Saturday, January 8, 2011

Hari katha hi katha...

Silvassa me aaj dusra din tha. Subah dhyan me vilakshan anand aaya. Hari charcha se hi din ka prarambh hua. Hari Katha hi katha, baki sab jag ki vyatha !
Subah lagbhag 10 baje Pandal me Satsang prarambh hua, Shiv kirtan me sabhi tal-leen ho zhumne lage ! 'Vichar kranti Abhiyan' me kafi shradhulu logo ne vishwaguru ojaswi bantne ka sankalp liya.

Kuchh premi sadhko ke snehpurn aagrah ke karan unke ghar jana swikar karna pada. Maine unhe kaha ki Mai aapke ghar ek hi shart pe aaunga , yadi aap bhi mere ghar aao jahan mai aapko le jana chahta hu to mai bhi aapke ghar aau! Unhone saharsh swikar kiya, Ishwar unhe unka sankalp pura karne ki shakti de aur ve shighr apne vastvik ghar me pahoch jaein - yahi shubhkamna !

1 comment:

  1. Pranam Saiji,

    Virar mein janamotsav par adbhut anand ki anubhuti hui.Apke sannidhye mein har pal kuch seekhne ko milta hai.Apka saral swabhav aur jeevan shaili bahut prernadayak hai. Jab se Delhi aaya hu apke saath bitaye hue vishesh palo ko yaad karta hu.
    Hume apka saanidhya nirantar milta rahe, aise apke charno mein prarthna hai.

    Sadar naman
    Apka Shashi, Delhi

    ReplyDelete