Aaj subah dudhni,jo silvassa se 36 k.m. hai, suryodayse purv hi ankh khuli, aur vishal lake
par najar gai,dhyan me baitha aur 7 bje boat me baith kar samne paar gaye. Mere sath aur do boats bhi thi,pollution free us anandmay shant vatavaran me pranayam kiye, aur ghumna hua.
Surya snan krke 10 bje tak aasan aur surya namskar kiye, jise mere sath lagbhag 20 logo ne dekha.
Dharampur se aye hue sadhak,vithalbhai...... , amti se aye hirabhai sarpanch( jinhone bahot achha Gurumandir banaya hai.....loksewa ke bahut achhe karya kiye hain) - unhone darshan-swagat kiya.
vithalbhai ne 2-3 aur logose parichay karvaya jo 140 balsanskar khol chuke hain,
Dharampur,Kaprada aadi kshetro me, unki sewa sarahniya hai..
Maine unko jungle me chalnewale b.s.k.me bachoko ayurvedic aushdhiyo ka gyan deneka suzav diya.aur shikshako ki 1 dinki shivir rakhneka bhi suzav diya,ve bahut khush the.
Bhakto ne ek house boat ki vyavastha ki jiski chhat pe 35-40 log baithe, aur 1 hr. usme ghumna aur satsang hua.
Baadme silvassa hote hue virarke liye prasthan kiya,silvassa ke border tak samiti ke 8-9 log muzhe chhodne aae jinme the Sharmaji,Rathod-Ex-P.I. aadi.Gili aankho se unhone muzhe vidai di. 7.13pm tak Virar ashram pahuche.
aur ab bhojan karne baith raha hu,,,aap anand me honge....
kal 12 Jan. ko budhwar hai aur ashtmi bhi hai... jap,dhyan ka vishesh mahatv hai...
avashya labh uthayein...
aajka din bahot anandme beeta, sabka bahut sneh, prem mila...
Aapka Narayan.
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteDudhni...jis jagah pe saiji ke sath mujhe dusri baar aavsar mila...saiji ki sath navka vihar bhi ki aur satsang bhi sunne ko mila...aisa lag raha tha jaise saiji ko bas sunnte he jaye....saiji aapke sath jivan jaise vardan saa lagta hai...mai apne aap ko bohot bhagya shali manti hun ki mujhe aapke darshan satsang ka labh mila..aur ummid karti hun aapke darshan aur satsang ka labh hame jald he mile....
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete