Saturday, June 30, 2012

Guru Se Gaddari, Apne Vinash Ki Tayari


Do din pehle Delhi se Bhopal ki flight mein aate samay India Today ke July ank ke madhya prishthon per nazar gayi. Prishth kramank 26 aur 27 per ek ascharya janak khabar padh kar bahut khed hua. Khabar thi bhavatit dhyan guru Maharishi Mahesh Yogi ki sampatti evam virasat per unke bhakto ke beech chal rahe jhagdon aur vivaadon ki. Maharishi ki 2008 mein mrityu ke baad unki 60,000 crore ki vishal sampatti ko apne niji swarth ke liye upyog mein laaney ke prayas mein jute unke bhakton ne apne guru se gaddari aur gurudroh karne ka ek ghinauna pradarshan kiya hai. Lekh ke anusar, Maharishi ki poore desh bhar mein 12,000 ekad se zaada zameen hai aur aneko shiksha sansthan va vidhyapeeth hain. Koi guru apni poorna aayu daivi karya aur loksangrah mein sanlagna reh kar iss asha ke saath sansthaon ki sthapna karke jaate hain ki unke sab shishya unke daivi karyon ko khoob jawabdari aur tatparta ke saath aage badhaayenge, unke gyan ki khushbu poore vishv mein failayenge aur sabko sukh, shanty aur manav jagruti ka sandesh pahaunchayenge, apne guru ki chhavi ko, unke gyan ke dwara, jeevit rakhenge. Per jab shishyon ka uddeshya guru ke gyan ko failaane ki jagah per guru ki sampatti ko apne swarth hetu upyog karna, bechna va uska vyavsaik istemal karna ho, to iss se zaada peedha dene wala Vishay aur kya hoga? Maharishi ji ke inhi kuch bhakto ne apne Guru ki atma ke sath sath sabhi jeevit dharm guruon aur santo ke hriday ko thes pahauchane ka ninadniye karya kiya hai. Maharishi ji ne apni sansthaye keval dharmic, shaikshanik aur jankalyan ke uddeshyon se banayi thi, per inn tamam sansthaon, ashramo aur dharmic sthalo ko apne aarthik fayade ke liye aur apna niji swarth ke liye upyog mein lana, na hee keval apne guru se vishwasghaat hai, parantu unki daivi shakti se prerna praapt karke unnat hone wali aage ki peedhiyon ke sath bhi anyaay hai. Lekh dwara yeh bhi gyaat hua ki ab unke ashram ka sanchalan bhi theek se nahi kiya jaa raha hai, sanstha ke imarate jeerna-sheerna halat mein hain, bhavatit dhyan yoga kakshayein bhi durlabh hain kyunki bahut kum log shaamil ho paate hain, aane wale bhakton ki bheed bhi kum rehti hai aur shraddhaluon ka jhukaw aur utsah bhi durbal hota jaa raha hai. Jo log wahan reh rahe hain unhe kisi tarah ki bunyadi suvidhayein bhi uplabdh nahi hain; ascharya hai, sachai se jeene walon ko itna sangharsh aur kathinayi…aur sanstha ko bechne wale bejhijhak seena taan kar khushi se kukarm karne walo ko koi bhay nahi, koi glani nahi, koi sharm nai…dharma ka paisa nasht karna matlab apna satyanash karna, yeh bahut bada apraadh hai. Mere vichaar se samasta Hindu sangathano ko iss vishay mein apni aawaz uthani chaahiye, hume avashya praytna karna hoga ki yeh sansthan jiss udeshya ke liye bane hain unka uttam upyog ho taki ve samaj ki adhyatmic va naitik unnati mein apna mahtvapoorna yogdaan de sakey. 

No comments:

Post a Comment