Thursday, July 5, 2012

Lakshya chaahe God ho ya God Particle...manushya ke liye sab sambhav hai

4 July ko Udaipur ke Havala ashram mein bhakton ko gurupurnima darshan va satsang ka labh mila. Sabhi ne prem bhav se guru pujan kiya aur unki pavan shraddha dekh kar mere dil se unki adhyatmic unnati ke liye ashirvaad chhalke bina nai rahe. sham ko 3 baje Air India ki flight se hum Mumbai ke liye nikle. Mumbai pahaunch kar pehle Goregaon ashram mein bhakto ke sailab ko gurupurnima nimmit darshan de kar, fir Virar ashram pahaunche jahan kal se 3 din tak gurupunam darshan va satsang karyakram hoga. Iss safar ke dauran Higgs Boson yani God Particle ki khoj ke baare padha. 113 desho ke hazaron vaigyaniko ne mil kar brahmand ke nirman ka sabse ahem aur mahtvaporna ati-sukshma tatva ke vishay mein safal khoj ki hai. Iss sukshm tatv ko Higgs Boson ya God Particle ka naam diya hai. Khoj ke anusar yeh kan barhmand ki har vastu mein dravyaman paida karne wala tatv hai, aur isi ke karan se parmanu, anu, tatva va anya paddartha bane hain. Iski khoj ke dwara ab vaigynaik brahmand ki utpatti se jude rahasyo ki bhi jaankari grahan kar sakenge. Vigyan jagat ki yeh ek mahatvpoorna, etihaasik khoj hai. Hum vigyaniko ke purusharth ki sarahna karte hain, unhe sadhuvaad dete hain. Per yeh baat bhi dhyan dene yogya hai ki humari Sanatan Sanskriti ke rishi muniyo, sadhu santo ne to pracheen kaal se hee dhyan ki gehrayiyo mein jaa kar Brahmand ke rahasyo ko khoj nikala tha. Adhunik samay ki iss vaigyanik khoj mein to kareeb 10 billion dollar ka kharcha hua aur kitne saare vaigyaniko ko ek saath kitne varsho tak prayatna karna padha, per humare desh ke rishi muniyo ne toh bina kisi bahari vastu, rupay, paise ke, keval ekant mein sadguru ke margdarshan ke dwara hee brahmand ke nirman aur anya rahasyo ko jaan liya tha. Swayam yeh divya gyan praapt karke va ishwariye shanti ka anubhav karke, iss divya gyan, prem aur madhurya ko sahajta se hee jan-jan mein lutaya. Sant Narsinh Mehta, ne toh "akhil brahmanda ma ek tu shree hari..." apne anubhav-smapanna bhajan dwara poore brahmanda mein ishwar ki satta ka praman kitni sadiyo purva hee de diya tha. Bharat ke santo ke anubhav ki shrinkhala ko kayam rakhte hue Bhartiye Bhautikwad Satyendranath Bose ne to 1924 mein hee God Particle jaise tatv ki upastithi ki ghoshna kar di thi. Yeh tamam god-particle poject Satyendranath ki shodh-kriya per hee aadharit hai. 
Har vyakti mein ishwariya shakti, buddhi aur vivek ka sampoorna khazana chhupa hai. Usko viksit karke, apna dhyan kendrit karke jiss bhi lakshay ki prapti mein lagaya jaye, uss lakshay ki prapti avashya hoti hai. Jiss prakar inn vaigyaniko ne apna poorna dhyan aur urja God Particle ki khoj mein laga diya...aur itne varsho tak himmat haare bina uss tatv ki khoj mein praytnarat rahe, to aakhir safalta mil hi gayi... ussi prakar manushya himmat haare bina agar adhyatmic marg mein agrasar rahe, ishwar ki khoj mein utsahpoorvak praytnarat rahe, manushya apne bheetar hee dhyan kendrit karke brahmand ki utpatti se jude rahasyo ko jaan sakta hai...sheeghra ishwar praapti kar sakta hai. nothing is impossible for humans, they can achieve anything they fix their focus and dedication on....sadguru ka margdarshan aur apna purusharth, kaam bane bina rahega nahi. om.

1 comment:

  1. koshish krne wale ki kabhi haar nhi hoti......................
    jay hoooooooooooooooooooo saijii .hmari bhartiy saskriti ke divy gyan ko koti koti pranam..
    hari ommm

    ReplyDelete