Wednesday, July 25, 2012

Kaveri Ma ke sameep...

Kaveri nadi ke kinare, Mysore ki Balmuri Ganpati Mandir ke sameep, prakriti apne sarvottam swaroop mein prakat hokar humare hriday ke kone kone mein apna anand bikher rahi hai. Sabhi ko pulkit kar rahi hai. Kal shaam ko kareeb poore ek varsh baad humara Mysore mein punah ana hua. yahan ka sadhnamay vatavaran, parmatma ke sath tal mel jodne mein bahut sahoyogi siddh hota hai. Kaveri nadi ki lehre maano ucchal ucchal kar humare charan chhune ke prayas mein hai, inki sheetalta ne to hume apne vash hi kar liya hai. Yahan per satsang dhyan karte samay sabhi sadhako ko unchi anubhutiyan hui...
Kaveri Ma ko bhi humare saanidhya se kitni prassanta hoti hai...isska pratyaksh anubhav hume piichhle varsh hi ho gaya tha. Piicchle varsh jab hum Kaveri nadi ke kinare brahman karne aaye the, tab ek chandi ki angoothi humare charno mein achanak prakat ho gayi thi...wo kisi mahila ki khoyi hui angoothi nahi thi, parantu Kaveri Ma ki humare charno mein ek anupam, divya bhent thi...


2 comments:

  1. hari om.tirth to lakho hote h parntu tirtho ko bhi pawn karne vale ase santo ke darshan aur sanidhay k liye to tirth bhi sada utsuk rahte h.apke shree charno me hamara koti-koti parnam.jay ho prabhu ji ki ..

    ReplyDelete