Sunday, September 2, 2012

Aadhunik Yug Ki Ek Chhoti si Gaadi Deti Paramatma Anubhuti aur Jivan Mukti ka Vishal Sandesh...



30 August ki raat ko Jaipur ka teen divasiye karyakram sampann karke Delhi aate hue, flight mein magazine per Segway i2 ka advertisement padha. Humare Delhi ke bhakt Vikas Saxena ko iss chhoti gaadi ki jaankari lene ke liye humne kaha. Jaankari prapt karke Vikas ne hume bataaya ki i2 two-wheeled, self-balancing, battery operated vehicle hai...jo Europe mein kaafi popular hai. India mein Delhi ke India Gate per  Bird Group naam ki ek travel company iska trial run aur ride karwati hai interested clients ko. Gaadi sadak per kum space leti hai...jaisa ki aap photo mein dekh rahe hain keval 2 pahiye hi hain...diesel ya petrol ki bhi avashyakta nahi hai, eco-friendly hai, traffic wali sadko ke liye vardaan hai, aur chalane mein risky bhi nahi hai. Yeh sab jaan ne ke baad humne India Gate per subah 7.15 baje pahaunch kar trial lene ka nirnay kiya. Bird group ne hume 45 minute ka trial diya. Trial mein humare saath unke 2 instructors - Amit aur Khushi, aur humare 2 sewak - Vikas aur Raja bhi the. Hume trial mein khub atma vishwas ke saath sabse aage ek dum smoothly ride karte dekh, travel instructor Khushi ne humare sewak Vikas se poochha ki "Swami ji, pehle kitni baar i2 Segway chalaa chuke hain?" Vikas ne kaha "pehli baar aaj hi chalaa rahe hain." Dono travel instructors aashcharya chakit ho kar bole ki aisa pehli baar dekha kisi ko itne confidence aur speed se chalate hue. 1st attempt mein koi bhi itna perfect nahi chalaa sakta!

Bahut anand ka anubhav hua i2 ko chalate hue...sensors se chalne wali gaadi hai, isliye driving lagbhag effortless lagi. Aaj Panipat mein karyakram ke pehle hum bhakto ke saath i2 pe nikal padhe. Panipat ki sabhi sadako per bhraman issi pe kiya. Bhakto ke bhi anand ka thikana kahaan tha. Aaj pandal mein bhi issi per sawaar hokar sabko darshan de kar tript kiya.

Aaj pandal mein bhakto ne adhyatmikta aur aadhunikta ka ek vichtra mel dekha. Ek kranti ka anubhav hua...aisa laga maano yeh gaadi jivan-mukti ka sandesh suna rahi hai...


Gaadi ke do pahiye jaise bhakti ma ke do bete,
Gyan aur Vairagya ko saath jab hum lete,
Guru gyan ke sensor se hokar sadhna path per agrasar,
Adhyatmic tej aur oj se karke sabhi dukho ko be-asar,
Aao aise saadhan ka kare anusaran,
Bann jaaye jivan ka lakshya bass sewa aur sumiran.


Tum mukt ghoom sakte ho, purn atma vishwas se...
Anand ki anubhuti avashya hoti hai paramatma prapti ki sachi pyas se...



Om.

1 comment:

  1. bahut hi achhi lagi

    Gaadi ke do pahiye jaise bhakti ma ke do bete,
    Gyan aur Vairagya ko saath jab hum lete,
    Guru gyan ke sensor se hokar sadhna path per agrasar,
    Adhyatmic tej aur oj se karke sabhi dukho ko be-asar,
    Aao aise saadhan ka kare anusaran,
    Bann jaaye jivan ka lakshya bass sewa aur sumiran.
    hm bhi bs apne jeewan ko prabhu ke marg pe bda sake yhi ashirwad chahte hai jayy hooo saijiiiiii

    ReplyDelete