Wednesday, September 26, 2012

Is Varsh ki Radhashtami Barsana Mein

Vrindavan aur Radha ji ke gaon Barsana mein Radhashtami ka utsav pramukh, paramparagat tareeke se khub harsh ullas se manya jaata hai. To is bar Radhashtami (23 Sep) ke uplaksh mein Shri dham Vrindavan mein jana hua. Haal hi mein nirmanit hue Yamuna Expressway se hume humare Greater Noida ke niwas sthan se Barsana pohonchne mein keval dedh ghanta laga. Radhashtami ka utsav aur bhakto ka umda sailaab... nazara dekhte hi banta tha...poora Barsana aur Vrindavan manmohak sajawat, saaj shringaar, aur 'Radhe-Radhe' ki vilakshan goonj se mahotsav mein dooba hua tha. Sache prem ki khoj mein rehne walo ke liye yeh drishya dekhne yogya tha. Yehi woh bhoomi hai jis pe 5 hazaar varsho pehle Radha rani aur anya gopiyan apne Premaspad Bhagwan Shri Krishna ki bansi pe hosh gawa ke naachi thi, bhagwat prem ke atirikt kisi vastu, vishay ka gyat nahi tha unhe...unki charan raj aaj sabhi apne mastak per dhaaran kar rahe the...unki jai jai kaar kar rahe the. Bass prem hi to kiya tha Radha ne Shri Krishna se...shuddh, niswarth, gehentam prem. Jiv ishwar ko jab iss bhav se prem karta hai to wo pujniye ho jaata hai.

Prembhoomi Vrindavan mein ishwariye prem ke dariya mein ramne wale kayi unchi avastha ko prapt hue sant rehte hain. Is bar aise hi ek divya sant Shri Vinod Baba se bhent hui. Vinod Baba Radhashtami pe nirjala upvas karke ekant mein apni kuttiya mein hi the. Unki kuttiya ke bahar darshan hetu dur dur se aaye bhakto ki bheed thi...per subah se kisiko darshano ka labh nai mil saka tha. Jaise hi unke pas humare aagman ki khabar pohonchi...ve prassanchit hokar apna aasan chhodkar kuttiya ke bahar humse milne khud chalkar aaye....hum to swayam andar ja hi rahe the unse milne, per wo pehle hi humara swagat karne pohonch gaye. Fir to anupam milan hua, divya milan hua, prem ras ka aadan pradaan hua....

Humse milkar unke anand ka thikana nahi raha, hume bole "aaj yahin ruk jayiye, kal Radha Rani ka janmotsav sath manayenge..." Per kuch zaruri karyvash humko Greater Noida lautna tha, to unke yahan agli bar rukne ka vachan de kar unse vida li.
Vinod Baba ke hi bhakto mein se ek German mahila, jinka naam Tulsi tha, humare darshan prapt karke gad gad ho gayi. Tulsi ne apne adhyatmic anubhav ko humare samne vyakt kiya aur boli, "main kuch samay se yehin Vrindavan mein reh rahi hu. Yahan ekantvas mein jo sukh mila hai, wo kahin bhi nahi mila." Bahut agrah aur prarthna karke Tulsi hume apni kuttiya mein le gayi...unki kuttiya aisi thi mano chhota Vrindavan...sab jagah Shri Krishna, Radha ki shringar jadit moortiyan....jinki pujya archana mein vey pura din magna rehti thi.
Sach hi to hai...keval jo kshan jiv ishwar ke prem mein, sumiran mein vyateet karta hai, bass wo hi sarthak hain, wo hi sulabh hain....

Bhagwan kehte hain...ki vey gaaye aur brahamano ki raksha ke liye hi avatar lete hain (namo brahamanyedevaye gobrahmanhitaye cha. Jagadwitaye krishnaye govindaye namo namah.). Ramesh Baba naam ke ek loksangrah mein rat sant, goraksha aur gosewa mein apne jivan ko samarpit karte hue Vrindavan mein ek vishal Goshala chala rahe hain va swayam uska sanchalan bhi kar rahe hain...unki goshala mein 21000 gaaye hain. Ramesh baba ki sewa ki mahima ko sunne ne ke baad unse milna aavashyak lagaa. Unke vishal goshala mein pohonche, unse bhent ki aur kuch deir unke saath satsang, bhagwat charcha ki. Humne unse apne hriday ke bhav vyakt karte hue kaha ki hum unke gosewa ke sarvottam prayatn se aur unke goraksha hetu gatividhyon se unka khuub samman karte hain, unhone humare hriday ko jeet liya hai. Unki humse yehi prarthna thi ki hum unke yahan aate rahen...humare sath vyateet kiye pal unko ati shubh aur mangalkari sanket dene lage...
Iske paschat Ramesh Baba ke mahila ashram mein jana hua, jaahan raas khela jaata hai, jiska videsho mein seedha prasaran bhi log ruchi se dekhte hain. Sabhi beheno ko gopi bhaav-roop mein Shri Krishna Bhagwan ke prem ras mein, bhagwan ke kirtan bhajano pe nirantar ghoomte dekha....

Prem ki saakshat pratimurti Shri Radha ke janmotsav pe humari yehi mangalkamna rahi...ki Radha jaisa divya prem sabhi ko prapt ho...sabhi uss prem ke adhikari hain, wo manav maatr ki darohar hai...

Ab vilamb karne se kya fayada....aao uss prem sindhu mein gotaa maar hi lo....






1 comment:

  1. main bas kisee aise vyakti ko tvarit salaah dena chaahata hoon jisamen do. agaabazaara se sampark karane ke lie usake rishte mein kathinaee ho rahee hai kyonki vah akela hai jo 48 ghante kee samay seema ke bheetar toote rishte ya toote vivaah ko vaapas laane mein saksham hai apanee aadhyaatmik shaktiyon ke saath. aap apane eemel ke maadhyam se ( agbazamain bas kisee aise vyakti ko tvarit salaah dena chaahata hoon jisamen do. agaabazaara se sampark karane ke lie usake rishte mein kathinaee ho rahee hai kyonki vah akela hai jo 48 ghante kee samay seema ke bheetar toote rishte ya toote vivaah ko vaapas laane mein saksham hai apanee aadhyaatmik shaktiyon ke saath. aap apane eemel ke maadhyam se ( agbazara@gmail.com ) par apane eemel ke maadhyam se likhakar do. agaabazaara se sampark kar sakate hain, jeevan kee kisee bhee sthiti mein aapako apana svayan ka pata chalata hai.ra@gmail.com ) par apane eemel ke maadhyam se likhakar do. agaabazaara se sampark kar sakate hain, jeevan kee kisee bhee sthiti mein aapako apana svayan ka pata chalata hai.

    ReplyDelete