Friday, September 28, 2012

Dhanya hai Bharat ki Bhoomi

Poore Bharat mein kitne siddh mahatma, brahm-pragya, unchi awastha ko prapt kiye yogi, sant aur rishi hain, iska hisab dena mushkil hai. kitne to aise siddh awastha wale mahapurush hain, jo ekant priye hain, paramanand ki masti mein itne leen aur tript hain ki na deh ka bhaan hai, na kisi sansarik vastu, vyakti ki iccha. Na kissi se bolna hai, na kissi se kuch chaahna...zada kisi se sampark hi nahi rakhte. Aisi jagah pe rehte hain, jahan koi na pehchan sake. Bahut durlabh avsar per kisi kisi ko apne asli swarup ka parichay dete hain... jo sampark mein aa jaaye uska mangal, param kalyan kar dete hain.
Aise hi ek sant ho gaye Nanga Baba. Unka kuch samay pehle hi mahaprayan hua. Greater Noida ke humare bhakt Yoginder aur Sukhbir Bhati ne hume unke bare mein bataya....unki mahima ka varnan sunke, hume unke Greater Noida stith ashram mein jaane ki utkantha hui. Wahan ja kar unke sewak sadhako se unke dwara hue divya chamatkaro ke baare mein pata chala. Aneko bhakto ke anek anubhav the...ek mahila ne bataya ki unke bete ko jail ho gayi thi, Nanga Baba ke aage apna dukh sunaya...Sunday ka din tha, Nanga Baba ke sankalp se Sunday ko jab koi sunwai nahi hoti, aise din per us mahila ke bete ki jail ki saza maaf kar di gayi aur usko chhod diya gaya. Dusre ek sadhak ne bataya kaise ek baar jab sookha padha tha, to sabhi bhakto ne Baba se prarthna ki, Baba apne aasan per baithe hue bole ki "ab to hum yahan se tab tak nai uthenge jab tak varsha nai hoti." itna kehne ki hi deir thi...ki prakriti ko apna niyam todkar neer barsana padha. Aise kitne anubhavo se bhakto ke jivan mein alaukik shanti, anand aur madhurya aaya hai...
Baba ne apne Mahaprayan se pehle yeh kaha tha "main ji kar bhi mrit tha, aur mrit hone ke baad bhi jivit rahunga."... har shabd mein tatv gyan, har vachan mein brahm vidya ... aur sach mein aaj bhale hi unka sharir is dhara pe nahi hai, per Baba sukshm roop se har samay apne bhakto ke saath rehte hain, unki adhyatmic unnati ke liye margdarshan dete hain, unke kasht harte hain, aur anandit jivan jine ki nirantar prerna dete hain...
Dhanya hai Bharat ki bhoomi jahan aise divya bhagwat-shakti-sampann mahapurush nitya avtarit hote rehte hain jinke kripa-prasad se lakho-karodo logo ka jivan bhi dhanya ho jata hai, anand se paripurna ho jata hai.

1 comment:

  1. jay ho mahapurusho ki jo samst sansar k liye kalyankari h.hari hari ommmm.

    ReplyDelete