Saturday, January 14, 2012

Makar Sankranti Ki Shubhkaamnayein

Aap sabhi ko Makar Sankranti ki hardik shubhkaamnayein.Aaj ka divas poore Bharat mein alag alag jagah per vibbhin prakar ke pravon ke roop mein manaya jaata hai. Khagolshastriyon ke anusaar iss din Surya apni kakshaon mein parivartan kar dakshinayan se uttarayan hokar Makar-Rashi mein pravesh karte hain. Jiss rashi mein Surya ki kaksha ka parivartan hota hai, usey "Sankraman: ya "Sankranti" kahaa jaata hai.
Makar Sankranti parv mein snan-daan ka vishesh mahatva hai. Humare dharmgranthon mein snan ka punyajanak ke saath hee swaasthya ki drishti se bhi laabhdaayak maanaa gaya hai. Makar Sankranti se Surya Uttarayan ho jaate hain, garmi ka mausam aarambh ho jaata hai, issliye uss samay snan karna sukhdaayi lagta hai.
Aaj hum Ahemdabad mein hain. Ahmedabad ka Uttarayan ka Dhyan Yog Shivir to poore Bharat mein prassiddh hai. Harr varsh ki tarah, iss varsh bhi yahan desh-videsh se aaye bhakton ka sailaab umad padaa hai. Aaj hum pratah hee Baapuji ke paas aa gaye. Aaj ke paavan din ki shuruvaat Pujya Baapuji ke darshan-saannidhya se hui...
Aasha hai ki aap sabhi ka aaj ka din jap, tap, daan, anushthan aur guru-saannidhya mein vyateet hoga...aapke aane waale din bhi mangalmay ho...

Om Shanti.

1 comment:

  1. sai ji aapke blogs pad kar laga jaise me apke hi samne hu.aap mere dil me bus chuke ho.sai aap meri har swas me ho, mere jeevan me ho.apko pata h ?feb 2007 me mene apke sath rajokari ashram me chorus kiya tha,jab aap allhahabad se lote the. bhajan tha-jago jago jago samay vyurth na gawana,do u knw?
    apki yad bani rahe! apka ..........vip~l

    ReplyDelete